~~*Woh Bichade Humse*~~

by honeyrose on September 10, 2008, 01:39:05 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2094 times)
honeyrose
Guest
Woh bichade humse bina kahe 
Tanhai mein dard ka ehsaas hue

Ruswa kar ke kyun chale gaye humhe
Chupke sahe unke nafrat ke rishte

Woh door jaa chuke bina dekhe humen
Har lamha unhe yaad kar ke ashq bahaye

Zakhm iss dil mein chupaye hue
woh bichade gaye aapni yaadon se

Woh dil ki baat kyun humse nahi karte
Who bichade gaye humse bina kahe 

Haath tham kar humse wada kiye the
Wada ke saath mujhe bhula kar chal diye

Zakhm pe marham na laga sake to kahiye
Dil mein pyaar ki yaadein tukra kar chal diye
 
Jhoot ka naqab pahenna karte the
Wada kar ke muhabbat nibhana bhul gaye


**^honeyrose^**
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
humse poocho by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Aaj hamein bichade ek saal ho gya...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Usse Bichade HAin Esse by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
AAJ HUM BICHADE by nishi gahlaut in Shayri for Khumar -e- Ishq
dost se bichade by suman59 in Ghazals « 1 2  All »
NODER
Guest
«Reply #1 on: September 10, 2008, 01:40:19 PM »
Woh bichade humse bina kahe 
Tanhai mein dard ka ehsaas hue

Ruswa kar ke kyun chale gaye humhe
Chupke sahe unke nafrat ke rishte

Woh door jaa chuke bina dekhe humen
Har lamha unhe yaad kar ke ashq bahaye

Zakhm iss dil mein chupaye hue
woh bichade gaye aapni yaadon se

Woh dil ki baat kyun humse nahi karte
Who bichade gaye humse bina kahe 

Haath tham kar humne wada kiye the
Wada ke saath mujhe bhula kar chal diye

Zakhm pe marham na laga sake to kahiye
Dil mein pyaar ki yaadein tukra kar chal diye
 
Jhoot ka naqab pahenna karte the
Wada kar ke muhabbat nibhana bhul gaye


**^honeyrose^**

accha likha hai aapne honeyrose sahiba
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 10, 2008, 03:28:44 PM »
Nice One Sis,.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: September 10, 2008, 05:07:28 PM »
Shukriya aapka  NODER..

Shukriya Azeem bhai jaan..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: September 11, 2008, 02:22:38 AM »
Bahut khoob honey...

Wo bichhda kuch yun humse roohka rishta dhadkano se toot gaya,
saanson ki rawani ko kya kahe, isse apna humdam chhoot gaya,
Tumhe qadar nahi ab mere jazbaaton ki aye sanam,
Zindagi se rishta rakhne ka har iraada toot gaya...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: September 11, 2008, 04:50:07 AM »
Bahut khoob honey...

Wo bichhda kuch yun humse roohka rishta dhadkano se toot gaya,
saanson ki rawani ko kya kahe, isse apna humdam chhoot gaya,
Tumhe qadar nahi ab mere jazbaaton ki aye sanam,
Zindagi se rishta rakhne ka har iraada toot gaya...

Bohut khoob Angel dear.... 
aur shukriya ...
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: September 11, 2008, 05:08:15 AM »
 Applause  Applause
BAHUT KHOOB LIKHA HAI AAPNE
HONEY DI...
BY. K.SHAEL
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #7 on: September 11, 2008, 08:19:22 AM »
bohut khoob honey ji  Usual Smile
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: September 11, 2008, 09:05:08 AM »
Thanks shally sis

Thanks bhawana dear
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: September 12, 2008, 02:18:40 PM »
Bichard ke Bhi Tujhse, Main Tujhse Judaa Nahi,.
Saanson Mein Basaa Hoon Teri Fizaaon Ki Tarah,.

Patjhard Aaaye Jo Zindagi Mein To Gham Na Kar,.
Khushboo Laaoonga Teri Bahaar Mein Hawaaon Ki Tarah,.

____________________________________-Jaanasheen-


 
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: October 08, 2008, 06:57:23 AM »
Bichard ke Bhi Tujhse, Main Tujhse Judaa Nahi,.
Saanson Mein Basaa Hoon Teri Fizaaon Ki Tarah,.

Patjhard Aaaye Jo Zindagi Mein To Gham Na Kar,.
Khushboo Laaoonga Teri Bahaar Mein Hawaaon Ki Tarah,.

____________________________________-Jaanasheen-


 

 Applause Bohat khoob bro..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: October 08, 2008, 07:55:22 AM »
Woh bichade aapse bina kahe
Ayesa hi khuda ko manzoor tha
Khud tanha the par na kahe
Unka bus yahi ek kasoor tha

Woh itna door jayenge bina kuch kahe
Unhe khud iska jarabhi khabar tha nahi
Kaon tanha,ruswa aur nafrat hai sahe
Usko kya maloom woh yahan hai hi nahi

Na jaane kitne sare zakhm the unke dil mein
Kitne aas the kisi ke liye unke aakhon mein
Wada, saath, pyaar, mohabbat sub bhulana tha
Antt mein bus ayesa hi khuda ko manzoor tha




Logged
amrita
Guest
«Reply #12 on: October 08, 2008, 06:43:49 PM »
you guys call this shayeri
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: October 08, 2008, 07:20:59 PM »
you guys call this shayeri

 Is it SO!
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: October 08, 2008, 07:36:12 PM »
Bohot Khoob Honey  Applause
Keep it up..keep writing  Thumbs UP

Nice contributions Angel, Azeem, Rajesh  icon_thumleft
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:12:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer