woh ek aanshu

by majid on November 24, 2006, 10:43:05 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2516 times)
majid
Guest
Kya kuch nahin kehta hain
woh ek aansun

kuch na keh ke bhi
bahot kuch keh jaata hai
woh ek aansun

kisi ke dil ki aah banke nikalta hai kabhi
kisi ke dil ka chain banke nikaltaa hai kabhi
woh ek aansun

kabhi kisi bedardi ke gam chupe hote hai usmain
aur kabhi kisi masoom ki siskiyaan bayaan karta hai
woh ek aansun.

kabhi kisi ki pyaas bujhaate hai
aur kabhi kisi ki chah ka karz utaar ta hai
woh ek aansun.
N/M
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aanshu by majid in Shayri-E-Dard
aanshu by indian_groom in Shayri for Dard -e- Judai
***Bewfaa Aanshu*** by kritika sharma in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aanshu by richa_jain in Share:Poetry of Betrayel
Aanshu by deepansh in Shayeri for Dard -e- Bewafai
pinky
Guest
«Reply #1 on: December 06, 2006, 08:46:28 PM »
bahut khoob kaha hai Majid..

Jaane kitne khamosh lamhe bayan kar gaya
kuch ankahee baatein bhi keh gaya..
Zuban na chahte hue bhi chupp thi meri,
Par dil ki har daastaan keh gaya..
wo aankh se nikla ek katra Aansu
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #2 on: December 07, 2006, 06:59:02 AM »
Quote from: "majid"
Kya kuch nahin kehta hain
woh ek aansun

kuch na keh ke bhi
bahot kuch keh jaata hai
woh ek aansun

kisi ke dil ki aah banke nikalta hai kabhi
kisi ke dil ka chain banke nikaltaa hai kabhi
woh ek aansun

kabhi kisi bedardi ke gam chupe hote hai usmain
aur kabhi kisi masoom ki siskiyaan bayaan karta hai
woh ek aansun.

kabhi kisi ki pyaas bujhaate hai
aur kabhi kisi ki chah ka karz utaar ta hai
woh ek aansun.



very nice majid ji.......



Hastae-hastae bhi ankhoon main aa jaatae hain aansu
dard dil ka bayaan kar jaatae hain aansu

in aansuoon ki fitrat ko kisne pehchaana hai
khushi ho yaan gam chalak aatae hain aansu

Bojh jab dil par haad sae baad jaata hai
us bojh ko halka karne aa jaatae hain aansu

Tumsae bichda to socha na rounga kabhi
yaad tumhari aatae hi aa jaatae hain aansu[/b]
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: December 07, 2006, 01:55:09 PM »
superbbb Majid, Pinky dear n Alone bad...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: December 08, 2006, 10:11:46 AM »
wonderful  Majid  bhai.........Pinky,,,,,,alone bad
Logged
pinky
Guest
«Reply #5 on: December 10, 2006, 08:05:23 PM »
Quote from: "majid"
Kahin na kahin mere jazbaat chupe hain aap ke jazbaaton main

Yahi wajah hai ke hum bhi ro pade aap ke fasano main


Mere jazbaaton se khud ko jo tum jodoge..
To aansu hi aayenge aankhon mein tumhari
Na juddo mujhse iss qadar mere humdum
Ke meri tarah..
kahin kho jaaye muskurahatein bhi tumhari...
Logged
pinky
Guest
«Reply #6 on: December 12, 2006, 06:56:36 PM »
Ye aansu na hote to tumse hum tumse judte kaise,
Ye dard na hota to ek doosre ko pehchante kaise..
Ab jo milein hain to gham baant lenge mil kar hum tum..
Warna tanha raah-e-zindagi par chalte kaise??
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #7 on: December 13, 2006, 08:38:30 AM »


** Ye dil kae dard dikhaoon kinhae
chalak hi aatae hain chahae lakh chupaoon inhae
aansoo dekhkar bhi mere pighaltae nahi wo
ab aur kya jatan karoon, kaise manaoon unhae...**
Logged
ALONE BAD
Guest
«Reply #8 on: December 13, 2006, 08:38:47 AM »


** Ye dil kae dard dikhaoon kinhae
chalak hi aatae hain chahae lakh chupaoon inhae
aansoo dekhkar bhi mere pighaltae nahi wo
ab aur kya jatan karoon, kaise manaoon unhae...**
Logged
pinky
Guest
«Reply #9 on: December 14, 2006, 08:30:12 PM »
Quote from: "ALONE BAD"


** Ye dil kae dard dikhaoon kinhae
chalak hi aatae hain chahae lakh chupaoon inhae
aansoo dekhkar bhi mere pighaltae nahi wo
ab aur kya jatan karoon, kaise manaoon unhae...**


bahut khoob Alone ji..

Maan jaate agar aansu bahane se wo..
To aaj main bhi yun tanha hoti nahi..
Na chalakta aankhon se dard katra katra..
Na Toot ta yeh dil ho kar tukda tukda..!!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #10 on: December 17, 2006, 08:12:12 PM »
Uski yaadon mein bechain ho kar
Aankh se phir nikla hai ek aansu..
Poochta hai kyun mujhe beghar kiya
teri aankhon ke siwa kahan main rahoon..
Maine kaha meri khata nahi tere juda hone mein
Uski yaad ko main bhi kaise sahoon..
Tu to mil jayega mitti mein mujhse alag hokar
Usse duur hokar main bhala kaise zinda rahoon??
Logged
paani
Guest
«Reply #11 on: December 18, 2006, 11:03:02 AM »
wah majid.. khub pinki..

ik ask mera in nazroon ka moti tha
sagar bhi kya ..dariyaa bhi kya
itna dard simta tha ussme!!!

karwaa tha kasela tha
per mitha dard diya tha ussne
is ask mera in nazroon ka moti tha

yaad ka tha mahboob ka tha
ganga kya aur jmuna kya
itna ikhlaas bara tha ussme
ik ask mera in nazroon ka moti tha
 :cry:

ikhlaas= purity
Logged
pinky
Guest
«Reply #12 on: December 18, 2006, 07:59:18 PM »
Achha likha hai ji..

Ye kaisi taqdeer hai mere aansuon ki
Rukte bhi nahi aur behte bhi nahi..
Laakh samjhaya na tadap ae dil
Wo bewafa ab lautkar aayega nahi..
Phir bhi har shaam shama jalati hoon
Ke uske intezar ka deepak bujhta hi nahi..
Kiss tarah roke Pinky apne dil ko
Jo uski koi yaad ab tak bhoola hi nahi..
Logged
pinky
Guest
«Reply #13 on: December 19, 2006, 07:18:47 PM »
Wow!!
Superb Majid..
Bahut hi achcha likha hai..

Aur main kahan udaas hoon??!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #14 on: December 19, 2006, 07:28:48 PM »
Quote from: "majid"
bohat khoob pinky...itni udaas kyun ho ji?


ban ke ashq tere rukhsaar par gar thehar jaunga
jee lunga zindagi pal mein, hans ke marr jaunga

aarzoo nahin pyaasi zindagi ko ab kisi paimane ki
labon ke jaam pee lun phir toot ke bikhar jaunga

ban kar bahaar aaja khiza-e-gulshan ko saja de
shaakh se gira phool hoon julfon mein sawar jaunga

dhadkanon ke shor se haal e dil jaan loge tum
dard hoon mein tanhai ka aankhon se gujar jaunga

chalna sambhal ke tum ke raahon mein kaantein hai
rakhoge jahan paaon tum phool ban ke bichh jaaunga

har raat teri mehkegi khawabon mein mere aane se
saanson mein teri khushboo jab ban ke utar jaunga


Ban ke Ashq jo mere ruksar pe tum thehar jaoge
Behne na doongi tumhe,Sambhal loongi moti banakar..

Ban jao agar tum Sathi meri tanha raahon ke
Jaane na doongi kahin,Rok loongi Haath tumhara thaam kar..

Aao jo kabhi ban ke khwab meri palkon pe
So jaungi umr bhar ke liye,Palkon pe tumhe sajakar

Banoge jo meri raaste par phool tum kabhi
Bikharne na doongi,Sanjo loongi tumhe dil se apne lagakar..

Basse ho sirf tum hi mere wajood mein Dilbar
Yakin na ho to Dekh lena kabhi mujhe aaina banakar..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 09:34:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer