Woh Jo Dar Badar Khaak Basar Hue

by sayani kuri on August 28, 2010, 06:35:47 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1621 times)
sayani kuri
Guest
Woh Jo Dar Badar Khaak Basar Hue
Woh Jo Lut Gaye Be-Ghar Hue

Woh Na Maangen Tum Se Tumhara Ghar
Na Tumhara Sukh Na Tumhara Dar

Woh Tu Chahte Hain Guzar basar
Unhi Waadiyon Mein Umar Bhar

Ye Kara Waqt, Ye Talkhiyan
Ye gardishen, ye Bijliyan

Hai Hamare RAB Ka Ye Imtehaan
Chalo Kaaflon Ko Karo Rawaan

Aao Mil K Unka Saath do
Jo Madad kare Woh Haath Do

K Ye Apni Dharti K Log Hain
Inhen Zindagi Ki Soghaat Do

Inhen Phir Wohi Halaat Do
Inhen Phir Wohi Halaat Do
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazals by Dr. Bashir Badar ..!! by Talat in Ghazals « 1 2 3 4 5 »
Mizaz-e-basar by saaz_haldwanvi in Shairi - E - Zindagi
ye chaa.Ndanii bhii jin ko chhuute hue Daratii hai By Bashir Badar by fernsk in Share:Poetry of Separation
main tum se chut ke basar zindagi to kar loonga by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
Na sahee aish-o-masarrat; guzar-basar to hai! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: August 28, 2010, 07:03:25 PM »
sayani ji bahut achhhi likhi hai .really very very nice.
thodi si bhoomika bhi ho jaati to achha hota,ki kab kyon aur kiske liye likhi.
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Woh Jo Dar Badar Khaak Basar Hue
Woh Jo Lut Gaye Be-Ghar Hue

Woh Na Maangen Tum Se Tumhara Ghar
Na Tumhara Sukh Na Tumhara Dar

Woh Tu Chahte Hain Guzar basar
Unhi Waadiyon Mein Umar Bhar

Ye Kara Waqt, Ye Talkhiyan
Ye gardishen, ye Bijliyan

Hai Hamare RAB Ka Ye Imtehaan
Chalo Kaaflon Ko Karo Rawaan

Aao Mil K Unka Saath do
Jo Madad kare Woh Haath Do

K Ye Apni Dharti K Log Hain
Inhen Zindagi Ki Soghaat Do

Inhen Phir Wohi Halaat Do
Inhen Phir Wohi Halaat Do

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 28, 2010, 07:24:36 PM »
Aadaab Janab.....

Aapke ahsaas O khayaal behad khoob rahe.....
Kafi achchi koshish kii hai aapne ... Daad

Likhate rahiye....           

Logged
sayani kuri
Guest
«Reply #3 on: August 28, 2010, 07:25:50 PM »
kiya ye zarori hy k kab kyu kis k liye likh ye bataya jay
waisy mai kabhi kise k liye nai likhti sirf apny liye likhti hu
aur meri liife mai koi hy b nai aysa jis k liye mai likho lijiye

apni likhi hoi ek aur ghazal ap ko sunati hu  read2


Teray siwa koi hamay masroofiat, nahi milti
Teray apnay mashghalay tujhay fursat, nahi milti

Her shakhs ka he kuch na kuch matma-e-nazer
Shayad ham say teri koi zarorat, nahi milti

Socha kay ab nahi sochaingay tum ko laikin
Magar teray khayal say muhlat nahi milti

Apni nigah-e-shoq zara munfarid see hay
Ab her kisi ko yoon meri suhbat nahi milti

Biknay ko yehan ham bhi tayyar hain laikin
Anmol hain kay baymol qeemat nahi milti


Ham pay iss liyeh bhi ilzam lagay
Jab tak na hon paarsa tuhmat nahi milti

Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: August 28, 2010, 07:32:29 PM »
sayani ji aap kuchh kuchh khafa khfa si lag rahi hain .aisa humaara koi matlab nahin tha.bus yahi kitaj mahal ko dekhne se pehle agar ye pata lag jaye kisne kyun kahan kab aur kaise banwaya to taj dekhne mein aur maza aata hai.
doosri peshkash to bahut shaandaar hai sach maza aa gaya. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sayani kuri
Guest
«Reply #5 on: August 28, 2010, 07:37:55 PM »
thank u so mach suresh
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: August 28, 2010, 07:58:51 PM »
wah ji wah... aapke dono ghazal padhe humne aur zabardast lage... bahut hi khoob likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause Applause
Logged
sayani kuri
Guest
«Reply #7 on: August 28, 2010, 08:05:45 PM »
pasandedge ka behad shukriya
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:12:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer