Woh KaMra Yaad Aata Hai

by angel4u on November 01, 2008, 02:18:38 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6977 times)
angel4u
Guest
Main Jab Bhi
Zindagi Ki Chichilati Dhoop Mein Tap Kar
Main Jab Bhi
Doosron Ke Aur Apne Jhooth Se Thak Kar...
Main Sabse Lad Ke, Khud Se Haar Ke,
Jab Bhi Us Ek KaMre Mein Jaata Tha...
Woh Halke Aur Gehrey Kathaii Rangon Ka KaMra,
Woh Behadd Meharbaan KaMra...
Jo Apni NarM Mutthi Mein Mujhe Aise Chupa Leta Tha
Jaise Koi Maa...
Bachhe Ko Aanchal Mein Chupa Le
Pyaar Se Daante...
Yeh Kya Aadat Hai
Jaltii Dopahar Mein Maare Maare GhooMte Ho TuM
Woh KaMra Yaad Aata Hai...

Dabeez Aur Khaasa Bhaari
Kuch Zara Mushkil Se Khulne Waala
Woh SheeshaM Ka Darwaazaa
Ki Jaise Koi Akhad Baap
Apney Khurdure Seene Mein
Shafkat Ke SaMandar Ko Chupaye Ho....

Woh Kursi
Aur Uske Saath Woh Judwaan Behan Uskii
Woh Dono Dost Thi Meri
Woh Ek Gustaakh Muhfat Aaina
Jo Dil Ka Achha Tha
Woh BehangaM Si AlMaari
Jo Kone Mein Khadi
Ek Boodhii Annaa Ki Tarah
Aaiine Ko Tanveeh Karti Thi

Woh Ek Guldaan
Nanha Sa
Bahut Shaitaan
Un Dono Pe Hansta Tha
Dareecha, Ya Zahaanat Se Bhari Ek Muskuraahat
Aur Dareeche Per Jhuki Woh Bel
Koi Sabz Sagoshi

Kitaabein,
Taaq Mein Aur Shelf Per
Sanjeeda Ustaani Bani Baithi
Magar Sab Muntazir Is Baat Ki
Mein Unse Kuch Poochun
Sirhaane Neend Ka Saathi
Thakan Ka Chaaragar
Woh NaraM Dil Taqiyaa
Main Jiski God Mein Sar Rakhkar
Chhat Ko Dekhta Tha
Chat Ki Kadiyon Mein
Na Jaane Kitne Afsaano Ki Kadiyaan Thi

Woh Chotii Mez Per
Aur SaaMney Deewar Per
Aavezaan Tasveerein
Mujhe Apnaaiiyat Aur Yakeen Se Dekhtii Thi
Muskuraati Thi
Unhe Shaq Bhi Nahi Tha
Ek Din....
Main Unko Aise Chod Jaaunga
Main Ek Din Yun Bhi Jaaunga
Ki Phir Wapas Na Aaoonga....

Main Ab Jis Ghar Mein Rehta Hun
Bahut Hi Khoobsurat Hai
Magar Aksar Yahan KhaMosh Baitha Yaad Karta Hun
Woh KaMra Baat Karta Tha....
(Javed Akhtar)



NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bahut yaad aata hai kisika muskurakar dekhna. by yammy in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
BOHOT YAAD AATA HAI!!!!! by Talat in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 15 16 »
BOHAT YAAD AATA HAI by Qutubuddin in Shayri for Dard -e- Judai
~\:yaad aata rha mujhko:/~ by Sonu in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Yaad aata hai by thycreator in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: November 02, 2008, 02:34:31 AM »
Good One Angel..Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: November 02, 2008, 03:46:56 AM »
nice sharing Angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: November 02, 2008, 05:33:43 AM »
Thanx Aryaan & Pooja ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: November 02, 2008, 06:34:51 AM »
Bahut Khoob
Nice sharing Angel
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: November 02, 2008, 02:23:14 PM »
Bahot Bahot Achche Angel Ji,.
Nice One Yaar,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: November 03, 2008, 02:43:56 AM »
Thanks Rajesh Ji and Rajesh Ji...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 03, 2008, 09:36:37 AM »
Mohabbat Jahaan Se Shuru Hui, Wo Shehar Yaad Aata Hai,..
Bhari Hai Jahaan Par Yadein Saari, Wo Ghar Yaad Aata Hai,.

Kamra Dil Ka Soona Hai, Bikhri Dil Ki Duniya Hai,.
Saji Thi Jab Saari Duniya Mere Liye, Aaj Bhi Wo Manzar Yad Aata Hai,.

________________________________________-Jaanasheen-
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: November 03, 2008, 01:56:52 PM »
Thanks Azeem...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 04, 2008, 01:28:21 PM »
Ur Welcome Ba,.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: November 04, 2008, 01:39:46 PM »
Bohat khoob nice sharing Angel.. Applause
Bohat khoob Bhai... Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: November 04, 2008, 02:14:13 PM »
Thanks Honey
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: November 07, 2008, 08:37:41 AM »
Thank U Jaya Didi,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: November 07, 2008, 08:44:22 AM »
Wo Kamra Bhi Khaali Hai Ab, Sajaane Ise Koi Nahi Aayega,.
Mere Dil Ki Maut Ho gayi Ab To, Uthaane Ise Koi Nahi Aayega,.

Ek Umar Thi, Jab Raat Bhi Sharaarti Thi, Sone Bhi Nahi Deti Thi,.
Ab Ke Baras, Neend Bhi Nahi Aati ye Sochke, Ke Jagaane Ise Koi Nahi Aayega,.

Sabne Milkar Sitam Kiye Hain Ise, Shehar Mein "Azeem" Ke Saath,.
Tanha Chord Diya Sab Log Yahaan, Ab Dil Lagaane Ise Koi Nahi Aayega,.

______________________________-Jaanasheen-
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #14 on: December 24, 2008, 07:46:11 PM »
very good sharing angel ji.
Good work Jaansheen ji.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:55:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer