Woh Mera Khayaal Rakhti Thi....

by Aryaan on March 07, 2005, 08:22:24 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 4562 times)
Aryaan
Guest
Main aaina tha, woh mera khayaal rakhti thi
Main toot-ta tha tau chun kar sanmbhal rakhti thi

Harr ek masley ka hal nikaal rakhti thi
Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi

Woh mere dard ko chunnti thi apni palkon se
Woh mere wastey khud ko nidhaal rakhti thi

Woh doobney nahi deti thi dukh ke darya mein
Mere wajood ki naaow uchaal rakhti thi

Duaaein uss ki, balaaon ko roak laiti thin
Woh mere chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

Ik aisi dhunn ke nahi phir kabhi main ne suni
Woh munfarid sa hansi mein kamaal rakhti thi

Ussey nadamatain meri kahan gawaara thin
Woh mere wastey aasaan sawaal rakhti thi

Bichar ke uss se main dunya ki thokaron mein hoon
Woh pass thi tau mujhe lazawaal rakhti thi

Sehar tha naam , ujaalay ghulam they uss ke
Woh zindagi ke andhairey ujaal rakhti thi

Woh muntazir meri rehti thi dhoop mein shayed
Main laut-ta tha tau chaaon nikaal rakhti thi
Logged
Princess21
Guest
«Reply #1 on: March 07, 2005, 08:24:00 PM »
WOWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWWW ARYAAN KYA BAAT HAI...........
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: March 07, 2005, 08:25:56 PM »
Thank you Princess......
Logged
Princess21
Guest
«Reply #3 on: March 07, 2005, 08:26:52 PM »
ur welcome...Aryaan!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: March 08, 2005, 12:40:01 AM »
WOH MERE DIL MEIN BASTI THI
HAR PAL MERA KHYAL RKHTI THI
KHUSH HAR PAL MERE SAATH REHTIT HI
DUNIYA WALON S NAHIN OWH DRTI THI
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: March 08, 2005, 04:28:39 PM »
Mere insaan hone ka ghuroor nahi hai mujhe
Doosron ke jazbaat se aksar khelta raha hoon main
Mujhse pyar paane ki arzoo nahi hai kisi ko
Nafrat ke sholon mein aksar jalta raha hoon main
Logged
Princess21
Guest
«Reply #6 on: March 08, 2005, 09:18:27 PM »
nice Aryaan!!
Logged
jalpari
Guest
«Reply #7 on: March 08, 2005, 09:37:12 PM »
Very touchy and Beautiful Aryaan..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: March 08, 2005, 09:40:21 PM »
Thanx Princess & Jalpari......
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #9 on: March 08, 2005, 11:43:07 PM »
:D  sad5

IF U UNDERSTAND REPLY ME.
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #10 on: March 09, 2005, 06:47:58 AM »
Duniya se ne kuch paya humne,
Jisse apna samjha use hi begana paya humne.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #11 on: March 09, 2005, 06:48:51 AM »
NICE
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: March 09, 2005, 04:34:39 PM »
aryaan ji...aab kya kahon...apki dono hi poems bohot hi achi hai!!!!! plss likhte rahiyega!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #13 on: March 09, 2005, 06:33:27 PM »
Bohat shukriya Meena...Usual Smile jab tak aap jaise parhne waale maujood hain aur meri hosla afzaai karte rahein ge, main likhta rahoon ga..Usual Smile
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: March 09, 2005, 06:36:27 PM »
:D
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:59:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.085 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer