Woh Mera Khayaal Rakhti Thi....

by Aryaan on March 07, 2005, 08:22:24 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 4533 times)
sanya310
Guest
«Reply #15 on: March 09, 2005, 07:05:00 PM »
Quote from: "Aryaan"
Main aaina tha, woh mera khayaal rakhti thi
Main toot-ta tha tau chun kar sanmbhal rakhti thi

Harr ek masley ka hal nikaal rakhti thi
Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi

Woh mere dard ko chunnti thi apni palkon se
Woh mere wastey khud ko nidhaal rakhti thi

Woh doobney nahi deti thi dukh ke darya mein
Mere wajood ki naaow uchaal rakhti thi

Duaaein uss ki, balaaon ko roak laiti thin
Woh mere chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

Ik aisi dhunn ke nahi phir kabhi main ne suni
Woh munfarid sa hansi mein kamaal rakhti thi

Ussey nadamatain meri kahan gawaara thin
Woh mere wastey aasaan sawaal rakhti thi

Bichar ke uss se main dunya ki thokaron mein hoon
Woh pass thi tau mujhe lazawaal rakhti thi

Sehar tha naam , ujaalay ghulam they uss ke
Woh zindagi ke andhairey ujaal rakhti thi

Woh muntazir meri rehti thi dhoop mein shayed
Main laut-ta tha tau chaaon nikaal rakhti thi

seriously aryaan...this has to be one of ur best...surely my inspiration Usual Smile bohot hi ache!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #16 on: March 09, 2005, 07:38:28 PM »
Thank so much Sanya.....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #17 on: March 09, 2005, 09:26:10 PM »
BUHAT ACHI HAI
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: March 09, 2005, 09:29:34 PM »
Shukriya Naveed.....
Logged
jalpari
Guest
«Reply #19 on: March 09, 2005, 11:25:08 PM »
Har zaghum ko seene peh saja laite hain
Har dard ko hum dil mein basa laite hein
Tum phulon peh sote ho to dukhta hai badan
Hum kanton ko aankhoN se laga laite hein
Logged
nikki
Guest
«Reply #20 on: March 09, 2005, 11:49:01 PM »
wonderfull Aryaan......toooooooooo good..

kisi ki praise ...woh bhi itne ache lafzon mein...I m impressed...(never read before)
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #21 on: March 09, 2005, 11:49:35 PM »
welcome aryaan
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #22 on: March 10, 2005, 07:00:06 AM »
Quote from: "nikki"
wonderfull Aryaan......toooooooooo good..

kisi ki praise ...woh bhi itne ache lafzon mein...I m impressed...(never read before)

Shukriya Nikki....n nice one Jalpari....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: May 03, 2005, 04:40:22 PM »
Shola hoon bharakne ki guzarish nahi karta
     Sach munh se nikal jaata hai koshish nahi karta

     Girti huwi diwaar ka humdard hoon lekin
     Charhte huwe sooraj ki parasthish nahi karta

     Maathe ke paseene ki mahek aaye na jis se
     Woh khoon mere jism mein gardish nahi karta
   
     Humdardi-e-ehbaab se darta hoon Aryaan
     Main zakhm tau rakhta hoon numaaish nahi karta
Logged
pandit
Guest
«Reply #24 on: May 03, 2005, 04:53:02 PM »
nice aryan...........
dil ka sheesha toota to tere pyar ka bharam toota,
ab to na aa aye yaad e bewafa tu apni yaado ko bhi le k jaa.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #25 on: May 03, 2005, 05:32:12 PM »
Quote from: "pandit"
nice aryan...........
dil ka sheesha toota to tere pyar ka bharam toota,
ab to na aa aye yaad e bewafa tu apni yaado ko bhi le k jaa.

Thanks Pandit....& Nice One.....
Logged
Meena
Guest
«Reply #26 on: May 04, 2005, 03:24:58 PM »
Quote from: "Aryaan"
Shola hoon bharakne ki guzarish nahi karta
     Sach munh se nikal jaata hai koshish nahi karta

     Girti huwi diwaar ka humdard hoon lekin
     Charhte huwe sooraj ki parasthish nahi karta

     Maathe ke paseene ki mahek aaye na jis se
     Woh khoon mere jism mein gardish nahi karta
   
     Humdardi-e-ehbaab se darta hoon Aryaan
     Main zakhm tau rakhta hoon numaaish nahi karta


wahhhhhhhhhhhh last 2 lines r just wonderfulll aryaan ji!!!!!! humesha ki tara!!!! kya baat hai aaj kal apni poem DARD section me nahin dikhti koi?  sad5
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: May 04, 2005, 09:28:42 PM »
wah!! kamal!! Aryaan bahoot hi acha likha hai apne....

Maathe ke paseene ki mahek aaye na jis se
Woh khoon mere jism mein gardish nahi karta

Humdardi-e-ehbaab se darta hoon Aryaan
Main zakhm tau rakhta hoon numaaish nahi karta
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #28 on: May 04, 2005, 09:44:07 PM »
Main zakhm tau rakhta hoon numaaish nahi karta
Main pyar tu krta hoon lekin izhaar nahin karta
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #29 on: May 05, 2005, 01:54:59 AM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "Aryaan"
Shola hoon bharakne ki guzarish nahi karta
     Sach munh se nikal jaata hai koshish nahi karta

     Girti huwi diwaar ka humdard hoon lekin
     Charhte huwe sooraj ki parasthish nahi karta

     Maathe ke paseene ki mahek aaye na jis se
     Woh khoon mere jism mein gardish nahi karta
   
     Humdardi-e-ehbaab se darta hoon Aryaan
     Main zakhm tau rakhta hoon numaaish nahi karta


wahhhhhhhhhhhh last 2 lines r just wonderfulll aryaan ji!!!!!! humesha ki tara!!!! kya baat hai aaj kal apni poem DARD section me nahin dikhti koi?  sad5

Bohat shukriya Meena pasand karne ka...Arey yeh "DARD" section hi tau hai.....Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:24:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer