Woh Mera Khayaal Rakhti Thi....

by Aryaan on March 07, 2005, 08:22:24 PM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 4598 times)
Aryaan
Guest
«Reply #30 on: May 05, 2005, 01:56:06 AM »
Quote from: "Pooja"
wah!! kamal!! Aryaan bahoot hi acha likha hai apne....

Maathe ke paseene ki mahek aaye na jis se
Woh khoon mere jism mein gardish nahi karta

Humdardi-e-ehbaab se darta hoon Aryaan
Main zakhm tau rakhta hoon numaaish nahi karta

Bohat shukriya Pooja.....Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #31 on: May 31, 2005, 02:05:36 AM »

Ashk Anmol Hain Kho Na Dena Kahin
Inn Ki Haar Boond Hai Motiyon Se Haseen
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #32 on: May 31, 2005, 03:03:27 AM »
Quote from: "Aryaan"

Ashk Anmol Hain Kho Na Dena Kahin
Inn Ki Haar Boond Hai Motiyon Se Haseen
nice
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #33 on: May 31, 2005, 03:55:00 AM »
Quote from: "Aryaan"

Ashk Anmol Hain Kho Na Dena Kahin
Inn Ki Haar Boond Hai Motiyon Se Haseen


har boond me wo dard chipa hai batau kaise,.....

na chalke ye dard kahi,in moti jaise aashko ko bachau kaise,....

waise bhi ye moti mere kis kam k ,,...jo na bah sake mere aane wali khushi k liye,......

kaise ye kaise tumhe mai samjhao kaise,......
Logged
jalpari
Guest
«Reply #34 on: May 31, 2005, 05:47:06 AM »
Quote from: "Aryaan"
Shola hoon bharakne ki guzarish nahi karta
     Sach munh se nikal jaata hai koshish nahi karta

     Girti huwi diwaar ka humdard hoon lekin
     Charhte huwe sooraj ki parasthish nahi karta

     Maathe ke paseene ki mahek aaye na jis se
     Woh khoon mere jism mein gardish nahi karta
   
     Humdardi-e-ehbaab se darta hoon Aryaan
     Main zakhm tau rakhta hoon numaaish nahi karta

excellent Aryaan ji.. bohut ache!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #35 on: May 31, 2005, 02:36:59 PM »
Bohat shukriya Jalpari........................
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: May 31, 2005, 06:03:41 PM »
Quote from: "Aryaan"
Main aaina tha, woh mera khayaal rakhti thi
Main toot-ta tha tau chun kar sanmbhal rakhti thi

Harr ek masley ka hal nikaal rakhti thi
Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi

Woh mere dard ko chunnti thi apni palkon se
Woh mere wastey khud ko nidhaal rakhti thi

Woh doobney nahi deti thi dukh ke darya mein
Mere wajood ki naaow uchaal rakhti thi

Duaaein uss ki, balaaon ko roak laiti thin
Woh mere chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

Ik aisi dhunn ke nahi phir kabhi main ne suni
Woh munfarid sa hansi mein kamaal rakhti thi

Ussey nadamatain meri kahan gawaara thin
Woh mere wastey aasaan sawaal rakhti thi

Bichar ke uss se main dunya ki thokaron mein hoon
Woh pass thi tau mujhe lazawaal rakhti thi

Sehar tha naam , ujaalay ghulam they uss ke
Woh zindagi ke andhairey ujaal rakhti thi

Woh muntazir meri rehti thi dhoop mein shayed
Main laut-ta tha tau chaaon nikaal rakhti thi


This is a beauty Aryaan !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #37 on: May 31, 2005, 06:48:27 PM »
Bohat bohat shukriya Talat.................
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #38 on: June 01, 2005, 05:32:29 AM »
Quote from: "Aryaan"
Main aaina tha, woh mera khayaal rakhti thi
Main toot-ta tha tau chun kar sanmbhal rakhti thi

Harr ek masley ka hal nikaal rakhti thi
Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi

Woh mere dard ko chunnti thi apni palkon se
Woh mere wastey khud ko nidhaal rakhti thi

Woh doobney nahi deti thi dukh ke darya mein
Mere wajood ki naaow uchaal rakhti thi

Duaaein uss ki, balaaon ko roak laiti thin
Woh mere chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

Ik aisi dhunn ke nahi phir kabhi main ne suni
Woh munfarid sa hansi mein kamaal rakhti thi

Ussey nadamatain meri kahan gawaara thin
Woh mere wastey aasaan sawaal rakhti thi

Bichar ke uss se main dunya ki thokaron mein hoon
Woh pass thi tau mujhe lazawaal rakhti thi

Sehar tha naam , ujaalay ghulam they uss ke
Woh zindagi ke andhairey ujaal rakhti thi

Woh muntazir meri rehti thi dhoop mein shayed
Main laut-ta tha tau chaaon nikaal rakhti thi


bahoot ho accha lkha hai janab.  padhte padhte koi apna yaad aa gaya aur aankho se kuch aanshoo tapak pade.

woh mera intezaar kuch aise karti thi
marne wala koi zindgi chahata ho jaise
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #39 on: June 01, 2005, 07:57:58 AM »
Quote from: "Aryaan"
Main aaina tha, woh mera khayaal rakhti thi
Main toot-ta tha tau chun kar sanmbhal rakhti thi

Harr ek masley ka hal nikaal rakhti thi
Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi

Woh mere dard ko chunnti thi apni palkon se
Woh mere wastey khud ko nidhaal rakhti thi

Woh doobney nahi deti thi dukh ke darya mein
Mere wajood ki naaow uchaal rakhti thi

Duaaein uss ki, balaaon ko roak laiti thin
Woh mere chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

Ik aisi dhunn ke nahi phir kabhi main ne suni
Woh munfarid sa hansi mein kamaal rakhti thi

Ussey nadamatain meri kahan gawaara thin
Woh mere wastey aasaan sawaal rakhti thi

Bichar ke uss se main dunya ki thokaron mein hoon
Woh pass thi tau mujhe lazawaal rakhti thi

Sehar tha naam , ujaalay ghulam they uss ke
Woh zindagi ke andhairey ujaal rakhti thi

Woh muntazir meri rehti thi dhoop mein shayed
Main laut-ta tha tau chaaon nikaal rakhti thi


nice n really gr888888888888 Aryaan aap bahut he aacha likhte hain ....!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #40 on: June 01, 2005, 10:08:52 PM »
Bohat shukriya Vikas & Salma...

Ehsaas ke andaaz badal jate hain warna
Daaman bhi usi taar se banta hai kafan bhi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #41 on: June 02, 2005, 12:10:31 AM »
Husn pe jab masti chhaati hai,
shayari par bahar ati hai,
pei ke mehboob ke badan ki sharaab,
zindagi jhoom jhoom jati hai. ......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #42 on: June 04, 2005, 04:07:09 PM »
Yaa Rabb Gham-e-Hijraan Mein Itna Tau Kiya Hota
Jo Hath Jigar Par Hai , Woh Dast-e-Dua Hota
Ik Ishq Ka Gham-e-Aafat Aur Uss Pe Dil Aafat
Ya Gham Na Diya Hota, Ya Dil Na Diya Hota...  



(Gham-e-Hijraan = Gham-e-Judai)
Logged
jalpari
Guest
«Reply #43 on: June 04, 2005, 07:15:57 PM »
Quote from: "Aryaan"
Yaa Rabb Gham-e-Hijraan Mein Itna Tau Kiya Hota
Jo Hath Jigar Par Hai , Woh Dast-e-Dua Hota
Ik Ishq Ka Gham-e-Aafat Aur Uss Pe Dil Aafat
Ya Gham Na Diya Hota, Ya Dil Na Diya Hota...  



(Gham-e-Hijraan = Gham-e-Judai)

Good one Aryaan..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #44 on: June 06, 2005, 06:23:21 PM »
shukriya Jalpari...

Jab yaad tumahari aati hai,
Munh bister mein kar leta hoon
Sab samajhte hain keh sota hoon
Magar main chupke chupke rota hoon..
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:55:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer