woh raat bhi tanha thi

by majid on March 28, 2006, 01:37:20 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Author  (Read 8043 times)
majid
Guest
dil ke aasmaan mein,udaasi ka andhera hai,
gam ki nisha ka ab na koi savera hai,
ankhon mein aansuon ki barsaat bhi tanha hai...
woh raat bhi tanha thi, yeh raat bhi tanha hai...

bujha hua chaand hai, woh khamosh kinaare,
na neend hai apni, no koi humaare.
baadalon ki taaron se mulaakaat bhi tanha hai...
woh raat bhi tanha thi, yeh raat bhi tanha hai........(shushil)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Raat Hai Tanha Tanha - - - - - - -Ghazal by riyaz106 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Tanha Raat Mein by A.sam khan in Shayri for Khumar -e- Ishq
tanha si khaamosh raat... Intezar ! by Intezar in Shayri for Khumar -e- Ishq
*Anjum*
Guest
«Reply #1 on: March 29, 2006, 08:03:10 AM »
Raat phir barsi hain yaadon ke ghataye kya kya
di hain guzre huye mausam ne sadaye kya kya
woh haseen shaam woh paimane wafa woh kasme
woh to sab bhool gaye yaad dilaye kya kya???
Logged
jugnu
Guest
«Reply #2 on: March 29, 2006, 09:43:52 AM »
Quote from: "majid"
dil ke aasmaan mein,udaasi ka andhera hai,
gam ki nisha ka ab na koi savera hai,
ankhon mein aansuon ki barsaat bhi tanha hai...
woh raat bhi tanha thi, yeh raat bhi tanha hai...

bujha hua chaand hai, woh khamosh kinaare,
na neend hai apni, no koi humaare.
baadalon ki taaron se mulaakaat bhi tanha hai...
woh raat bhi tanha thi, yeh raat bhi tanha hai........(shushil)



wah wah mazid bhai !! kya khoob likha aapne !! thanks

anjum ji aap ne bhi kamaal ka likha hai !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: April 01, 2006, 04:27:38 PM »
bahoot khoon majid!!! good one Anjum

deewangi, payar, ansoo, ahhe kis kis ko na apnaya maine
ek tujse hum na apnaye gai, tere liye yah sara jahan bhulaya maine!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: April 01, 2006, 04:37:41 PM »
bahot  khoob. Majid.....Anjum.....  Pooja sis....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 01, 2006, 04:49:10 PM »
thanks waheed
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #6 on: April 02, 2006, 12:56:43 PM »
Humne aise bhi basar kitni hi raatien ki hain
jaag kar aap ki tasveer se baatien ki hain
shab ki tanhayi bhi chaunkh padi hain aksar
is kadar aap ki kurbat humein mensoos huyi hain
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #7 on: April 02, 2006, 03:33:01 PM »
Too good...

Quote from: "majid"

raat bhi thak jaati hai mujhe sulate hua.
chand bhi aanshu bahata hai mujhe dekhkar.
kuch bhi pata nahi rehta us waqt us gadi ka.
jab yaad teri aati hai aur subah ho jaati hai
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #8 on: April 03, 2006, 07:43:09 AM »
Yeh chand jo raaton ko mere saath jala hain
shayad meri tanhayi ka ghum baant raha hain

doobi hai meri ungliyan apne hi lahu mein
yeh kaanch ke tukde ko uthane ki saza hain

yeh baat kahi kuch use ehsaas nahi hain
woh bhi mere khwabon ki tarha tootgaya hain

aankhon mein kabhi phoolon ka khilne ka sama tha
ab kaanon mein toote huye pathon ki sada hain
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #9 on: April 09, 2006, 07:30:35 AM »
hmm..thnx majid
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #10 on: April 09, 2006, 07:32:13 AM »
Kisse teri nazar ne sunaye na phir kabhi
humne bhi dil ke daag dikhaye na phir kabhi
aey yaad e dost aaj tu jee bhar ke dil dukha
shayad yeh raat hijr ke aaye na phir kabhi...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: April 11, 2006, 03:28:53 PM »
Lijiye hum to abhi se apki post dhond laaye
ho gaye kayun khafa, hum to abhi chale ayye
aise choti se baat per jo munh failogy
to dard bhari shayri kaise likh paogy!!!
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #12 on: April 11, 2006, 04:06:04 PM »
WOW.................................
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #13 on: April 12, 2006, 11:21:55 AM »
very nice..pooja
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #14 on: April 12, 2006, 11:23:24 AM »
Namm hai palkein teri aey mauj e hawa raat ke saath
kya tujhe bhi koi yaad aata hain barsat ke saath
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:15:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer