woh raate kahan se laaye !!!!

by ranjana on November 03, 2006, 07:42:08 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1575 times)
ranjana
Guest
woh raate kahan  se laaye,jab hame sone na diya gaya...
tha dil toh khamosh,per dhadkano ko na sone diya gaya..

gungunata raha dil kisi ki aarzzo kisi ki tamana ko
per har baat per kyu khamosh mere labo rehne diya

beet raha hai zindagi ka safar kuch is tarah
sang unki beeti baato ne kabhi rone na diya

ek gubaar hai dil mein bhara hua sa koi
mere dil mein jame  ashqo ko paani kyu na hone diya

kis tarah bataye apni beqarai ka sabab tujhe ab hum
teri in aankho mein dhale sapno ne mujhe kahi khone na diya!!


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maujon Men Laaye The Dubaane Ke Liye........................ by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
Nayaa warshh laaye harshh! by abdbundeli in Occassion Specific Poetry
RAATE (CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ankhon me raate hongi~ Abhi by AbhiTamrakar in Shayri for Khumar -e- Ishq
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: November 03, 2006, 10:18:35 PM »
WAH WAH kya baat hai...... RANJANA.......

behad khubsoorat kalaam hai.....
humesha ki tarah.. bahtreen.. bahut khoob..
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: November 04, 2006, 12:21:37 AM »
Din-raat jaagi aankhen meri, tujhe yaad karte-karte,
dil tadap uth-ta hai aaj bhi, bas teri ek aawaz sunke......

raat ke sannate me jaagta rahata hoon main AKELA,
palken bhi ro uth-ti hain, aankhon ki tabaahi dekhke.......

mujhe thi khabar ki, tu mujh sang dillagi hai kar raha,
phir bhi mit-ta gaya main, teri sokh adaaon ke sadke.......

aansoo anmol hain, inhen barbaad karun ya na karun,
chalak jate hain yeh phir bhi, apni bebasi par taras ke.......

jaan ek din denge tujh par hi, tujh se yeh wada hai,
ab dekhna hai pahale tu aati hai ya kadam padte hain maut ke......!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #3 on: November 04, 2006, 06:02:05 AM »
jab aawaz tutne ki aayi hogi
yaad rakhna choot kisi ne khai hogi

sard raaton mein kaati jahan apni tanhaai hogi
unhi bistaro.n ki silwato.n  me aaj bhi meri angdai hogi

rakha tha maine jahan par sir apna
jaakar dekho wahin mere baal ki parchai hogi

do kadam chale the jis samandar k kinaare
wahan ki raeth ki thandak tumhare kadmo tak bhi aai hogi

sukhe hue paaton mein likha tha maine naam apna
dekhna zara unn paaton par aaj bhi kahin syahi hogi
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2006, 06:25:44 AM »
wah  wah  Ranjana sis........ jawaab  nahi aap  ka ..... bahot khoob....   Phoenix............... Vicky...
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: November 04, 2006, 06:41:13 AM »
tere daamann se lipat kar jab soye the
tere anchal mein sisak kar jab roye the

woh loota chain jahan maine paya tha
woh tera sparash jisne Haq jataya tha

tere agosh mein aakar jab sara zamana tukaraa tha
Inn lamhon ko yaadon se HaQi'Qat kaise banaau

aapne ansu.on ko kahan chupaun,
main woh raat kahan se laun
tera sath kahan se laun....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: November 04, 2006, 12:36:15 PM »
bahut khoob Nittu ....Jeet ..Vicky .....

shukriya ..majid ..and waheed ....


tujhe kuch keh saku kuch lafaze bayaan mile
dil tute mera kuch aise ki duniya k ab pata na chale

le le ab apana hi dard apne dil mein chipa kar
is ko sunane ko  ab koi hamara  na mile

jee lenge hun yun hi waqt ki laharo ke saath
magar mujhe meri shart per zindagi ka koi kinaara toh mile

jaane kya baat hai woh hamse chipa gaye
kuch tih unki baat ka hame ishaara mile


sukhe hue pate sunaate hain kuch dastaan teri meri
ab kuch bahaaro ka bhi toh thikana mile

yun  hi kab talak roti rahegi zindagi dard mein
ab is bujhate hue sitaare ko koi aasman toh mile!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: November 04, 2006, 05:21:14 PM »
bahut achha likha hai sabne yahanpe...

Aankh Se Aankh Mila Baat Banata Kyon Hai,
Tu Agar Mujhse Khafa Hai To Chhupata Kyon Hai,

Gair Lagta Hai Na Apno Ki Tarah Milta Hai,
Tu ZaManeki Tarah Mujhko Satata Kyon Hai,

Waqt Ke Sath Haalaat Bhi Badal Jaate Hai,
Ye Haqeeqat Hai Magar Mujhko Sunata Kyon Hai,

Ek Muddat Se Jahan Kaafile Guzre Hi Nahi,
Aisa Raahon Par Chirag Jalata Kyon Hai...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: November 04, 2006, 07:27:25 PM »
good job all
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: November 10, 2006, 06:38:16 PM »
thanks pooja ..gum and angle .....nice sharing
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: November 11, 2006, 03:39:16 PM »
Wo raaten kahan se laaun, e-mere dil tu hi bata,
chand jab khud utar, baahon me meri samaata tha.....

karta tha rangeen meri raaton ko mohabbat se,
aur jism ko jab mere, chadni me dubo jaata tha.....

ab na wo chaand hai, aur na hai uski chaandni,
aaj dil ko samjhta hoon, jo kal bhi samjhata tha.......

ke E-DIL mohabbat ko unki dillagi na samajhna,
par dil hi to hai, ek muskaan par unki mar jata tha........!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: November 12, 2006, 06:50:01 AM »
Quote from: "vicky AKELA"
Wo raaten kahan se laaun, e-mere dil tu hi bata,
chand jab khud utar, baahon me meri samaata tha.....

karta tha rangeen meri raaton ko mohabbat se,
aur jism ko jab mere, chadni me dubo jaata tha.....

ab na wo chaand hai, aur na hai uski chaandni,
aaj dil ko samjhta hoon, jo kal bhi samjhata tha.......

ke E-DIL mohabbat ko unki dillagi na samajhna,
par dil hi to hai, ek muskaan par unki mar jata tha........!!!!!!!


bahut accha likha hai vicky aapne ...good one [Usual Smile]


main yaad wahan aaungi tumhe
jahan aaj mein khud apni yaado mein nahi hun


har pal becain kar jaaungi tumhe main wahan
jahan mein khud ke jazbaato mein nahi hun

main tumhe dikh jaaungi wahi un labo mein
jahan khud ki muskarahat mein main nahi hun !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: November 12, 2006, 06:50:32 AM »
Quote from: "vicky AKELA"
Wo raaten kahan se laaun, e-mere dil tu hi bata,
chand jab khud utar, baahon me meri samaata tha.....

karta tha rangeen meri raaton ko mohabbat se,
aur jism ko jab mere, chadni me dubo jaata tha.....

ab na wo chaand hai, aur na hai uski chaandni,
aaj dil ko samjhta hoon, jo kal bhi samjhata tha.......

ke E-DIL mohabbat ko unki dillagi na samajhna,
par dil hi to hai, ek muskaan par unki mar jata tha........!!!!!!!


bahut accha likha hai vicky aapne ...good one [Usual Smile]


main yaad wahan aaungi tumhe
jahan aaj mein khud apni yaado mein nahi hun


har pal becain kar jaaungi tumhe main wahan
jahan mein khud ke jazbaato mein nahi hun

main tumhe dikh jaaungi wahi un labo mein
jahan khud ki muskarahat mein main nahi hun !!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #13 on: November 14, 2006, 06:45:42 AM »
bahut accha thread chal raha hai.. sabne bahut accha laga phad ke........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: November 15, 2006, 08:33:33 AM »
SHUYKRIYA VIKAS...


NA JAANE KITNE TUKADO MEIN BANT GAYI HAI ZINDAGI KI KITAAB MERI
IN HAWAAO KA RUKH NA JAANE KAB AUR KAISE BADLA GAYA

KABHI RAHA KARTA THAA DIL MEIN UNKE SIRF NAAM HAMARA
AAJ WOH NAAM KYU UNKE JEHAN SE UTAR GAYA

AAYE YAAD KUCH BEETE LAMHE TOH AANKHE NAM HO UTHI MERI
MUJHE GUMAAN THAA KI WOH PYAAR KA PAL MERI ZINDAGI SE GUJAR GAYA!!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:17:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer