www.facebook.com/dardkaaalamEK AASHIQI KA KHONA.....EK AASHIQ KA RONA.....KABHI THA PALKO KA BICHAUNAA.....AAJ HAI SHAMSHAAN KA EK KONAA.....FROM Dard Ka Aalam written by ABHAY SHUKLA
aaj ki raat ki kahaani
mujhe apni malikaa-e-khwaab ko hai sunaani
Vo khwaabo ke uunche mukaam ab jaise khandahar bankar reh gaye hai
aaj fir hum apne hi aansuo ki baarish se aaye dard ke sailaab me beh gaye hai
Pata nahi kya hai vidhi ka vidhaan
pata nahi kya hai meri pehchaan
kyu waqt ke sath badalta rehta hai insaan
kyo waqt banaataa hai ek insaan ko haivaan
Haivaaniyat ka sabab maine dekha bhi jana bhi
Waqt rehte apne ander ke insaan ko pehchaana bhi
Waqt ki ret mutthi se fisal rahi hai
Pata nahi kab tak meri saanse chal rahi hai
Waqt rehte mera hath thaamne aa jana
Fir vaapas mujhe puraane dino ki tarah gale lag kar rulaa jaana
Yu to tumne hamesha dhundha tha mujhko apni tanhaayi me
Bhul gayi thi yaa nazar andaaz kiya tha mujhko apni parchaai me
Mai to hamesha se tumara hi saaya tha
Har jagah sote,jaagte, uthte, baithte tumko hi paaya tha
Tujh se judaa hokar Maut ki nind mai chain se sota
Jo kafan ki jagah dupatta tera hota
Yaad aate hai tere hotho se nikle labjo ki thartharaahat
Mehsus hoti hai har waqt tere pass hone ki aahat
Vo lamhe jinn me tera deedaar hota tha
Vo din jin me mai tujh se aankhe chaar hota tha
Vo nashili aankhe jinse hum mohabbat ka jaam pite the
Vo teri jhuki palke jinki chaav me khushgavaar pal beete the
Jab yaad aata hai tumara pyar se bolna
Apne aanchal me mera sar rakh kar julfo ko apni kholna
Meri aankhe bhar uth ti hai aaj bhi Jab yaad aata hai tumara BABU kehna
Laajmi hai haal-e-dil ki bebasi ke chalte khud pe na kaabu rehna
Yaado ka sailaab thamne ka naam nahi leta
Ye mera besharm khoon ab bhi rago me jamne ka naam nahi leta
Jo kehne baithu dard-e-daastan apni to alfaaz kam pad jayenge
Ya fir umar gujar jaayegi aur hum mar jaayenge
Ab to sirf jee raha hu iss hi ummid par shayad beete din fir laut kar aayenge
Agar nahi aayenge to Iss zindagi ka zehar hum yu hi piye jaayenge...