www.facebook.com/dardkaaalam

by Abhay1409 on September 19, 2014, 05:34:40 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 840 times)
Abhay1409
Guest
Abhay Shukla: www.facebook.com/dardkaaalam
GALTI KA EHSAAS.....DIL ME CHUBHI HUI ATEET KI FAAS.....from DARD KA AALAM
Mohabbat me ek gunaah kiya tha maine,
Kuch waqt pehle ek kaatil ko dil diya tha maine,
Usske dil ke jakhmo ko kabhi siyaa tha maine,
Usske aansuo ko kabhi din-raat piya tha maine
Hath uss ke khoon se bhige the, dil mera lahuluhaan tha,
Aaj bhi samajh na paaya mai kya vo bhi ek insaan tha
Agar vo insaan tha to yakinan uss me na koi bhagwaan tha
Na pata tha mujhko uss khush-numa duniya ka mai pal do pal ka mehmaan tha
Ab to lagta jaise bevajah kabhi aashiqi bhi mera imaan tha
Iss naasamajh dil ki naadaaniyo se mai hamesha se anjaan tha
Gujare hue kal ki yaad me hum apne aansuo ki syaahi se likh rahe hai
Safed kaagaz par ye aansu aaj laal rang se dikh rahe hai
Mai to jee lunga, Mujhe to aadat hai tanhaayi ki
Yahi to reet hai puraani iss beparvaah khudaai ki...


Abhay Shukla: www.facebook.com/dardkaaalam
JAHAA THA FULON KA BAGHBAAN.....AAJ VAHI HAI SHAMSHAAN.....GUJARTAA THA HAR LAMHA JAHAA USKI BAAHO ME.....AAJ VAHI SO RAHI MAUT KI PANAAHO ME..... from DARD KA AALAM
Banaaya maine apna jahaan hai
Jahaa aaj bhi uske kadmo ke nishaan hai
Kabhi deta tha meri mohabbat ki gavaahi ek fulo ka baghbaan
Jahaa par aaj ek Shamshaan hai
Kabhi sota tha mai jiski julfo ki chaav me
Aaj vahi so rahi hamesha ke liye ,lagta jaise saari duniya veeraan hai
HAISIYAT PATA HAI MUJHKO APNI, JAHAA PADE THE KABHI KADAMO KE NISHAAN USKE
AAJ VAHI PAR MERA MAKAAN HAI
JIS MITTI ME MILKAR MITTI BANAA THA USKA ZISM
AAJ USS HI MITTI ME BAITH KAR SOCHTA HU, KAHA GAYA VO INSAAN HAI.....


Abhay Shukla: www.facebook.com/dardkaaalam
MERE DARD KE AALAM KI DAASTAAN PURAANI HAI.....KOI SAMAJH PAAYE TO AANSU HAI NAHI TO PAANI HAI.....from Dard Ka Aalam WRITTEN BY Abhay Shukla
Aaj ka din mai kabhi bhi bhul na paaunga
Apne khoon ke aansuo ki syaahi se likh kar har baat aapko bataaunga
Aaj mere bhagwaan ka aansu jab bahaa tha
Lagta tha jaise poora pahaad mere sar par aakar dahaa tha
Mai chaah kar bhi rok na paayaa unke aansuo ki dhaar ko
Kis tarah bayaa karu mai apni iss zindagi ki haar ko
Unke vo safed baal ek umra ki chaukhat par aakar khade the
Jo maine hath rakhaa unke kandhe par to vo bhavuk hokar ro pade the
Chaah kar bhi mai unka dard kam na kar paayaa
Socha man hi man maine, bevajah unko tha rulaayaa
Vo hath hi to mere jine ka sahaaraa hain
Zindagi ko thaamne ka ek chota sa ishaaraa hain
Aaj fir mamtaa ke aangan me roshni aayi thi
Aaj fir chaandni chaand se sharmaayi thi
Aaj fir ek aulaad mamtaa se haaraa tha
Kyo ki bure waqt me uss ko uss ki maa ne savaaraa tha
Rishto ki dor ki majbuti se anjaan vo bechaaraa tha
Kya karta, vo bhi to haalaat ki thokro kaa maaraa tha
Ek boodhi aurat jo mujhko din raat yaad aati hai
Khud bhukhi rehkar, khaanaa mujhko khilaati hai
Kabhi kabhi raat ko mere sar par hath rakh kar vo mujh ko sulaati hai
Meri yaado me yaad aakar aksar vo mujh ko rulaati hai
Ek boodhaa jism jo kamjor ho chukaa hai
Zindagi kaa saar, Apna pariwar sab kuch kho chukaa hai
Mai unn ke aansuo ko bhi kam na kar sakaa
Unn ke pyaase hotho ko bhi nam na kar sakaa
Mai do raato se soya nahi hu
Pata nahi kiss uljhan me khoyaa kahi hu
Ab to mujh ko ronaa bhi nahi aataa
Jo mere dard ko hai aur badaataa
Mere aansu bhi ab aankho me jamkar dil ko bhaari karte hai
Bas kuch iss tarah hi din raat hum ghut ghut kar marte hain.....


Abhay Shukla: www.facebook.com/dardkaaalam
ISS BAAT SE THA MAI ANJAAN.....EK LUTERAA BANAA THA DIL KAA MEHMAAN.....JAB LAAYA THA VO MERE DIL ME TOOFAAN.....DIL MERA HUA THA VEERAAN.....from DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Jo na bolu to dil ka daag jaltaa hai
Jo bol du to bujhtaa chiraag jalta hai
Waqt ki thand me ab to aansu bhi jam chuke hai
Jahaa meri chitaa ki aag se hath senk kar zamaanaa hath apne maltaa hai
Fir bhi ye dil mera patthar kaa aaj bhi kisi ke liye pighaltaa hai
Jo aahat hoti hai uss ki yaado ki to lagta hai sath mere vo aaj bhi chaltaa hai
Aaj bhi ye dil kyo tarastaa hai
Aankho se aansu bankar ye kyo barastaa hai
Ab shaayad mera meri zindagi par hi bilkul hak nahi
Binaa kharide hi bech diya mujhko iss zamaane ne, iss me ab koi shak nahi
Jinko samajhte the hum kabhi dil kaa nawaab
Husn-e-hunar tha jinka laajawaab
Nazare thi nashili unnki jaise sharaab
Khubsurti jaise unnki ek shabnam ke sath gulaab
Unnki peshkash-e-mohabbat ka andaaz tha sabse naayaab
Par na pataa tha mujhko iss duniya me logo ke chehre nahi hote, hotaa hai sirf naqaab
Kyu dikhaate hai aise log mithe mithe khwaab
Koi to de mujh ko iss baat kaa jawaab...


Abhay Shukla: www.facebook.com/dardkaaalam
JAJBAATO KE SAMUNDAR ME.....DIL KI SATAH PAR.....CHUPE HUE MERE AANSUO KE MOTI....from DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Jajbaato ke samundar me Dil ki satah par aansuo ke motiyo ko talaashne ki koshish abhi jaari hai
Yaa shaayad talaash ke chalte samundar me doob kar mar jaane ki ab meri baari hai
Jo aati hai maut to bhi meri poori taiyaari hai
Kyo ki marte marte hi gujri meri zindagi saari hai
Ab to lagta hai jaise dhadkan dil se haari hai
Mehsus hota jaise saanse jism par bhaari hai
Log maut ko bevajah dosh dete hai, dard dena to zindagi ki bimaari hai
Bas iss hi tarah DARD KE AALAM me zindagi maine apni puri gujaari hai
Jo na rahu to koshish karna DARD KE AALAM se mere chand aansuo ke motiyo ko talaashne ki
Bas aap sab se ye ek aakhiri darkhvaast hamaari hai...


Abhay Shukla: www.facebook.com/dardkaaalam
SINE KA DARIYA MERI AANKHO SE BEH RAHAA HAI.....KYA BATAAU KYA DARD DIL MERA SEH RAHAA HAI.....from DARD KA AALAM written by ABHAY SHUKLA
Mere sine me ek dariya hai jise aankho se behne do
Baato na tum mera gam mujhko hi sehne do
Jaisa hu mai tere bagair mujhko vaisa hi rehne do
Mat suno mera dard mujhe khud se hi kehne do
Nam aankho ke sath surat teri dil me basaai thi
Mohabbat thi mujhe sacche dil se fir vo kaisi ruswaai thi
Aaj mere dil me tere ishq ki aag se cchaale pade hai
Fir bhi hum iss aag ke dariya me tere intejaar me khade hain
Raah-e-mohabbat me jhele humne toofan bade hain
Fir bhi hum teri khaatir ek jid par aa kar ade hain
Gulaab dena chaaha tujhko to kaanto se mera hath ghaayal kyo hua
Ek beparvaah bewafaa ka ye dil itna behad kaayal kyo hua
Meri nazaro ne dikhaya hamesha tujhko aainaa tha
Fir kyo meri nazaro me tujhko asshko ke kaanch chubhaanaa tha
Kyo kahaa tha tune, tujhko mera hamesha sath tha nibhana
Jab tujhko aise hi tha mujhko maut se rubru karaanaa
Lagta hai dar nahi rahaa tujhko khudaai ka
Iss hi liye to dard diya tune mujhe iss kadar judaai ka...


Abhay Shukla: www.facebook.com/dardkaaalam
AARZOO-E-MOHABBAT KYU EK AAG KA DARIYAA HAI.....KYU MOHABBAT AARZOO-E-MAUT KA JARIYAA HAI.....
Jo vo na milti mujhko to kahaa ruthi mujh se khudaai hoti
Jo khuda mera mujh se na ruthtaa to kahaa mohabbat me judaai hoti
Agar vo judaa na hoti to kahaa aansuo ke sath uss ki behad yaad aayi hoti
Na vo yaado me iss kadar basti aur na mujhko aarzu-e-maut beintehaa sataai hoti
Na hum khud kushi karna chahte aur na zindagi ki raah pattharo se bhar aayi hoti
Agar Na hote raah-e-jindagi me meri  patthar to kahaan se dard ke kalam se alfaazo ki syaahi se apne dard ko bayaa karne ki kubbat  aayi hoti
Hunar-e-shaayari ke paimaane me hum bhi apne jajbaato ke jaam na chalkaa paate jo maut humse kai dafaa na sharmaai hoti
Aaj waqt ki dehleej par ek aur mukaam aaya hai
Jo aansu gira kisi ka to dard me jubaan par kisi aur ka naam aaya hai
Sunaa rahi fizaaye aaj meri duniya badal kar, mohabbat ka yaaro kuch aisa paigaam aaya hai
Zindagi ke zehar ka ghoot piyaa karte rahe aur aaj zehar ke pyaale me amrit ka jaam aaya hai
Mohabbat ke dariya me chalte rahe dil me aashiqi ki aag liye, lagta hai aaj uskaa hi enaam aayaa hai...


Abhay Shukla: Professional Page of WRITER ABHAY SHUKLA-
www.facebook.com/dardkaaalam
Very soon You will be able to
purchase my books from Market
which are listed as below:-
1. "Destiny Or Destination (An
Autobiography)".
2. Painfull Shaayari-Rhytheme "Dard
Ka Aalam".
3. FLIGHT OF DREAMS (Life Journey
of History Creators).
4. Innocent Drops Of Eyes.
5. Stree Charitaarth (Described
Demonstration of Women's
Character).
6.''Paranoma'' (History of Paranormal
Mystery).
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
facebook by pawan16 in Miscellaneous Shayri
Facebook by pawan16 in Miscellaneous Shayri
Jo Ram na samaye facebook hot to.......... by jyuthika in Share:Funny Poetry
facebook story by deepansh in Inspirational Stories and real life Incidences.
www.facebook.com/dardkaaalam (Dard ka Aalam by Abhay Shukla) by Abhay1409 in Shayri-E-Dard
poppoetry
Guest
«Reply #1 on: September 19, 2014, 07:05:21 PM »
seene ka dariya......bhut hi khoob kalaam likhi hai aapne abhay ji...padhte huye aankho k aage ek tasveer si ban gayi....dil ko chhu gayi ye nazm......
ek request hai aapse abhay ji...aap ek saat poems ek hi thread mein post na karein toh behtar hoga.....lengthi hone ki vajah se viewers easily padh nai paate. ..gar aap ek suitable title k saath thread open krege toh hmare liye bhi padhna easy hoga....i hope mera suggestion aapko bura na lage....thanku....happy9
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: September 19, 2014, 07:08:23 PM »
Bahut umdah ehsaas hai. Welcome to Yoindia community. Aapne yeh sab alag alag topic ek hee post mein kyun daal diye. Itne saare ikathe parhnaa bahut mushkil ho jaataa hai. Ek ek kar ke post karne se aapko credit bhi zayaadaa mil saktaa thah. abb yeh shaayad ek hee post samjee jaaye gii. Anyway welcome again.
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: September 20, 2014, 01:32:09 AM »
bahut khoob
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #4 on: September 20, 2014, 01:49:00 AM »
श्री अभय जी,
   नमस्कार,यो इंडिया में आपका स्वागत है,आपकी नज्म को पढ़ कर दिल भर आया दिल. अंदर से रो पडा ,संभाले से न सभला मै अब क्या करु. मेरी तरफ से पहला राउ स्वीकार करे.नज्म कुछ ज्यादा ही लम्बी हो गई पर बहुत अछ्छी लगी.इसे हिंदी में लिखने का प्रयास करे तो ज्यादा ठीक होगा.अपने इस दर्द के आलम को बाटते
रहिये.दिल कुछ हल्का हो जायेगे .मेरा ई मेल है ramkrishan.rastogi@gmail.com contact No 9971006425.
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #5 on: September 20, 2014, 04:45:16 AM »
बहुत खूब....

एक सुझाव है.....एक बार में एक ही कलाम पोस्ट करें....ज्यादा तवज्जो मिलेगी.....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:16:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer