YAAD AA HI GAYI TERI HAR AAZAR MEIN!

by justtauseef on October 13, 2011, 07:08:12 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 894 times)
justtauseef
Guest
Arsa-e-hayat hai gard-o-ghubar mein
Dunya mili hamein chashm-e-ashkbar mein;

Uljha raha hoon gham-e-rozgar mein
Huyi zindagi tamam isi karobar mein;

Jo uthaye thhe ilzam kabhi sar pe
Le gaye hum ko wohi bazaar mein;

Thhokarein jab bhi lagi, hum ne tera naam liya
Yaad aa hi gayi teri har aazar mein;

Giraftar-e-ishq ka hausla kya kahiye
`Tauseef` bhi shumar hua gunahgar mein!

SELF COMPOSED
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ye dil teri yaad mein....... by Dilwala_jatt in Shayri for Khumar -e- Ishq
Teri Yaad Mein.. by sangy in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
Maa teri yaad mein by anupam saxena in Occassion Specific Poetry
yaad mein teri by saahill in Share:Love Poetry
Teri Yaad Reh Gayi by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: October 13, 2011, 08:41:32 AM »
Arsa-e-hayat hai gard-o-ghubar mein
Dunya mili hamein chashm-e-ashkbar mein;

Uljha raha hoon gham-e-rozgar mein
Huyi zindagi tamam isi karobar mein;

Jo uthaye thhe ilzam kabhi sar pe
Le gaye hum ko wohi bazaar mein;

Thhokarein jab bhi lagi, hum ne tera naam liya
Yaad aa hi gayi teri har aazar mein;

Giraftar-e-ishq ka hausla kya kahiye
`Tauseef` bhi shumar hua gunahgar mein!

SELF COMPOSED


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: October 13, 2011, 10:11:28 AM »
Touseef Sahaab Aadaab!

Masha Allaah janab behad khub ashaaroN ke
saji kalaam kahi hai aapne... achche ahsas
o khayaaloN ko khub bayaaN kiye hai daad
hazir hai janab... Usual Smile


Uljha raha hoon gham-e-rozgar mein
Huyi zindagi tamam isi karobar mein;


Thhokarein jab bhi lagi, hum ne tera naam liya
Yaad aa hi gayi teri har aazar mein;
         



Behad khub aur umdaa khayaal lage hume yeH
Is ashaaroN par hazaaroN daad hazir hai..

Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez..         

Logged
justtauseef
Guest
«Reply #3 on: October 13, 2011, 01:09:45 PM »
Thanks for appreciation.
Zarranawazi ke liye mashkoor hoon.

regards
Tauseef Ahmad
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:12:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer