<>*Yaad Hai*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 06, 2010, 10:17:48 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1184 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Yaad Hai*<>


Lamhe wo yaad hain mujhe har ek baat yaad hai
Sath tumhare jo gazari wo har raat yaad hai

Machal jati hun aaj bhi soch k main tumko
Tujh sang bitai wo khushnuma shaam yaad hai

Kyun chale gaye tum mujhe chhod kar bich safar me
Maine kiye jo tumpe sitam wo har sitam yaad hai

Har dard tera mere dil ko aaj bhi roand deta hai
Teri aankhon se baehte wo lahu k ashk yaad hain

Nahin keh sakti kisise jo kuch kiya hai maine
Lekin meri ruuh pe rahe jo wo har bojh yaad hai

Jise thukraya tha teri khatir uski bhi baddua mili
Mere sanammujhe mili har baddua mujhe yaad hai....!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Na Salaam Yaad Rakhna, Na Paigaam Yaad Rakhna, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi............. by waheed_rose2004 in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Yaad Yaad yaad bas yaad reh jati hai by Cma in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Aae na tere yaad kabhi yaad ki tarah by khalidrawat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Yaad kartaa naheen! Yaad aatey ho!! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: October 06, 2010, 10:28:07 AM »
wow... bahut bahut mastamm likha hai aapne... lo hamaara instant jawaab bhi tayyar hai... shayad aapko pasand aaye...

 Applause Applause Applause Applause Applause

na yun na tadpao khud ki dard mujhe hota hai,
tumhaari har tadap pe ye dil mera hi rota hai,

jaanta hoon main tumhaara koi kasoor na tha,
jo hua hai wo to bas khuda ko hi manzoor tha,

aake itne kareeb mere ho gayi thi dur mujhse,
isme kya khata meri jo ki thi mohabbat tujhse,

chaaha tere dil ko maine, tujhse mujhe pyaar tha,
ban jaayegi ek din tu meri ye mujhko aetbaar tha,

ho na paai tu meri na koi khwaab poora ho saka,
reh gaya tanha akela chaah ke bhi na main ro saka,

dekh mere aansoo kahin tadap na uthe dil tera,
isiliye muskuraata hai har ghum me ye aashiq tera...
Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: October 06, 2010, 12:26:15 PM »
Shukriya aap ka kasak ji aap ke ehsaas ke baad mere Jazbaat yaha likhe hain...

Teri duniya roshan  rahe shaam o seher
Kasak,  is andhere se bas yahi fariyaad hai ,

Kis tarah dar jaate the tum andhere mein
Mujhe bhi wo teri  sehmi si raat yaad hai

Us khaamosh raat mein hum tum akele rahe
Aur tanhayi me siskiyon bhari wo har baat yaad hai

Kayi arsa hua tere nazdeek gaye mujhko Aye Jaan
Lekin Aaj tak honntho se guzarti har saugaat yaad hai

Kaise main tumse juda ho gaya khuda jaane
Par main mit kar  bhi tera raha itna mujhe yaad hai

Jeete jee jo sitam kiye wo to hum bhool jaate
Magar baad marne ke ye sitam phir bhi yaad hai

Tere aansu aaj bhi bechain kar jaate hain hume
aankho se wo kazal   beh jaana aaj bhi mujhe yaad hai

Khud ko kyo muzrim mera  samajhte ho  “Kasak”
Tera “ Intezar “ to mar kar bhi tere liye Shaad  hai… !

Intezar… !
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: October 06, 2010, 02:51:53 PM »
Bahut Khooooooob Anamika Ji.. Aapke Likhe Lafz Dard Se Ek baar Phir Ru-b-ru Karwa Gaye.. Bahut Umda Peshkash hai.. Applause Applause

Kapil Bhai & Intezar Ji aapne Bhi Kamaal likha hai doston.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: October 06, 2010, 03:03:44 PM »
kya kahun main ab iske aage kapil ji....abhi to kuch likha nahin ja eraha..will try later...par bht khubbb likha hai apne ye reply...

wow.. kitna dard hai aapko.. hehehehe.. hasna nahi tha kya dard pe.. chalo ro lete hain... heheheheh.... bahut bahut mastamm likha hai aapne... lo hamaara instant jawaab bhi tayyar hai... shayad aapko pasand aaye...

 Applause Applause Applause Applause Applause

na yun na tadpao khud ki dard mujhe hota hai,
tumhaari har tadap pe ye dil mera hi rota hai,

jaanta hoon main tumhaara koi kasoor na tha,
jo hua hai wo to bas khuda ko hi manzoor tha,

aake itne kareeb mere ho gayi thi dur mujhse,
isme kya khata meri jo ki thi mohabbat tujhse,

chaaha tere dil ko maine, tujhse mujhe pyaar tha,
ban jaayegi ek din tu meri ye mujhko aetbaar tha,

ho na paai tu meri na koi khwaab poora ho saka,
reh gaya tanha akela chaah ke bhi na main ro saka,

dekh mere aansoo kahin tadap na uthe dil tera,
isiliye muskuraata hai har ghum me ye aashiq tera...

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: October 06, 2010, 03:06:45 PM »
iss khubsurat reply k liye mere pas words hi nahin intezar ji..itni mast tarah se aapne iss dard ko kaha hai k na roya ja raha na hasa ja raha..just blank..with lots of feelings.....thnx for such a reply...
 
Shukriya aap ka kasak ji aap ke ehsaas ke baad mere Jazbaat yaha likhe hain...

Teri duniya roshan  rahe shaam o seher
Kasak,  is andhere se bas yahi fariyaad hai ,

Kis tarah dar jaate the tum andhere mein
Mujhe bhi wo teri  sehmi si raat yaad hai

Us khaamosh raat mein hum tum akele rahe
Aur tanhayi me siskiyon bhari wo har baat yaad hai

Kayi arsa hua tere nazdeek gaye mujhko Aye Jaan
Lekin Aaj tak honntho se guzarti har saugaat yaad hai

Kaise main tumse juda ho gaya khuda jaane
Par main mit kar  bhi tera raha itna mujhe yaad hai

Jeete jee jo sitam kiye wo to hum bhool jaate
Magar baad marne ke ye sitam phir bhi yaad hai

Tere aansu aaj bhi bechain kar jaate hain hume
aankho se wo kazal   beh jaana aaj bhi mujhe yaad hai

Khud ko kyo muzrim mera  samajhte ho  “Kasak”
Tera “ Intezar “ to mar kar bhi tere liye Shaad  hai… !

Intezar… !

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: October 06, 2010, 03:07:46 PM »
Bahut Khooooooob Anamika Ji.. Aapke Likhe Lafz Dard Se Ek baar Phir Ru-b-ru Karwa Gaye.. Bahut Umda Peshkash hai.. Applause Applause

Kapil Bhai & Intezar Ji aapne Bhi Kamaal likha hai doston.. Applause Applause



**~** Mann **~**

Mann ji aapki tareef hamesha hi khushi deti hai..aapne ise pasand kiya uske liye dil se shukriya
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: October 06, 2010, 03:48:38 PM »
bahut bahut shukriya Mann ji...!!!

Bahut Khooooooob Anamika Ji.. Aapke Likhe Lafz Dard Se Ek baar Phir Ru-b-ru Karwa Gaye.. Bahut Umda Peshkash hai.. Applause Applause

Kapil Bhai & Intezar Ji aapne Bhi Kamaal likha hai doston.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: October 06, 2010, 03:50:11 PM »
jab ban paaye tab likh lijiyega... maine apna comment edit kar diya hai... shukriyaa aapne ise pasand kiya...!!!

kya kahun main ab iske aage kapil ji....abhi to kuch likha nahin ja eraha..will try later...par bht khubbb likha hai apne ye reply...

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: October 06, 2010, 06:21:04 PM »
Kasak Jee Aadaab!

Aapke is kalaam ke thoughts and expression behad achche hai but aap unhe humare hisab se express nahi kar payi...

But good work.... Daad hazir hai...

And hariday jee aur Intezaar jee aap dono ne bhi behad achche reply dekar mehfil jamaa dii hai daad....

Mehfil roshan karte rahiye....
Khush O aabaad rahiye......
khuda Hafez...... Usual Smile         

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 06, 2010, 06:26:06 PM »
bahut bahut shukriya Parwaaz ji....!!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: October 06, 2010, 06:44:52 PM »
Mann ji aapka bahut bahut Shukriya... bas aap humesha yun hi bane rahe saath hamaare...

Intezar

Bahut Khooooooob Anamika Ji.. Aapke Likhe Lafz Dard Se Ek baar Phir Ru-b-ru Karwa Gaye.. Bahut Umda Peshkash hai.. Applause Applause

Kapil Bhai & Intezar Ji aapne Bhi Kamaal likha hai doston.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: October 06, 2010, 06:47:02 PM »
parwaaz sahab mehfile to sazti rahengi,, guzaarish aap se ki is mehfil humesha aate rahiye... aur hum aap ka tahe dil se shukriya ada karte hain...

Intezar



And hariday jee aur Intezaar jee aap dono ne bhi behad achche reply dekar mehfil jamaa dii hai daad....

Mehfil roshan karte rahiye....
Khush O aabaad rahiye......
khuda Hafez...... Usual Smile         


Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:40:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.185 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer