Yaad Tumhari

by Jogan on October 24, 2006, 08:00:10 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1075 times)
Jogan
Guest
Yaad tumhari aakar ke phir jaati nahi hai
jaati hai to har pal bas meri jaan jaati hai

guzar gayi tumhare intezaar me kitni sadiyaan
tum nahi aaye, har pal bas tumhari yaad aati hai...

yun to taiyaar hain umr bhar tumhari raah takne to sanam
magar zamane ki zalim dastaan humme daraaye jaati hai

waqif hain hum mohabbat ke dono anjaam se
dar hai to us raah se jo jaaneb-e-judai jaati hai

keh do ek baar bas tum kasam meri kha ke
aaoge ek roz, phir jaaye ye duniya jahan jaati hai

kayamat se intezaar kiya hai tumhara, kayamat tak karenge
parwah nahi phir har pal jo hum par kayamat aati hai..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tumhari Yaad by nishi gahlaut in Miscellaneous Shayri
Tumhari yaad............mann by mann.mann in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Tumhari yaad ..... (by vb) by vb in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Tumhari Yaad Se Abaad... by Iqtedar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
tumhari yaad. by Peeyush pandey in Shayri for Dard -e- Judai
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: October 24, 2006, 08:03:15 AM »
Jogan

Bahut achcha likha hai aap ne !

Yoindia par aap ka swaagat hai !

Rajbir
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: October 24, 2006, 08:22:01 AM »
Quote from: "Jogan"

waqif hain hum mohabbat ke dono anjaam se
dar hai to us raah se jo jaaneb-e-judai jaati hai

keh do ek baar bas tum kasam meri kha ke
aaoge ek roz, phir jaaye ye duniya jahan jaati hai


bahoot khoobsurat lines likhi hain aapne Jogan ... welocme to YoIndia

dastaan-e-ishq ki hai ajab kahani
do pal khushi aor umarbhar ankhon mein paani...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: October 24, 2006, 05:22:12 PM »

Pehlu Mein Dard-E-Ishq Ki Duniya Liye Hue,
Baithi Hoon Zindagi Ka Sahara Liye Hue,
Dil Mein Us Chaand Ki Roshni Liye Hue,
Aagosh Mein Hai Chaand Ka Daag Liye Hue,

Pahuche To Dil Me Josh-E-TaManna Liye Hue,
Laute Magar Luti Hui Duniya Liye Hue,
Main Jee Rahi Hoon Is Tanhaiyon Ke Andhero Mein,
Teri Mohabbat Ka Sahara Liye Hue,

Uthti Hoon BazM-E-Ishq Se Na Jane Kaise,
Behki Si Ek Nazar Ka Sahara Liye Hue...
* * * * *
Logged
Jogan
Guest
«Reply #4 on: October 31, 2006, 11:00:04 AM »
Shukriya Rajbir...

Aapne bhi bohot khub farmaya hai..burning desires...

Angel...aap bohot aacha likhti hain....

oo mere rabba ye sitam tune kyu dhaaya
is bereham zamaane me kambaqt dil kyu banaya

dil bhi aisa jo kisi ko chahe to uspe hi ye marta hai
deedar-e-yaar ki talab me shaam-o-sahar tarapta hai
jisne jeena dushwaar kiya uuse zindagi ka sabab kyu banaya
oo mere rabba ye sitam tune kyu dhaaya

ishq ke har imtihaan me guzre the hum saath me
paar kiya tha aag ka dariya hatho me hatho ko thaam ke
phir humari muhobbat ko mout ka farmaan kyu sunaya
oo mere rabba ye sitam tune kyu dhaaya

tere dar pe jab bhi aaye ek duje ka saath manga
apni har ibaadat me tujhse humne yaar ka pyaar manga
galat kiya, ishq ko tune apna naam kyu bataaya
oo mere rabba ye sitam tune kyu dhaaya

dil walo ka dil todna to zamane ka dastoor hai
tabhi ulfat ke deewane tanha rehne ko majboor hai
is bereham jahan ko itna pathar dil kyu banaya
oo mere rabba ye sitam tune kyu dhaaya
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: October 31, 2006, 11:14:41 AM »
wondefrul  Jogan......  ur  welcome  to  Yoindia.... too  good  rpely   Angel.........   Jeet..............
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: October 31, 2006, 11:17:44 AM »
Jogan, Jeet, Angel

Good going ! Keep it up !

Waheed ne nahi likha kuch Puzzled !
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: October 31, 2006, 11:40:57 AM »
Bohat khoob Jogan...

 Nice Reply's Jeet & Angel....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:05:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer