Yaadein uss ki...

by Aryaan on December 20, 2004, 09:26:57 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Author  (Read 7980 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #15 on: December 24, 2004, 07:57:57 AM »
U r welcome Aryaan
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaadein by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
yaadein.... by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq
yaadein by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
YAADEIN by darde_dil in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 6 7 »
~~~YAADEIN~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Aryaan
Guest
«Reply #16 on: December 24, 2004, 03:03:04 PM »
Kya baat hai Nidhi... Bohat khoob...
Logged
arzoo
Guest
«Reply #17 on: December 24, 2004, 03:22:52 PM »
jaane vale ko ye dil yunhi bhula nahi pata
bhula pata to koi gum mahsoos nahi kerta
yaad kerta hai dil unko jo ho jaate hai bewaffa
bhula pata bewaffai, to unko yaad nahi kerta
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: December 24, 2004, 03:25:28 PM »
Nice1 Arzoo...

Yaadein uski phir aane lagi'n
Reh reh kar mujhe tarpaane lagi'n
Raaton ko neend churaane lagi'n
Mujh ko yeh phir rulaane lagi'n
Logged
Meena
Guest
«Reply #19 on: December 24, 2004, 05:55:31 PM »
na bahao ansson unke liye jo bewafa hi to hai,
mat yaad karo unki baato ko jo jhoote wade hi to hai,
phir bhi nazar nahin haatti unke rasto par se,
woh kab laut ke aa jaye...umeed hi to hai!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: December 25, 2004, 08:12:51 AM »
Wah..Bohat achey Meena..
Logged
arzoo
Guest
«Reply #21 on: December 25, 2004, 08:30:19 AM »
sahi fermaaya meena ....here's my thought

umeed hi to hai jo peecha nahi chodti unke jaane ke baad
rehti hai her pal seene mein sulagti us aakhri mulakaat ke baad
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #22 on: December 25, 2004, 09:23:12 AM »
wah!!!!!!!!!!  excellent work ...aryan..meena...arzoo....,................

khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar
is zameen se uth, aasma chhoone ki ek koshish to kar
ho jayenge poore sab khwaab tere, tu khud ko samajh, duniya ko samjhaane kee koshish to kar
khuda bhee tere saath hai, bas ek baar uskee baarghaah me apane haath buland to kar
ladd jaa mushkilo se, kar le himmat, utthaa ke sar tu apane khwaabo ki taabeer to kar
khwaab ko khwaab samajh ke khwaabo ki tauheen na kar.............................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: December 25, 2004, 10:13:36 AM »
it's simply beautiful Waheed..
Logged
Meena
Guest
«Reply #24 on: December 25, 2004, 06:16:45 PM »
thanx dosto!  :D

bohot acha likha arzoo j and waheed ji!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #25 on: December 26, 2004, 03:49:39 AM »
ur welcome aryan......meena.....  :lol:
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #26 on: December 26, 2004, 11:06:08 PM »
KASH!
           MEIN TERI AANKH KA
           AANSOO HOTA
           TERE RUKHSAR PE MEIN
           BEHTA HUWA
           TERE HONTON MEIN
            JAZAB HOTA
KASH!
             MEIN TERE DIL KI
             DHARKAN HOTA
             AUR MEIN TERA AIK
             MAMOOL HOTA
KASH!
              MEIN TERE HAATH KA
              KANGAN HOTA
               TU BARE CHAO SE
              MUJHAY AAPNE SARHANE RAKHTI
               MEIN TERE ZULFOON KE
                SAHARE HOTA
KASH!
                TU MERI BAAT KO
                 ISHAROON MEIN
                  SAMJH LETI
                  TU NA MUSHIKAL
                MUJH KO AAJ
                        YEH
                BYAAN HOTA
KASH!    
                 TU MUJH KO SAMAJH LETI
                  MEIN TUJHKO SAMAJH LETA
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- ARYAAN WOWWWWWWWWWWWW

            WHAT A FANTASTIC  POETRY
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #27 on: December 27, 2004, 04:14:33 AM »
Shukriya Naveed.. aapka bhi jawaab nahi.Usual Smile



Silsila wafaaon ka ik naya hi chalaaya mein ne
Na usey yaad rakha, na hi bhulaaya main ne

Hansi utaar kar chehrey se phaink di lekin
Firaq-e-yaar mein koi ashk nahi bahaaya main ne

Dard tau tha magar khud ko bohat sambhaley rakha
Zabt ke ehad ko harr haal mein nibhaaya main ne

Lakh sulgaati rahi zamaaney ki tanqeed magar
Tere kirdaar pe koi ilzaam nahi lagaaya main ne

Rang tau aur bhi zamane mein they bohat lekin
Naya koi khaab apni aankhon ko nahi dikhaaya main ne

Mila woh rah mein tau ik pal ke liye ruka tau magar
Haal na uss ne hi poocha, na hi bataaya main ne

Apni hi maangi huwi duaon se munh moar liya
Khud apney hi jazbaat ko kar diya paraaya main ne

Dhoop nikli hai mujhe dhoondney, tau chupna kaisa
Bas yehi soach kar khud chor diya saaya main ne..


Logged
Namkeen
Guest
«Reply #28 on: December 27, 2004, 06:40:03 PM »
kehtay hein log hum ne, tanhai ka raasta apna lia......
khud se na jaane kia, khud hi kuch chura lia......

wo lamhe jo saath bitaaye thay tumhaare.......
un lamhoun ko hum ne dil se mita dia.......

kabhi kehtay the, sada jiyengay saath tumhaare.....
wo kabhi kabhi ka kehna, hum ne bhula dia......

halat hai kaisi hamari, kia batayein kissi ko.......
yeh na kehnay ka wada, ab hum ne apna lia .......

hai yeh aakhri waqt, paas tum aa jao ek baar.......
ke dekh jao hum ne kaise, khud hi ko mita liya.......
Logged
nishita
Guest
«Reply #29 on: December 27, 2004, 06:41:30 PM »
wah wah both
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:45:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer