Yaadein uss ki...

by Aryaan on December 20, 2004, 09:26:57 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 8044 times)
shyama
Guest
«Reply #45 on: December 30, 2004, 09:49:51 PM »
har yaad mein ek faryaad ke jaise
teri yaad mere saath rahe gi ek gulaab ke jaise
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaadein by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
yaadein.... by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq
yaadein by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
YAADEIN by darde_dil in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 6 7 »
~~~YAADEIN~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Aryaan
Guest
«Reply #46 on: December 30, 2004, 09:54:38 PM »
Thanx Immi & myheart_ursonly..

Nice1 shyama..
Logged
Namkeen
Guest
«Reply #47 on: December 31, 2004, 01:40:20 AM »
bichhad ke bhi mujhe tujse ye badgumani hain.....
ke meri yaad kabhi to tujhe bhi aani hain......

na poocch haal kisi bhi udas chehre ka........
har ek shaks ki apni alag kahani hain........

har ek shaks ko apana bana ke dekh liya......
milenge ab na kisi se ye dil ne thaani hain......

ke meri yaad kabhi to tujhe bhi aani hain......
bichhad ke bhi mujhe tujhse ye badgumani hain......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #48 on: December 31, 2004, 05:20:01 PM »
Bohat khoob Namkeen...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #49 on: December 31, 2004, 05:29:03 PM »
yaadein uski phir aane lagi,
reh rehkar mujhe tadpaane lagi,
raaton ko neend churaane lagi,
mujhko ye phir rulaane lagi.

kyun ye yaadein aati hain,
mujhko ye kyun tarsati hain,
dil pe ye chaa jaati hain,
beqarar mujhe kar jaati hain.

taza kar jaati hain har zakhm puraane ,
jinko hum bhool kar bhi na bhool paayein,
jab bhi chah ke inse duur jaayein,
laut kar hum phir wahin par aayein.

ye yaadein tau hain ek kahani,
kuch jaani si , kuch pehchaani,
jab yaad aata hai koi,
tau behta hai aankhon se paani.

peecha karti hain harpal ye hamara,
hamein tau bas in yaadon ne hai maara,
kabhi ban jaati hain ye dushman,
tau banke dost kabhi deti hain sahara.

rahega chaand agar gagan pe , tau baadal tau uspe chahyein ge,
raheinge duniya mein agar hum , tou yaadein tau yaad aayein gi,
maut se darr nahi, marna tau hum chahenge,
darr tau bas itna hi hai , ke kya marr ke bhi chaain payenge...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #50 on: January 13, 2005, 01:46:40 AM »

Teri yaad aai tau ro diya, jo tu mil gaya tujhe kho diya
Mere silsile bhi ajeeb hain, tujhe chor kar tujhe dhoondna
Yeh meri ghazal ka kamaal hai keh meri nazar ka jamaal hai
Tujhe sher sher mein sochna, sare baam-o-dar tujhe dhoondna
Logged
jalpari
Guest
«Reply #51 on: June 27, 2005, 03:21:24 AM »
Quote from: "Aryaan"
Shukriya Naveed.. aapka bhi jawaab nahi.Usual Smile



Silsila wafaaon ka ik naya hi chalaaya mein ne
Na usey yaad rakha, na hi bhulaaya main ne

Hansi utaar kar chehrey se phaink di lekin
Firaq-e-yaar mein koi ashk nahi bahaaya main ne

Dard tau tha magar khud ko bohat sambhaley rakha
Zabt ke ehad ko harr haal mein nibhaaya main ne

Lakh sulgaati rahi zamaaney ki tanqeed magar
Tere kirdaar pe koi ilzaam nahi lagaaya main ne

Rang tau aur bhi zamane mein they bohat lekin
Naya koi khaab apni aankhon ko nahi dikhaaya main ne

Mila woh rah mein tau ik pal ke liye ruka tau magar
Haal na uss ne hi poocha, na hi bataaya main ne

Apni hi maangi huwi duaon se munh moar liya
Khud apney hi jazbaat ko kar diya paraaya main ne

Dhoop nikli hai mujhe dhoondney, tau chupna kaisa
Bas yehi soach kar khud chor diya saaya main ne..



wowww Aryaan, bohur hi khoob!!!!!!!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #52 on: June 27, 2005, 03:30:50 AM »
good ones aaryan..!!!
keep coming with more..!!!
....................................
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #53 on: June 27, 2005, 05:41:54 AM »
Aryaan kya kahun main tumhare baare main ...........u r just great itna dard kaise le aate ho apni nazamon main really too good yaar .............

teri baaton ke ehsaas ne hume rula diya
humne tere dard ke aage apna dard bhula diya
hum tuh kehte the bewaffa usko pehle
dekhke tera pyar ek bewaffa ki khatir
hume apne mehbub ko phir se  khuda bana diya
Logged
bond
Guest
«Reply #54 on: June 27, 2005, 07:17:34 AM »
wah wah kya baat hai.....bahut achha likha hai ARYAAN aur SANDHYA JI
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #55 on: June 27, 2005, 08:03:27 AM »
Quote from: "bond"
wah wah kya baat hai.....bahut achha likha hai ARYAAN aur SANDHYA JI
sukhriya Bond ji ..................for compliments ......

yahi hai haan yahi hai vo baatein, ye vahi ehsaas hai
jinse mere housalon ko ek naii raah milti hai
Logged
bhambra
Guest
«Reply #56 on: June 27, 2005, 08:37:29 AM »
Hallo all,
   Aap sab kaise hain? Aap log bahot acche likhte hain. umeed hai mujh jaise Poetry-lover ko aur acche acche sher sunneko milenge...



Akela is jindegi se tang aa chukka hun main,
Gam ke ek sagar me jaise dub gaya hun main,
Phirbhi shikayat karoon to kise karoon,
Apne hi haaton se jo dard ko apnaya hun main.
Wo chati thi mujhe ye to sach hey magar,
Dosti ke aage jhuk gaya hu main.
Logged
saagar_i
Guest
hi
«Reply #57 on: June 27, 2005, 10:37:13 AM »
Quote from: "sandhaya"
Aryaan kya kahun main tumhare baare main ...........you r just great itna dard kaise le aate ho apni nazamon main really too good yaar .............

teri baaton ke ehsaas ne hume rula diya
humne tere dard ke aage apna dard bhula diya
hum tuh kehte the bewaffa usko pehle
dekhke tera pyar ek bewaffa ki khatir
hume apne mehbub ko phir se  khuda bana diya

Hi i m new i m very imprssed thanx
Logged
saagar_i
Guest
«Reply #58 on: June 27, 2005, 10:39:36 AM »
hi i like all i m new After smtime u can see me creations
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #59 on: June 27, 2005, 01:34:43 PM »
Bohat shukriya Japari, Tosha, Sandhaya, Bond & Saagar......

Very nice Sandhaya & Saagar....
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 12:34:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer