Yaadein uss ki...

by Aryaan on December 20, 2004, 09:26:57 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Author  (Read 7981 times)
Aryaan
Guest
«Reply #60 on: June 27, 2005, 01:47:32 PM »
Main Kaise Bhool Jaaun Unn Haseen Raaton Ko
 Unn Haseen Raaton Ki Bheegi Barsaaton Ko
 Bheegi Barsaaton Ki Rangeen MulaQaaton Ko
 Rangeen MulaQaaton Ki Taweel Baaton Ko
 Main Kaise Bhool Jaaun Tere Sard Haathon Ko
 Mere Haathon Mein Diye Gaye Waadon Ko
 Unn Waadon Mein Di Gayi Kasmon Ko
 Unn Kasmon Ko Nibhaane Ki Baaton Ko
 Main Kaise Bhool Jaaun Teri Jheel Si Aankhon Ko
 Unn Aankhon Mein Kisi Aur Ko Paane Ki Duaaon Ko
 Unn Duaaon Mein Phir Bheegti Nigaahon Ko..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaadein by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
yaadein.... by Gesu in Shayri for Khumar -e- Ishq
yaadein by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
YAADEIN by darde_dil in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 6 7 »
~~~YAADEIN~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
jalpari
Guest
«Reply #61 on: June 28, 2005, 04:17:47 AM »
Quote from: "Aryaan"
Main Kaise Bhool Jaaun Unn Haseen Raaton Ko
 Unn Haseen Raaton Ki Bheegi Barsaaton Ko
 Bheegi Barsaaton Ki Rangeen MulaQaaton Ko
 Rangeen MulaQaaton Ki Taweel Baaton Ko
 Main Kaise Bhool Jaaun Tere Sard Haathon Ko
 Mere Haathon Mein Diye Gaye Waadon Ko
 Unn Waadon Mein Di Gayi Kasmon Ko
 Unn Kasmon Ko Nibhaane Ki Baaton Ko
 Main Kaise Bhool Jaaun Teri Jheel Si Aankhon Ko
 Unn Aankhon Mein Kisi Aur Ko Paane Ki Duaaon Ko
 Unn Duaaon Mein Phir Bheegti Nigaahon Ko..

again a beauty Aryaan!!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #62 on: June 28, 2005, 05:15:07 AM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat shukriya Japari, Tosha, Sandhaya, Bond & Saagar......

Very nice Sandhaya & Saagar....
sukhriya Aryaan ji, aur sagaar ji.....................
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #63 on: June 28, 2005, 06:14:21 AM »
wah wah all of u wrote very nice.......badaa mast likha hai sab na........good job!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #64 on: June 28, 2005, 08:46:37 PM »
Quote from: "isha_verma7"
wah wah all of you wrote very nice.......badaa mast likha hai sab na........good job!!!!

Shukriya Isha.....
Logged
shaariq786
Guest
«Reply #65 on: June 29, 2005, 11:24:15 AM »
Quote from: "Aryaan"
Kiss qadar kaam barha deti hain yaadein usski
Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski

Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi
Mujhko aur bhi deewaana bana deti hain yaadein usski

Main bhatakta hoon agar raat ke andhere mein
Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski

Jab uthaata hoon nighahein kisi aur chehre ki taraf
Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski

jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaQat ka
Faasle aur bhi barha deti hain yaadein usski...



Hi Aryaan,

Really you are too much. I am from Nagpur and know Urdu very well. Urdu is my mother tongue. Tell me one thing, do you write the poetries yourself? or you reproduce someone else's 'kalaam'?. Either way its superb. Plz keep it up.
Good Luck.
Shariq
Logged
Aapka_Sahil
Guest
«Reply #66 on: June 29, 2005, 12:21:07 PM »
U R gr8 Aryan...and all were also too gud...Namkeen is fantastic..


Ek Shaam aati hai teri yaad lekar...
Ek Shamm jaati hai teri yaad dekar..
Hamein to intezaar hai us shaam kaa...
Jo aayegi ek shaam tumhe saath lekar...

Mere dil main tum bas gaye ho ek yaad bankar...
Ab dil se niklee hai aawaaj ek fariyaad bankar...
Laut ke aaa jaao waapas meri duna main...
Warna is dil ko bhi le jaao ek Saiyaad bankar....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #67 on: June 29, 2005, 03:31:16 PM »
Quote from: "shaariq786"

Hi Aryaan,
Really you are too much. I am from Nagpur and know Urdu very well. Urdu is my mother tongue. Tell me one thing, do you write the poetries yourself? or you reproduce someone else's 'kalaam'?. Either way its superb. Plz keep it up.
Good Luck.
Shariq

Bohat bohat shukriya ShariQ pasand karne ka, main kuch tau khudlikhta hoon, aur kuch kamlaam mere pasandeeda shayron ke hain, aur kuch main doosron se inspire ho kar likhta hoon...Usual Smile urdu meri bhi mother tongue hai,
meri taraf se yoindia pe aapko "Khush Amdeed"...Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #68 on: June 29, 2005, 03:32:06 PM »
Quote from: "Aapka_Sahil"
you R gr8 Aryan...and all were also too gud...Namkeen is fantastic..


Ek Shaam aati hai teri yaad lekar...
Ek Shamm jaati hai teri yaad dekar..
Hamein to intezaar hai us shaam kaa...
Jo aayegi ek shaam tumhe saath lekar...

Mere dil main tum bas gaye ho ek yaad bankar...
Ab dil se niklee hai aawaaj ek fariyaad bankar...
Laut ke aaa jaao waapas meri duna main...
Warna is dil ko bhi le jaao ek Saiyaad bankar....

Bohat shukriya Sahil....n very nice...
Logged
pandit
Guest
«Reply #69 on: June 29, 2005, 03:48:23 PM »
bahut acche saahil ji............................................... ............
Logged
Pooja
Guest
«Reply #70 on: June 29, 2005, 04:45:50 PM »
wah bahoot khoob aryaan ji!!! apki shayari parr kar bahoot acha lagta hai!!! good work....!!!!

yandeen uski....chahat meri
kis se ab shikwa karu
Kismat meri, Adat uski
kis ko kaise roka karu!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #71 on: June 29, 2005, 05:07:12 PM »
Quote from: "Pooja"
wah bahoot khoob aryaan ji!!! apki shayari parr kar bahoot acha lagta hai!!! good work....!!!!

yandeen uski....chahat meri
kis se ab shikwa karu
Kismat meri, Adat uski
kis ko kaise roka karu!!!!

Bohat shukriya Pooja & Nice One....
Logged
Aapka_Sahil
Guest
«Reply #72 on: June 30, 2005, 09:29:06 AM »
Thnx Aryan and Pandit...

Mujhko khafa naa keejiye pachhtayenge aap...
Main woh nahi ki jise manaa laayenge aap...
Yeh bhool jaayiye ki sukoon paayenge aap...
Tanhaaiy paaker aur bhi ghabraayenge aap...

Aap hain ghum abhi kisi rangeen khayaal main...
Aayegi yaad meri tab hosh main aayenge aap...
Yeh dil hai mera ise tod ke pachhtayenge aap..
Aaina dekhne to taras jaayenge aap.......

Mere liye Jubaan ko zehmat na dejiye...
Main khoob jaanta hoon jo farmaayenge aap...
Meri liye bahut hai yeh yaad-e-safar-sahil...
Yeh keh rahe hain ki laut ke kab aayenge aap...
------------------------------------------------------------
Mere muh par kafan na daalo...
Mujhe aadat hai muskuraane ki...
Meri laash ko kabar main na utaaro...
Mujhe aas hai kisi ke aane ki....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #73 on: June 30, 2005, 11:43:04 AM »
Bohat achey Sahil.....

Door reh kar bhi teri yaad ko pooja main ne
Yhe na kehna ke hamein ehd-e-wafaa yaad nahi
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #74 on: June 30, 2005, 11:51:39 AM »
kya baat hai Sahil ,,,,,,,,aur Aryaan good....

hum bhi karte rahe dua tere didaar ki
dil main koi aur tamana nahi thi iske siva
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:52:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer