yaado ke saaye .....

by ranjana on July 13, 2006, 02:44:27 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2263 times)
ranjana
Guest
kuch yaado ke jhurmut se saaye hain
jo teri baato se dil mein utar aaye hain
inko jagaana na thaa tune apni kadawi baato se
yeh gujare pal hamko aksar rulaaye  hain

jab bhi haath badaaya  hai maine inhe samatane ke liye
mere dil mein aksar chhale se ubhar aaye hain
kaha  thaa tumne ki zinadi ka sach bataa raha hun main
par mere dil ko sirf khawabo ke saaye hi bhaaye  hain

ab jo jagaa diya tumne apni baato se in ko
toh mere dil mein kai sawal se ubhar  aaye hain
kyu buna maine apane aas paas is badard rishte ka jaal
jise log Pyaar shabad keh kar bulaate aaye hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yaado ke ujale by sidhant_kudesia in Shayri-E-Dard
Teri yaado ki shama shabbhar ham jalaaye hue haiN by manu1979 in Shayri-E-Dard
apni yaado se kehdo ki ye aaya na kare by pardeep_sharma in Shayri-E-Dard
***Teri Yaado'n ke Bina*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
aap ki hi yaado me by shivani(9899207979) in SMS , mobile & JOKES
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: July 13, 2006, 04:17:45 AM »
Quote from: "ranjana"
kuch yaado ke jhurmut se saaye hain
jo teri baato se dil mein utar aaye hain
inko jagaana na thaa tune apni kadawi baato se
yeh gujare pal hamko aksar rulaaye  hain

jab bhi haath badaaya  hai maine inhe samatane ke liye
mere dil mein aksar chhale se ubhar aaye hain
kaha  thaa tumne ki zinadi ka sach bataa raha hun main
par mere dil ko sirf khawabo ke saaye hi bhaaye  hain

ab jo jagaa diya tumne apni baato se in ko
toh mere dil mein kai sawal se ubhar  aaye hain
kyu buna maine apane aas paas is badard rishte ka jaal
jise log Pyaar shabad keh kar bulaate aaye hain


Waj Ranju Lajawaab roop dia tumne Yaadon ke Saaye ko......

Yaadon ke Saaye pal me aate pal me Guzar jaya karte hai......
Hum hai Woh AshiQue jo Dil ko choo ke rooh me bass jaya karte hai......

Na laa Aankhon me AshQ toh lafzon me Dard......
Yeh Dunia hai Zaalim Zakhm dekh mutthi bhar Namak daal jaya karte hai.......

Na hone denge ab kami tujhe hum Pyar ki......
Chahe lutani pade Khushian tujhpe mujhe Sansaar ki......

Yaad rakhna hum Wade ko marte dum talak nibhaya karte hai.......
Koi Saya nahi jo Yaadon ke sang beet jaya karte hai........!!!!!!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: July 13, 2006, 11:20:20 AM »
bohot ache ranjana ji aur BS ji...acha likha dono ne!

 :D
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2006, 02:08:57 PM »
Very nice RanjanaJi aur Badnaam ShayarJi!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: July 13, 2006, 02:11:28 PM »
Very emotional and touching Ranju, Nice reply Badnaam Shayar ji!!!
Ranju ek ek line mai bahoot dard hai...bahoot ache se apne dard ko shabdo mai, aor shabdo ko lines mai piroya hai.. wonderful work...

her apna rishta, wo mujse banata chala gaya
kabhi phool to kabhi kaante khilata chala gaya
kathputali si mai, her rishta nibhati gai
kabhi chup kar to kabhi dikha kar ansoo bahati gai

gusse ki agani mai, khud ko pa pal jalaati gai
ek us rishty ki khatir, baki sare rishty bhulati gai
waqat ki dosrr mai, farz apna nibhati gai
tanha, tanha aor tanha, khud ko her pal paati gai!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: July 13, 2006, 02:59:20 PM »
shukriya Pooja ....meri koshish ko aapne pasand kiya....bahut khub likha hai aapne bhi......

shukriya Gaurav .....bahut sunder likha hai...

shukriya Meena dear and Ravi ji


aasman per jab bhi chand ko dekha tanha hi paaya
thaa sitaaro ke beech fir bhi kisi ko talashata woh nazar aaya

pucha jab kabhi bhi sanam ne haal mera
meri aankho mein they aansu per labo se "sab thik hai" nikal aaya

dikhayaa nahi jaata har baar apna dard  unke saamane
islieye ek hansi ka naqab hamne apne chahere per lagaya

pyaar ka matlab woh na samjhe hai na samjhenge kabhi
hamne apni baat ko kai baar inko ishaaro mein samjhaya

kar lete hain woh gero.n se shikva aksar  hamara
par hamne kabhi unki wafa ko nahi azmayaa!!!!!
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #6 on: July 13, 2006, 03:11:58 PM »
bohot khub ranz-na, gaurav and pooja ji!  :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: July 13, 2006, 05:03:43 PM »
shukriya Shahid ji................
Logged
roshni246
Guest
«Reply #8 on: July 13, 2006, 05:08:40 PM »
2 gud mom...big bro and pooja di...!

yaadon k saye...har pal hume satate hain...
purani yaadon ko phir taza kar jaate hain...

bohot mushkil hai ab us sadme ko bhool pana...
yeh yadoon k saye roz beete din yaad dilate hain...

pyaar bhare din wo...khushiyon ki raatein...
ab to bechain hoke ankh main ansoon bhar ate hain...

na jaan jaati hai na unka dedar karpate hain...
yun hi jehen main guth k mara karte hain....

ab to bani hai zindagi ik saza si humare liye...
roz iske khatam hone ki dua manga karte hian...

mehboob k raston main intezaar kiya karte hain...
par wo ahin ki un raston se muh mod k chale jate hain...

ab to bas itni dur hojaye yeh yaadein humari...
ab to bikri yaadon se rishta todne k liye unhe jalaya karte hain...!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #9 on: July 13, 2006, 06:29:15 PM »
Quote from: "ranjana"
kuch yaado ke jhurmut se saaye hain
jo teri baato se dil mein utar aaye hain

unke dil me hamari yadon ka saya hai
unki yad bina ka khayal hamre liye paraya hai

Quote
inko jagaana na thaa tune apni kadawi baato se
yeh gujare pal hamko aksar rulaaye  hain

hamari beeti baton ne unhe rulaya hai
unki aankho ne hame dard me hasna shikaya hai


Quote
jab bhi haath badaaya  hai maine inhe samatane ke liye
mere dil mein aksar chhale se ubhar aaye hain

meri yadone unhe aaj itna tadpaya hai
mere zakhmo pe jaise kisine namak lagaya hai

Quote
kaha  thaa tumne ki zinadi ka sach bataa raha hun main
par mere dil ko sirf khawabo ke saaye hi bhaaye  hain

haqiqat se aapne khud ko chhupaya hai
maine ab is dil ko pathar sa banvaya hai


Quote
ab jo jagaa diya tumne apni baato se in ko
toh mere dil mein kai sawal se ubhar  aaye hain

hamari yadone unpar khub sitam dhaya hai
hamne to unke sath se hi sab kuch paya hai

Quote
kyu buna maine apane aas paas is badard rishte ka jaal
jise log Pyaar shabad keh kar bulaate aaye hain

unhone rista kuch is kadar jatlaya hai
is bejan dil ko phir se tadpaya hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: July 13, 2006, 06:49:21 PM »
Quote from: "roshni246"
2 gud mom...big bro and pooja di...!

yaadon k saye...har pal hume satate hain...
purani yaadon ko phir taza kar jaate hain...

bohot mushkil hai ab us sadme ko bhool pana...
yeh yadoon k saye roz beete din yaad dilate hain...

pyaar bhare din wo...khushiyon ki raatein...
ab to bechain hoke ankh main ansoon bhar ate hain...

na jaan jaati hai na unka dedar karpate hain...
yun hi jehen main guth k mara karte hain....

ab to bani hai zindagi ik saza si humare liye...
roz iske khatam hone ki dua manga karte hian...

mehboob k raston main intezaar kiya karte hain...
par wo ahin ki un raston se muh mod k chale jate hain...

ab to bas itni dur hojaye yeh yaadein humari...
ab to bikri yaadon se rishta todne k liye unhe jalaya karte hain...!


bahut khoob Roshu dear... :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: July 13, 2006, 06:53:40 PM »
Quote from: "niraj_191"
Quote from: "ranjana"
kuch yaado ke jhurmut se saaye hain
jo teri baato se dil mein utar aaye hain

unke dil me hamari yadon ka saya hai
unki yad bina ka khayal hamre liye paraya hai

Quote
inko jagaana na thaa tune apni kadawi baato se
yeh gujare pal hamko aksar rulaaye  hain

hamari beeti baton ne unhe rulaya hai
unki aankho ne hame dard me hasna shikaya hai


Quote
jab bhi haath badaaya  hai maine inhe samatane ke liye
mere dil mein aksar chhale se ubhar aaye hain

meri yadone unhe aaj itna tadpaya hai
mere zakhmo pe jaise kisine namak lagaya hai

Quote
kaha  thaa tumne ki zinadi ka sach bataa raha hun main
par mere dil ko sirf khawabo ke saaye hi bhaaye  hain

haqiqat se aapne khud ko chhupaya hai
maine ab is dil ko pathar sa banvaya hai


Quote
ab jo jagaa diya tumne apni baato se in ko
toh mere dil mein kai sawal se ubhar  aaye hain

hamari yadone unpar khub sitam dhaya hai
hamne to unke sath se hi sab kuch paya hai

Quote
kyu buna maine apane aas paas is badard rishte ka jaal
jise log Pyaar shabad keh kar bulaate aaye hain

unhone rista kuch is kadar jatlaya hai
is bejan dil ko phir se tadpaya hai


its superbbbbbbb bahot hi sunder .....now i impressed.......niraj ji :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: July 13, 2006, 07:31:57 PM »
Bohat khoob Ranjana & All....
Logged
phoenix
Guest
«Reply #13 on: July 13, 2006, 08:43:16 PM »
teri yaadon k saaye aksar ye poochne mujhse aaye hain
kya aabhi bhi zinda hai wo shama jo dil ne kabhi jalaye hain
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: July 14, 2006, 03:34:25 AM »
shukriya Aryaan......& bahut khoob Nitiesh....

teri judaai ka yeh kaisa uphaar hai
meri in aankho ko bas tera hi intazaar hai

dhalane lage hain ab toh saanso ke saaye
mere sajan tum keh kar bhi naa aaye

meri yeh peeda ab kaun samjhe
yeh mere dard ab kaun tumhe samjhaaye

taras raha hai mera dil tere deedar ko
ab in pyaase nayano ki payaas kaun bujhaaye

gheare dard mein hain din rein duby
adhar mere tera naam le le ke sukhe

aas ki kiran bhi ab toh koi na dikahaye
rulaa jaate hain aaj bhi mujhe teri yaado ke saaye
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:14:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer