Yaadon ko apne dil se mita kion nahi dete

by safina786 on March 13, 2005, 01:31:10 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2068 times)
safina786
Guest
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye

Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete
Logged
Meena
Guest
«Reply #1 on: March 13, 2005, 03:04:21 PM »
beautiful safina!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! bohot hi acha likha apne!! and welcome to yoindia!!

 :D
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #2 on: March 13, 2005, 05:37:49 PM »
Again a good one ...
Hope best from you ...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: March 14, 2005, 09:31:28 AM »
Quote from: "safina786"
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye

Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete


ke waqt ka har chalan badal den
chalo nizaam e kohan badal den

banayen nezon ko lafz aur hum
ada e sher o sukhan badal den

bahut nibha li hai yaari humse
e zakhm ji ab badan badal den

HumTum
Logged
nikki
Guest
«Reply #4 on: March 14, 2005, 08:50:47 PM »
wonderfull.....welcome to yoindia ...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #5 on: March 14, 2005, 08:51:23 PM »
HMMMMMMMMMMMM  NICE
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #6 on: March 15, 2005, 05:21:58 AM »
NIce safina..
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #7 on: March 15, 2005, 09:16:41 AM »
Quote from: "safina786"
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.

Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.

Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete

Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete

Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete

Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete

Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete

Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye

Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete


yaadoin ko dil se mitayenge kaise
jo mitayenge tuh jiyenge kaise
ki yaadein tuh saman hai jine ka humare
abh tuh jeete hain hum unhi yaadon ke sahare
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: March 15, 2005, 09:27:30 AM »
wao..nice Sandhaya....

yaadein ayengi to unke laotne ki umeed bhi layengi
jis din yeh aana bund ho jayengi,  to meri sanse bhi chal na payengi....
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: March 15, 2005, 09:38:39 AM »
Quote from: "nikki"
wao..nice Sandhaya....

yaadein ayengi to unke laotne ki umeed bhi layengi
jis din yeh aana bund ho jayengi,  to meri sanse bhi chal na payengi....


thanks nikki aap ne bhi kamaal likha hai


yaadein umid nahi hai kisi ke aane ki
ye tuh dualat hai gujare jamane ki
vo aaye na aaye yaadein saath hai
phir vahi mausam vahi barsaat hai
abhke vo tuh nahi hai paas par
par uske saath bhigi barsaat hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: March 15, 2005, 09:49:40 AM »
nice again....

kaon kehta hai ki guzre zamane wapis nahi aate
woh log jo yaad karte hain kisi ko, har pal guzre zamaano mein hi to jeete hain.

yaadon mein hi sahi...magar woh laot-ta to hai
woh bewafa hi sahi, uska khayal mere man mein daorta to hai...
Logged
abhishek_gaurav
Guest
«Reply #11 on: March 16, 2005, 07:31:12 AM »
wao safina bahut achhe
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #12 on: March 16, 2005, 08:10:17 AM »
Quote from: "nikki"
nice again....

kaon kehta hai ki guzre zamane wapis nahi aate
woh log jo yaad karte hain kisi ko, har pal guzre zamaano mein hi to jeete hain.

yaadon mein hi sahi...magar woh laot-ta to hai
woh bewafa hi sahi, uska khayal mere man mein daorta to hai...


gujra zamana jo kabhi lout ke aayega
uss wakt na jaane kya hume hojayega
kisike aane ki umeed hi chod chuke the
vo aayega tuh khushi ka khumar hum pe chayega
par yaadein hi hai abhi un bite lamhon ki
dimag nahi manta par dil tuh har gadi aas lagaye ga
vo aayega vo aayega vo aayega..................
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #13 on: March 16, 2005, 08:17:19 AM »
nice one sandhaya ji
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #14 on: March 16, 2005, 08:26:59 AM »
Quote from: "amit_is_always_cool"
nice one sandhaya ji


thanku amit ji.........
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 12:22:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer