Yadoon ke mela

by isha_verma7 on June 03, 2005, 06:51:03 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 3517 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #30 on: June 03, 2005, 10:32:48 PM »
Yaadon me jo ho gaye giraftaar
rahguzar se ho jaoge bekaar
yeh chehre pe apne jazbaat na lao
duniya karegi sawaal hazaar.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mela Rang Rangeela........ by RamSagar in Ghazals
dooh paal ka mela by RAJAN KONDAL in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Nahi bhulta aaj bhi vo kumbh mela by nandbahu in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Jhumki ka Mela>>> by kittoo in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
hina_chandni
Guest
«Reply #31 on: June 03, 2005, 10:35:32 PM »
Quote from: "fakharenaveed"
Yaadon me jo ho gaye giraftaar
rahguzar se ho jaoge bekaar
yeh chehre pe apne jazbaat na lao
duniya karegi sawaal hazaar.
wowwwww
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #32 on: June 03, 2005, 10:38:37 PM »
thanx....................u also write mind blowing....................



MOHOBBAT KO WOH RUSWA KAR CHALE
KOI UN SE PUCHE WHO KYA KAR CHALE

WAFA UN MAIN THI KAB, MOHOBBAT KAHA THI
GUMEIN JINDEGI WOH ATTA KAR CHALE

KYA MERI WAFA KA SILA YEH HAI YAA RAB
KIYE DIL KE TUKDE RULA KAR CHALE

DUA DIL SE NIKLE HAI JIN KE LIYE
SADA KHUSH RAHE JO BHULA KAR CHALE

NIGHAON MAIN CHHAI HUI HAI UDASI
HUM GHABRA KE UN SE GILA KAR CHALE

KHUDA KE LIYE AB JALWA DIKHA DO
HUMAIN ULJHAN MAIN MUTALA KAR CHALE

HUMHEIN UN SE ITNI MOHOBBAT HAI
MOHOBBATE HUQ HUM ADA KAR CHALE
Logged
hina_chandni
Guest
«Reply #33 on: June 03, 2005, 10:41:13 PM »
AAP KO TO HUMARI YAAD AATI NAHI
& EIK HUM HAIN AUR HUMARA DIL
KYA KAREIN YE CHAHTA HAI AAP KO
HUM ISE MANATEY HAIN....BUT
YE MANTA HAI AAP KO!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #34 on: June 03, 2005, 10:43:34 PM »
hmmmmmmmm buhat khoob...................................hina jee


aap ko neend nahin ayi hai kia?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh??
Logged
hina_chandni
Guest
«Reply #35 on: June 03, 2005, 10:45:56 PM »
Quote from: "fakharenaveed"
hmmmmmmmm buhat khoob...................................hina jee


aap ko neend nahin ayi hai kia?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh??
neendh to aayi hai pur kia karein ye dil sonay hi nahi deta!!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #36 on: June 03, 2005, 10:47:54 PM »
KIA ho gya hai dil ko............aap bhi meri tarh anhin soti ho kia?


Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se



Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.



Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.



Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.



Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.



Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.



Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.

Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se.
Logged
hina_chandni
Guest
«Reply #37 on: June 03, 2005, 10:49:48 PM »
Quote from: "fakharenaveed"
KIA ho gya hai dil ko............aap bhi meri tarh anhin soti ho kia?


Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se



Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.



Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.



Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.



Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.



Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.



Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.

Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se.
*********MIND BLOWING YAAR**************
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #38 on: June 03, 2005, 10:51:50 PM »
Aap ne ek baar bhi humhe dekha nahi
Varna hum aap par kurbaan ho jaate,
Agar aapne izhaar pehle kiya hota,
To hum aap ke kadar daan ho jaate ...
Logged
hina_chandni
Guest
«Reply #39 on: June 04, 2005, 04:06:47 PM »
Hasratein dil mein rahi, armaan mere jalay
Phir bhi num ankhon se hum hanse hi hanse.
Teri zindagi hasti muskurati rahe sada
Meri zindagi ka kya hai tanha katay to katay
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #40 on: June 04, 2005, 09:35:21 PM »
Quote from: "hina_chandni"
Hasratein dil mein rahi, armaan mere jalay
Phir bhi num ankhon se hum hanse hi hanse.
Teri zindagi hasti muskurati rahe sada
Meri zindagi ka kya hai tanha katay to katay
hmmmmmmmmmmmmmmmm

nice oen again
Logged
hina_chandni
Guest
«Reply #41 on: June 05, 2005, 02:07:49 PM »
.........................thanx naveed ji............ :wink:
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #42 on: June 05, 2005, 02:41:57 PM »
Quote from: "isha_verma7"
Iss dil main yadoon ke mela hai fir bhi hum akele hai
Us khuda ne yeh koi ek khel mere saath khela hai,
Sabki yadoon main kisi ki sanson ko jooda hai
Lekin hamare saath akele dil aur yadoon ka silsila hai.



nahi  tere sath khuda ne koi khel nahi khela hai,....

ye jo duniya ka mela hai is mele me har koi aakela hai,....

yadoo k silsile dil ke silsile,.....

ye to bus bahana hai,.......

har koi bus aapne liye kerta hai,...

yaha aapna her koi begana hai,......
Logged
hina_chandni
Guest
«Reply #43 on: June 05, 2005, 05:35:25 PM »
Sabhi log to kabhi achay nahin rehtay
jin se sach seekha hai woh bhi sachay nahin rehtay
kyun aisa hota hai aetebaar ki tooti dehleez per
jo buhat apnay hoon, akser apnay nahin rehtay
Logged
hina_chandni
Guest
«Reply #44 on: June 05, 2005, 05:36:29 PM »
Chaho to dilse humko mita dena
Chaho to humko bhoola dena
Par yeh wada karo ki, aaye jo kabhi yaad humari
Rona mat sirf muskura dena
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:07:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer