Yadoon ke samunder mai

by Pooja on July 29, 2004, 11:01:05 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 30
Print
Author  (Read 26627 times)
Pooja
Guest
«Reply #105 on: October 21, 2005, 04:03:23 PM »
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakti Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaoungi Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #106 on: October 23, 2005, 03:32:37 PM »
wah!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!  Pooja..........last  ki  two  line  to  bahot acchi lagi.......

Zindagi na banjay aazab dekhna
Ab tum apnay ap ko meray bad dekhna
Dhondo gi panah kissi k bazoon main
Bahut akeli tum apnay ap ko meray bad dekhna

nm
Logged
Ravish
Guest
«Reply #107 on: October 24, 2005, 06:28:12 AM »
THANX FOR UR
APPRECIATION

AAPNE JO DUA DI SHAYAD HAMARI DAVA BANE
AAPKI TAMANNA SHAYAD HAMARI WAFA BANE
JIS DOST KI TAALASH BARSON SE THI
SHAYAD US DOST SE MULAKAT KI SHAM BANE

JAB DEKHEN USE TOH DIL HUMSE KAHE
YAHI HAI WOH JISKA INTEZAR THA
ISI SE MILNE KO MAIN BEKARAR THA
ISI KE KHABON SE DIL PAQZAAR THA

TUNE MILWAYA MUJHE US SE
TERA YE EHSAAN HAI
PAR KYA YE SAATH DEGA TERA
JAB TUJHE ZAROORAT HOGI USKI

DUA KARTEIN HAIN HUM KI DIL
DOST YE HUM AISA BANAYE
JIN RASTON PAR KANTE BICHHE HON
UNHEN PHULON KA SEHRA BANAYE


THANX AGAIN
Logged
Tosha
Guest
«Reply #108 on: October 24, 2005, 12:04:06 PM »
Quote from: "Pooja"
Yadoon ke samunder mai,
ek lahar si ajj aai hai,
muchali hai bahoot ajj wo,
tarap tarap kar chattano se takrai hai
hai kinara magar kinara nahi,
yah bat na ab tak samaj pai hai.
hay khulla asmaan charo taraf,
bhir bhi bahoot tanhaai hai
Yadoon ke samunder mai,
ek lahar si ajj aai hai,
muchali hai bahoot ajj wo,
tarap tarap kar chattano se takrai hai


Quote from: "HumTum"
waah pooja ji ...  very touching !!

Bade badsoorat lagte the ye pahaad
jale the jungle inke, pahadi kaali reh gayee
pehla mansoon kutch is kadar barsa
badalo ne chooma aur barsaat yahin reh gayee
Gard e sehra se yu moti uthaaya tha humne
Veerano mein khazano ki pyaas pyaasi reh gayee
Mere Ahl-e-hashma mein aaye the rehbar kai
Rehte rehte ek woh hee haque-ravi reh gayee !!!!



bahut khoob...!!!

ki socha humne bhi ghaw dukhta kyo hai
jab khamoshi bane sanatta wo chubhta kyo hai
aaye aakho main ashq ke nadiya baha dun
anginat insano ke duniya main hum akale kyo hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #109 on: October 24, 2005, 01:54:44 PM »
Bohat khoob JHL, Pooja, Waheed, Ravish & Tosha....
Logged
Tosha
Guest
«Reply #110 on: October 24, 2005, 01:58:57 PM »
Thanks a lot Aryaan!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #111 on: October 24, 2005, 02:13:39 PM »


Intezaar tau karein keh jab woh aaye bhi
Bhool jaayein hum chorein jo mere saaye bhi

Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhenge apne aur paraye bhi

Woh ghair hai tau ghair ban-na bhi seekh le
Yaadon mein aake baar-baar aazmaaye bhi

Kehta hai duniya ko choar de ga hamein
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi

Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi bujhaye aag, khud hi lagaye bhi

Shikwa bhi tau kya karein hum kisi se
Khoya ik humsafar, tau lakhon rehnuma paaye bhi...
Logged
Tosha
Guest
«Reply #112 on: October 24, 2005, 02:28:47 PM »
wow...!!!

ki milo kabhi dil karta hai
shabd b shabd hi jana hai tumhe
wo mohabbat wo daard
tumhari ada se jana hai tumhe

ke aayo kareeb dekhe to sahi
mithe kyo lagte hai yeh zakham aaj
dikhe ho aaj khub main jo
yeh mitha daard jank na pakar le
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #113 on: October 24, 2005, 02:41:31 PM »
Thanx Tosha....&  Good One...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #114 on: October 24, 2005, 03:57:30 PM »
Bahoot hi khoobsoorat likha hai apne Aryaan !!!

Good one Tosha!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #115 on: October 24, 2005, 04:35:47 PM »
thanx pooja
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #116 on: October 24, 2005, 07:33:02 PM »
Bohat shukriya Pooja....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #117 on: October 25, 2005, 03:25:32 PM »
Jab zindagi kar ke kinara gujar gai
phir zikar kaya kare, kahan, kidher gai
 
yah to nahi gila, sung mere raqeeb ke
dekha jo tuje, to zara ankh bhar gai
 
chupana logo se, to na kabhi mushkil hua
aaina jab bolane laga, meri rooh dar gai
 
chahat ki raah per, naam roshan kiya bahoot
mohabaat, wafa, dosti, na teri najar gai
 
naam wafa ka laker, jo deta raha dagga
kayun uske intzaar mai, Tamanna thaher gai!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #118 on: October 25, 2005, 06:55:30 PM »

naam wafa ka laker, jo deta raha dagga
kayun uske intzaar mai, Tamanna thaher gai!!!!


Wah Pooja...Bohat khoob..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #119 on: October 25, 2005, 06:56:28 PM »
Thanks Aryaan!!!
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:48:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer