Yadoon ke samunder mai

by Pooja on July 29, 2004, 11:01:05 PM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 30
Print
Author  (Read 26812 times)
Pooja
Guest
«Reply #225 on: March 20, 2006, 07:56:18 AM »
dil ka dard jab sulgaye to kon sa sawan barsau
teri her ek yaad sataye, kaise khud ko samjhau
kabhi bebas hu, to kabhi nafart mujko khud se hoty hai
kis tarah tera nami nishan mitta du, koi bataye mujko
Logged
Pooja
Guest
«Reply #226 on: March 21, 2006, 07:05:18 PM »
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakti Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaoungi Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Logged
Pooja
Guest
«Reply #227 on: March 23, 2006, 04:22:58 PM »
nahi hai koi kami, phir bhi kasak hai man mai
her khushi mili muje, phir bhi kayun nami hai dil mai
kitani khawahishy meri, jo hoty gai poori
phir kayun ajj ek khawahish per, meri yah jaan nikle!

Shayad Kabhi kahin kuch main chor aai thi
Samjhaya tha lakh jamane ne,
Magar apni madhoshi ke trane mai
munh ko mord, chali aai thi

Waqat ke dhange se bandhi chalati rahi barso
Magar ab

Ajj koi phir se uski yaad dila gaya
Chupi hui thi kahin chingari
Jise wo shola bana gaya
Rah gaya tha wo jo “ek pal”
Ajj jakham ban kar sulgata hai
Jana wapis namumkin hai
Ek sholla sa dahkta hai
Dhoondati hu us “ek pal” ko
Shayad jo kabhi ab mil na payega
Tarasti rahegi yah najre
Aor yah dard zindagi bhar rulayega!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #228 on: March 27, 2006, 03:44:13 PM »
Quote from: "Pooja"
dil ka dard jab sulgaye to kon sa sawan barsau
teri her ek yaad sataye, kaise khud ko samjhau
kabhi bebas hu, to kabhi nafart mujko khud se hoty hai
kis tarah tera nami nishan mitta du, koi bataye mujko



yah dard na mitta hai, na kabhi mitta payegi
ek sard si hai zindagi, jisme tanha chalati jayegi
kabhi koi bhoole se, jo khushi mil gai to sun Pooja
muje yakin hai, uss per bhi tu sirf ansoo hi bahayegi!!!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #229 on: March 31, 2006, 03:04:54 PM »
Bahut khhoob Pooja ...


Time is like a river
You cant touch the same water twice,
Bcoz the flow that has passed
will never pass again ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #230 on: April 01, 2006, 03:15:59 PM »
THANKS AND GOOD ONE!!!

bahty pani ne, jo ek pal churaya tha
dono hi na loutegy, us waqat samjh mai na ayya tha
kab se baithy kinaro per, mai rasta uska dekhu
bahoot hai sathi magar, kayun usi ka sung mai dekhu!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #231 on: April 01, 2006, 03:18:17 PM »
Kyun kar na mein uska sang dekhu
baad mud'dat ke meiney paya hai usse
mein tasvuur bhi judai ka bhala kassey karu
meney kismat ki lakeeron se churaya hai use !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #232 on: April 01, 2006, 03:20:39 PM »
her lakeer badal kar dekh li
her dua kar ke dekh li
na bana phir bhi meri takdeer wo
her subah ki sham kar ke dekh li!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #233 on: April 01, 2006, 03:24:47 PM »
Apne pyaar pe e dost aitbaar karo
ayegega woh ik din intzaar karo
sachi mubobat kabhi mit-ti nahi
Jee bhar ke sanam se pyaar karo !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #234 on: April 01, 2006, 03:26:36 PM »
beet gaye barso ab na ayega koi
yah jhoothi tasalli hum bhi khud ko dety rahe
hum karty rahe payaar ki aor wafa ki baaty
wo duniyadaari ki sari rivayty karty rahe!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #235 on: April 01, 2006, 03:30:58 PM »
Ho bhi sakta hai ke uski koi majboori ho
koi kaam ho asia ke bahut hi zaroori ho
Kismat ke hathoon majboor hai sabhi
warna kaun chahta hai ke sanam se duri ho ?
Logged
Pooja
Guest
«Reply #236 on: April 01, 2006, 03:32:59 PM »
kuch ke liye payaar sirf ek kheil hai
aggy bar jaaane ke liye jaise koi rail hai
jab tak hai jaroori, hans kar batiyaty raho
kaam nikal jaane per, hai wo bhar, yah jataty raho
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #237 on: April 02, 2006, 03:25:41 PM »
Good one both of you ...


Waqt guzarta par saanse thaami thi,
Muskura rahe the hum par aankhon mein nami thi,
Saath hamare ye jahaan tha sara,
Par na jaane kyu unki kami thi ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #238 on: April 03, 2006, 03:01:22 PM »
good one JHL JI!!!

Kami uski khalati hai her pal
ek hook se uthati hai sil mai her pal
her pal dil janta hai ki wo mere nahi
phir bhi apna banae ki dil se dua uthati hai her pal
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #239 on: April 03, 2006, 05:18:28 PM »
Bohat khoob Pooja ji n JHL.

"Aaj phir teri un yaadon ke samandar me dil doobna chah raha hai,
      apne dil ke samandar me jo yaadein daba ke rakhi hain maine,
      aaj un yaadon ko lehron ki tarah ankho me lehrana dil chah raha hai,
      kitna bhi chaahun,khud ko rok nahi paati hun,
      teri yaadon me meri zindagi ka waood hi khota jaa raha hai."
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:15:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer