Yadoon ke samunder mai

by Pooja on July 29, 2004, 11:01:05 PM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30
Print
Author  (Read 27126 times)
Pooja
Guest
«Reply #375 on: August 27, 2007, 06:48:54 PM »
Dard mai hansi, khoon ke ansoo rulati hai
Dekhu jo Aaina, kismet hi apni najar atti hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #376 on: August 30, 2007, 02:09:34 PM »
Teri yaando ke samne, her bar, sir jhukaye jaati hu
Sochati hu tujhko aor  khud ko rulaye jaati hu

Nahi sochati kuch bhi, aor, tujhko hi soche jaati hu
Teri bato ke khanjar se, khud ko qatal kiye jaati hu

Rahti hu ajj bhi khawab-o-khayalo ki dunia main
Haqiqat se ajj bhi khud ko alag kiye jaati hu

Puchati hai sawal duniya, aor main chup rah jaati hu
Apne ander siskate jawabo se khud ko jalaye jaati hu

Koi nahi hai, koi na ayega is dard ki nagari main
Bat bat per yahi , Is Pooja ko samjhaye jaati hu
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #377 on: August 30, 2007, 06:42:09 PM »
BAHUT KHOOB POOJAJI...BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE

CHALE THE HUM TOHFA-E-WAFA LEKAR
GHAMO NE LUT LIYA MERI HASTI KO
NAAM AAPKA LEKAR

YEH AAG JO MERE GHAR KO LAGI HAI,
TO KOI TAAJUB NAHI MUJHE
BIJLIYAN BHI NIKLI THI AASMAN SE
MERE GHAR KA PATA LEKAR

YEH PATHAR DIL KI DUNIYA HAI
KEEMAT NAHI YAHAN PYAAR KI
KAHAN KHADE HO JANAAB AAP
HAATH MEIN AAINA LEKAR

KHWABO KHAYALAT KI DUNIYA
TO KHUBSURAT HOTI HAI
PAR HAQEEQAT MEIN
YEH JHOOT AUR FAREB KI DUNIYA HAI "KHWAISH"
YAHAN JEE SAKTA HAI WOHI
JO JIYE DIL MEIN HAUSLA LEKAR

AANKHEIN BAND HO JAAYE AB TO BEHTAR HAI "KHWAISH"
KAUN JIYE YAHAN MAAYUS
CHEHRE PE ILTEJA LEKAR
Logged
Pooja
Guest
«Reply #378 on: August 30, 2007, 06:58:06 PM »
GOOD ONE KHWAISH JI
Logged
SHONA
Guest
«Reply #379 on: August 31, 2007, 07:00:59 PM »
Quote from: "khwaish"
BAHUT KHOOB POOJAJI...BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE

CHALE THE HUM TOHFA-E-WAFA LEKAR
GHAMO NE LUT LIYA MERI HASTI KO
NAAM AAPKA LEKAR

YEH AAG JO MERE GHAR KO LAGI HAI,
TO KOI TAAJUB NAHI MUJHE
BIJLIYAN BHI NIKLI THI AASMAN SE
MERE GHAR KA PATA LEKAR

YEH PATHAR DIL KI DUNIYA HAI
KEEMAT NAHI YAHAN PYAAR KI
KAHAN KHADE HO JANAAB AAP
HAATH MEIN AAINA LEKAR

KHWABO KHAYALAT KI DUNIYA
TO KHUBSURAT HOTI HAI
PAR HAQEEQAT MEIN
YEH JHOOT AUR FAREB KI DUNIYA HAI "KHWAISH"
YAHAN JEE SAKTA HAI WOHI
JO JIYE DIL MEIN HAUSLA LEKAR

AANKHEIN BAND HO JAAYE AB TO BEHTAR HAI "KHWAISH"
KAUN JIYE YAHAN MAAYUS
CHEHRE PE ILTEJA LEKAR


Good one khwaish.. =D>  =D>
Logged
angel4u
Guest
«Reply #380 on: September 01, 2007, 05:30:43 PM »
wonderful Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #381 on: September 03, 2007, 07:41:24 PM »
THANX A LOT POOJAJI,SHONA & ANGEL Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #382 on: October 03, 2007, 07:44:26 PM »
Her pal ek nai yaad is samunder ka hissa hui
Her teri teekhi baat, her roj ka kissa hui
Kis kis baat per nahi hote tum preshan
Meri to her baat hi jhagre ka hissa hui

Kahin gahrai mai doobi jaati hai teri meri hasti
Ab to her achi baat, beeta hua kissa hui!!!!
Payar bhare bol, na jaane kaha kho gaye humse
Pyar bhari wo dorr, ek bikhra hua ab rishta hui
Logged
faiiz_76
Guest
«Reply #383 on: October 03, 2007, 07:50:22 PM »
bohat khoob ...app yakeen aur beyakeeni ke dermiyan ki bat ker rahihain . bohat acha
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #384 on: October 15, 2007, 12:21:21 PM »
Bahut khoob Pooji ...
Keep it up ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #385 on: October 16, 2007, 06:54:43 PM »
thanks Faiiz and JHL ji!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #386 on: October 23, 2007, 08:15:50 PM »
Quote from: "Pooja"
Her pal ek nai yaad is samunder ka hissa hui
Her teri teekhi baat, her roj ka kissa hui
Kis kis baat per nahi hote tum preshan
Meri to her baat hi jhagre ka hissa hui

Kahin gahrai mai doobi jaati hai teri meri hasti
Ab to her achi baat, beeta hua kissa hui!!!!
Payar bhare bol, na jaane kaha kho gaye humse
Pyar bhari wo dorr, ek bikhra hua ab rishta hui


BAHUT KHOOB POOJA..EK KOSHISH MERI TARAF SE


HUM JAB JAB SAATH THE,HAMARI MAUJUDGI HI
RAUNAK-E-MEHFIL KI PEHCHAAN HUI
AB TUM BIN,HAR SAANS LAGTA HAI
JAISE PAL DO PAL KI MEHMAAN HUI

AAKHIR WOH KAUNSI BAAT THI,
JISSE HUM KABHI SULJHA NA PAAYE??

LOGO KE LIYE,ZINDAGI MEIN SULJHAANE KE LIYE
KUCH SAWAAL HOTE THE!!!
PAR HAMARI TO SAWAALO KE BEECH ZINDAGI EK HISSA HUI

BIKHRE HUE RISHTE KI MEHAK RAHEGI QAYAMAT TAK
WOH BAAT ALAG HAI KE JIS RISHTE KA KOI NAAM NA BAN PAAYA
WOH IS DUNIYA KE LOGO KE LIYE BENAAM HUI..

ZINDAGI KI IS KAHANI MEIN.
JO DO KIRDAAR NIBHA RAHE HAI HUM,
DEKHNE WALO KE LIYE TO YEH
KAHANI EK DILCHASP KISSA HUI
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #387 on: October 27, 2007, 05:32:09 PM »
Good one Khwaish ...
Keep it up ...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #388 on: October 27, 2007, 07:22:54 PM »
THANX A LOT FOR APPRECIATING
Logged
Pooja
Guest
«Reply #389 on: October 29, 2007, 03:32:15 PM »
Good one Khwaish Ji!!!

Lagta hai JHL ji apko humari shayri yaha pasand nahi aai...No Comments sad5
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:14:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer