"yaqee.n mujh par nahi hai"

by aaina on August 29, 2009, 02:05:08 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1575 times)
aaina
Guest
Usko yaqee.n mujh par nahi hai
Isme bhi shayad meri kami hai

Mein isme bhi fayeda sochata hu.n
Jo hui aasnuo.n se tar meri zami hai

akela mein hi to gunehgaar nahi hun
Ghaltii to farishtey ne bhi ki hai

Tumhe ab kis baat ki fikr hai
Tumhari aankho mai ye kaisi nami hai

Jo tum chaho, us laqab se pukarun
Ab kahin jake mujhpe qismat hasi hai

Kabhi sochoge akele mai agar tum
To samajh jaoge ke aslam sahi hai
Logged
mistufer
Guest
«Reply #1 on: August 29, 2009, 02:47:49 AM »
Usko yaqee.n mujh par nahi hai
Isme bhi shayad meri kami hai

bahut zabardast agaaz hai
har sher umda likha hai
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: August 29, 2009, 03:26:17 AM »
Waah Kya baat hai Aslam ji.. Bahoot hi Jazbaato.N se bari ak anhokhi peshkash ... Bhaoot Khoob!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #3 on: August 29, 2009, 10:30:51 AM »
Akela main hi to gunehgaar nahi hoon,
Galtiyaan to farishto ne bhi ki hai...

...subhanallah...kya line likhi hai Aslam bhai...good work...
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: August 29, 2009, 11:17:13 AM »
Bohot Khoob Aslam Ji !

Shayad aap hi ne kahin likha tha, aapki ghazal pe yaad aa gaya mujhe.....



Wohi Purani Si Chahatain Hain
Wohi Purani Rafaqatain Hain
Lakeer Paani Pe Khinch Gayi Ho
Abhi To Aisa Hua Nahin Hai !!
(NM)
Logged
smardia
Guest
«Reply #5 on: August 29, 2009, 12:00:46 PM »
Aslamji mubarak ho..dil ko chhoone wale sher hain aapke..... Applause Applause Applause

Etbaar hota nahi ab unko mere vaado pe
Khara utar nahi saka mai unke erado pe


Usko yaqee.n mujh par nahi hai
Isme bhi shayad meri kami hai

Mein isme bhi fayeda sochata hu.n
Jo hui aasnuo.n se tar meri zami hai

akela mein hi to gunehgaar nahi hun
Ghaltii to farishtey ne bhi ki hai

Tumhe ab kis baat ki fikr hai
Tumhari aankho mai ye kaisi nami hai

Jo tum chaho, us laqab se pukarun
Ab kahin jake mujhpe qismat hasi hai

Kabhi sochoge akele mai agar tum
To samajh jaoge ke aslam sahi hai

Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: August 29, 2009, 01:01:10 PM »
Usko yaqee.n mujh par nahi hai
Isme bhi shayad meri kami hai

Mein isme bhi fayeda sochata hu.n
Jo hui aasnuo.n se tar meri zami hai

akela mein hi to gunehgaar nahi hun
Ghaltii to farishtey ne bhi ki hai

Tumhe ab kis baat ki fikr hai
Tumhari aankho mai ye kaisi nami hai

Jo tum chaho, us laqab se pukarun
Ab kahin jake mujhpe qismat hasi hai

Kabhi sochoge akele mai agar tum
To samajh jaoge ke aslam sahi hai

bahut khoob aslam bhai har ek sher apni pehchaan khud karata hai
khoob likha hai bhai kya kehna



mere iraado la ilm unko hua hi nahin shayad
ya aankehn oonki maine padi nahin shayad
jane kya hua dil ro pada apni kismat par
hothon par hansi phir bhi jami rahi shayad
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: August 29, 2009, 01:12:06 PM »
Usko yaqee.n mujh par nahi hai
Isme bhi shayad meri kami hai

Mein isme bhi fayeda sochata hu.n
Jo hui aasnuo.n se tar meri zami hai

akela mein hi to gunehgaar nahi hun
Ghaltii to farishtey ne bhi ki hai

Tumhe ab kis baat ki fikr hai
Tumhari aankho mai ye kaisi nami hai

Jo tum chaho, us laqab se pukarun
Ab kahin jake mujhpe qismat hasi hai

Kabhi sochoge akele mai agar tum
To samajh jaoge ke aslam sahi hai


Beautifully written Aslam Ji..

Bahut khoobsurti se har lafz ko piroya hia aapne... Clapping Smiley
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: August 30, 2009, 01:11:24 AM »
Usko yaqee.n mujh par nahi hai
Isme bhi shayad meri kami hai

bahut zabardast agaaz hai
har sher umda likha hai




thnxxx so much nira ji ek aapne pasnd ki................
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: August 30, 2009, 01:12:09 AM »
Waah Kya baat hai Aslam ji.. Bahoot hi Jazbaato.N se bari ak anhokhi peshkash ... Bhaoot Khoob!




bhut bhut shukriya sophi........................
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: August 30, 2009, 01:13:13 AM »
Akela main hi to gunehgaar nahi hoon,
Galtiyaan to farishto ne bhi ki hai...

...subhanallah...kya line likhi hai Aslam bhai...good work...


thnxxxxx so much JHL thnxxx alot
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: August 30, 2009, 01:14:59 AM »
Aslamji mubarak ho..dil ko chhoone wale sher hain aapke..... Applause Applause Applause

Etbaar hota nahi ab unko mere vaado pe
Khara utar nahi saka mai unke erado pe



bhut shukriya smardia ji youn hi saath daite rahiye......

nice one
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: August 30, 2009, 01:16:04 AM »
bahut khoob aslam bhai har ek sher apni pehchaan khud karata hai
khoob likha hai bhai kya kehna



mere iraado la ilm unko hua hi nahin shayad
ya aankehn oonki maine padi nahin shayad
jane kya hua dil ro pada apni kismat par
hothon par hansi phir bhi jami rahi shayad



thnxxx so much saahil thnxx dear aur kya khoob likha hai tumne bhi good work keep it up
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: August 30, 2009, 01:17:10 AM »
Beautifully written Aslam Ji..

Bahut khoobsurti se har lafz ko piroya hia aapne... Clapping Smiley


bhut bhut skhuriya angel is hosla afzaaii ka............
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: August 30, 2009, 01:23:51 AM »
Bohot Khoob Aslam Ji !

Shayad aap hi ne kahin likha tha, aapki ghazal pe yaad aa gaya mujhe.....



Wohi Purani Si Chahatain Hain
Wohi Purani Rafaqatain Hain
Lakeer Paani Pe Khinch Gayi Ho
Abhi To Aisa Hua Nahin Hai !!
(NM)

thnxxx talat thnxxx so much.....ji sahi kaha hai aapne ki maine hi likha tha, is silsile mai kya keh sakta hun bas itna hi ke khyaal hain bandisho.n ke hado.n se kahin aage, ehsaas hawa ka ek jhoka jo kabhi to you.n chu kar nikal jaata hai ke maano ek aisa sukoo.n jo aaj se pehle kabhi nahi mila aur kabhi you.n bhi hota hai ki tishnagi ki hado.n ko paar kar jaata hai to isse rok paana bas ki baat nhi, aap mashallah se itni tawajjo se meri post ko padti hain iske liyn aapko tahe dil se mamnoo hu.n aur umeed karta hun ki aap you.n hi nazar e karm karti rahengi, Allah aapko hamesha khush rakhe aameen
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:04:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer