ye chand ye sitare ye gunche ye phool

by clicksahil on March 02, 2005, 02:19:21 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 874 times)
clicksahil
Guest

hathon pey khichi iss lakir kii tarah
lagne laga hai tu meri taqdeer kii tarah
main rah ka chirag hun chalti hai jab hawa
lagti hai aake dil pey mere tir kii tarah
tum mil gaye to ho gayee puri ye aarzoo
goya ke mera khwaab hai taabir ki tarah
ye chand ye sitare ye gunche ye phool
lagte hain sab tumhari he tasweer ki tarah
gaon se door shaher mein aane ke bawajood
yadein hain teri paon mein zanjeer ki tarah
kya baat mujh mein inko nazar aa gayee ke log
padhte hain mere chehre ko tasweer ki tarah
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ye chand ye sitare ye gunche ye phool by clicksahil in Shayri-E-Dard
chand aek ehad wafa ke aur do chaar phool gulaab ke by sunny_bewafa in Shayri for Khumar -e- Ishq
chand.hwa aor phool sabi by aankhain in Miscellaneous Shayri
~Sitare Na Huye~ by pankshivam in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Ishq ke gunche me by RAHULCHARAN0190 in Shayri for Khumar -e- Ishq
HumTum
Guest
«Reply #1 on: March 02, 2005, 03:57:18 PM »
Quote from: "clicksahil"

hathon pey khichi iss lakir kii tarah
lagne laga hai tu meri taqdeer kii tarah
main rah ka chirag hun chalti hai jab hawa
lagti hai aake dil pey mere tir kii tarah
tum mil gaye to ho gayee puri ye aarzoo
goya ke mera khwaab hai taabir ki tarah
ye chand ye sitare ye gunche ye phool
lagte hain sab tumhari he tasweer ki tarah
gaon se door shaher mein aane ke bawajood
yadein hain teri paon mein zanjeer ki tarah
kya baat mujh mein inko nazar aa gayee ke log
padhte hain mere chehre ko tasweer ki tarah


good one....:D


jinake Khaatir kabhii ilzaam uthaaye, 'HumTum'
vo bhii pesh aaye hain insaaf ke shaahon kii tarah

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: March 02, 2005, 05:06:38 PM »
nice both!!!

 :D
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #3 on: March 03, 2005, 05:41:37 AM »
thnx meena ji and humtum....


wo gazal waalon ke asloof khoob samajhte honge...
chand kahte hain kise wo khoob samjhte honge....
milti hai teri soorat meri gazlon se itni....
log tujhe mera mahboob samjhte honge


ENJOY FRENZZZ.... kahi kisi ka dard kisi ka dil behlane ke kaam aata hai kya hia yeh duniya waah ree
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:09:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer