Ye dard aur sard mausham

by paani on January 01, 2007, 06:59:32 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1098 times)
paani
Guest
Aaj fir tanhaai ka daur chala hai
barsoon baad ruswaai ka daur chala hai
meri nam aakhne , aur ye nam gulshan
waffaaon ke patte zarne lage hai
Ye dard aur ye shard mausham..

Hargiz samjaya dil-e-barbaad ko mene,
fareb hai muhoobat, aur ye tilssm-e-sanam
mukkdar mein likha hai ab to shaayd
Ye dard aur ye shard mausham

Ab umeedon ka janaza utthaun kase ?
yahaan na garat rahi na dil mein raham
log bhi nahi aaten gharon se bahar dekho
Ye dard aur ye sard mausham

Khawaish ...bas baaki na ho koi nishaan mera
fanaa karna, har arrman , tera har karm
dhuaan utthega khaak se mere wffa ka
jb bhi aayega.. ye dard aur ye sard mausham

Tadpogi tum bhi tarsoogi tum bhi shiyaa raaton mein,
mehkegi chandni..ab ..sajegi shabanam
mera pyaar pura chand ho..falak per, dua karo
laut ke aayega mukarrar hai...
Ye Dard Aur ye Shard Mausham..
Ye Dard Aur ye Shard Mausham.....

 sad10  :bigsmurf:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kuchh to havaa bhii sard thii by muneeb in Shayri-E-Dard
!!__-Sard Haat-__!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
may sard musam ki udass sham ki tarhan hun by payar in Shayri for Dard -e- Judai
Doobtaa jaa rahaa hai dard, sard aahoun mein! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
sard sard ehsaas by saahill in Share:Love Poetry
Talat
Guest
«Reply #1 on: January 01, 2007, 11:39:47 AM »
Bohot khoon Paani !!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #2 on: January 01, 2007, 12:03:28 PM »
really touching paani ji .........very nice....

kehne ko dastaan nigaaho mai aaj chalka ashk-e-surur hai
sayad kuch main majboor hun ,kuch mausam ka kasoor hai

.....................@fahi@........................
Logged
paani
Guest
«Reply #3 on: January 01, 2007, 12:06:40 PM »
Thanx Talat ji... wase aapka man nahi kiya kuch likhne ko.. ?
Shukriya PJAG. aapki hausla afjaai ka..
Logged
paani
Guest
«Reply #4 on: January 02, 2007, 10:16:53 AM »
Sanam ko un hi badnaam kiya hai mein
waffa kahan milti hai ab jamane mein
chhalkne lagega dard dil se jo ab o saaki
dubo dunga PAANI ko ,tere maikhaane mein!!



Lekin abhi nahi
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: January 02, 2007, 10:48:34 AM »
very well paani ...keep it up

n nice lines fahi....
Logged
paani
Guest
«Reply #6 on: January 03, 2007, 04:18:46 AM »
Thanx Jeet......
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:06:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer