Ye dard hai kaun sa ?

by Nino on July 08, 2005, 07:42:15 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1247 times)
Nino
Guest
Ye dard hai kaun sa ?ye chubhan hain kaun si ?
ye Ishq hai kiska ? ye mohabat hai kaun si ?
main to ise pyaar hi samjhta raha her baar
ab to halaat ye hai ki zindagi ban gayi maut si

unka tasvoor hi kaafi tha jeene ke liye
to Aankhoon mein tasveer hain dhundli kaun si ?
wo jo mere ho ker bhi ho na sake un se gila kiya ?
ab to bas jiye ja raha hoon ik bejaan si zindagi
farak itna hai ki zindagi ban chuki hai maut si
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaun ho tum??..... by Namkeen in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard apanaataa hai paraaye kaun by suave in Shayri-E-Dard
woh kaun tha?? by amritflora in Shayri-E-Dard
kaun aya hai by bekarar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
app ka kaun tha by Azedmeer in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Pooja
Guest
«Reply #1 on: July 08, 2005, 07:50:36 PM »
wah kaya baat kahi Nino ji.....kaha thy app......,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Logged
Nino
Guest
«Reply #2 on: July 08, 2005, 07:55:25 PM »
thx pooja ji pasend karne ka ............ bas yahin tha kabhi yahan  to kabhi wahan
Logged
Nino
Guest
«Reply #3 on: July 21, 2005, 07:41:14 PM »
Uske jaane se aaj hua muhje ehsaas uske na hoone ka
ik pal mein duniya lut gayi meri ab kiya faida roone ka
wo to kabhi mera tha hi nahi to dard kiyu hai uske na hoone ka
ager kisi baat ka gham hain to bas hai sirf use khoone ka
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: July 22, 2005, 02:21:15 PM »
wah nino ji.........bohot acha likha apne!!!!!!!! i hope aab aap thik thak hai?
Logged
rawat
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 80
Member Since: Oct 2004


View Profile
«Reply #5 on: July 22, 2005, 02:39:51 PM »
Quote from: "Nino"
Uske jaane se aaj hua muhje ehsaas uske na hoone ka
ik pal mein duniya lut gayi meri ab kiya faida roone ka
wo to kabhi mera tha hi nahi to dard kiyu hai uske na hoone ka
ager kisi baat ka gham hain to bas hai sirf use khoone ka


very nice word yaar !!!!!!!!!!!

uske jaane se hi ehesaas hota hai uske na hone ka
gar hai pyaar toh kabhi afsos na karna usko khone ka
yahi toh sachcha pyaaar hota hai kabhi gila na karna rone ka
haan yahi toh dard hai sachcha pyaar hone ka !!!!!!!!


keep smiling yaar !!!!!!! just chill like me
 Usual Smile
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: July 22, 2005, 02:44:14 PM »
wah rawat ji, bohot achi reply hai!!!

unke jane ke bad hi mehesoos hui hume unki kami,
muskurate to hai hum par ankhon me phir bhi hai nami!
Logged
Bharat
Guest
«Reply #7 on: July 22, 2005, 04:20:34 PM »
Quote from: "Meena"
wah rawat ji, bohot achi reply hai!!!

unke jane ke bad hi mehesoos hui hume unki kami,
muskurate to hai hum par ankhon me phir bhi hai nami!



Hello Meenaji,
Aapki shayari bahut aachhi hoti hai

Muskurate huye phoolo ko sabhi pyar karte hai
Murzaye huye phoolo ko mala me koi pirota nahi

Bada nazuk hota hai ye dil phoolo ke tarah
Gur ek baar tut jaye to pyar phir hota nahi
Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: July 22, 2005, 04:30:04 PM »
bohot bohot shukriya bharat ji...aap sab logo se hi to sikha hai maine!  :D

mana dil tootne par se badi takleef hoti hai
rukh jaoge tum tab par waqt tumare lyie rukhega nahin,
samet lo daman me toote hue dil ke tukdon ko aye dost,
dekhte rahoge inhe, to teri ankhon ka samundar kabhi sukhega nahin!
Logged
rawat
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 80
Member Since: Oct 2004


View Profile
«Reply #9 on: July 27, 2005, 10:23:22 AM »
Quote from: "Meena"
bohot bohot shukriya bharat ji...aap sab logo se hi to sikha hai maine!  :D

mana dil tootne par se badi takleef hoti hai
rukh jaoge tum tab par waqt tumare lyie rukhega nahin,
samet lo daman me toote hue dil ke tukdon ko aye dost,
dekhte rahoge inhe, to teri ankhon ka samundar kabhi sukhega nahin!



very nice meena ji
fasa ho insaan majdhaar main to naiyaa usey bachaaye
joh naiye hi insaan ko duboiye usey kaun bachaaye
dill tootne se takleef  hoti hai toh inssan dill ko bahalaye
joh toot jaye ishq main insaan toh use kaun bahalaaye.

ye chingari koi bharke ki tarah hai par there is no line from that song this is my own lines
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: July 27, 2005, 04:19:57 PM »
wah very nice rawat ji...its true kuch CHINGARI wale songs se milti hai apki poem!!!  :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #11 on: July 27, 2005, 04:48:56 PM »
bohat accha likha hai aapne nino,meena sis as always wonderful,nice rawat and bharat ji also.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #12 on: July 27, 2005, 05:01:05 PM »
wow  nice  works  all  frnds .......................keep  it  up.................tongue3
Logged
Meena
Guest
«Reply #13 on: July 27, 2005, 05:05:40 PM »
shurkiya... ji.... shukriya .....dosto!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
 :D
Logged
Nino
Guest
«Reply #14 on: August 08, 2005, 04:33:17 PM »
aap kii yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar

raat bhar dard ki shammaa jalati rahi
Gam ki lau tharatharaati rahi raat bhar

baansurii ki surili suhaanii sadaa
yaad ban ban ke aatii rahi raat bhar

yaad ke chaand dil mein utarate rahe
chaandani jagamaati rahi raat bhar

koi diivaanaa galiyoon mein phirataa rahaa
koi aavaaz aati rahi raat bhar
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:44:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer