ye jo halka halka surur hai

by Daredevil on October 23, 2008, 05:27:03 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2575 times)
Daredevil
Guest
Yeah Joh Halka Halka Saroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai

K Sharab Peena Sikha Diya

Tairay Pyar Nai, Teri Chaah Nai
Teri Behki Behki Nigaah Nai

Mujhay Ik Sharabi Bana Diya…

Saqi Ki Har Nigah Pay Bal Kha K P Gaya
Lehroon Say Khailta Hoa Lehra K P Gaya

Ey Rehmat-E-Tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-E-Shouq (Mein) Say Ghabra K P Gaya



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #1 on: October 23, 2008, 05:30:19 PM »
Nikle jo mere ansoo tu unhe buraa sa laga..
Wafa bhara yeh andaaz bhi bewaafa sa laga..

Mujhe tu bas apna kehthe hain woh faqath
Saath tu hai mere magar juda-juda sa laga..


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #2 on: October 23, 2008, 05:30:45 PM »
baGair mere tujhe chain aa nahii.n sakataa
meraa javaab kahii.n se tuu laa nahii.n sakataa

hazaar parde bhii Daalo agar banaavaT ke
dilo.n kii baat ko cheharaa chhupaa nahii.n sakataa

banaa diyaa hai zamaane ne dil ko patthar kaa
sataaye ko_ii bhii mujh ko rulaa nahii.n sakataa

hasiin taaj mahal ke banaane vaalaa bhii
dilo.n ke TuuTe gharau.nde banaa nahii.n sakataa

Shayar: Naseem Akhtar
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #3 on: October 23, 2008, 05:31:09 PM »
Na ravaa kahiye na sazaa kahiye
Kahiye kahiye mujhe buraa kahiye

Dil men rakhane ki baat hai gam-e-ishq
Is ko hargiz na barmalaa kahiye

Wo mujhe qatl kar ke kahate hain
Maanataa hi na thaa ye kyaa kahiye

Aa gai aap ko masihaai
Marane vaalo ko marhabaa kahiye

Hosh udane lage raqibon ke
"Daag" ko aur bevafaa kahiye



NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #4 on: October 23, 2008, 05:31:27 PM »
Insaan mein haivan yahan bhe hai vahan bhi
Allah nigah-e-baan yahaan bhi hai vahan bhi

Khunkhaar darindo'n ke faqat naam alag hain
Shahro'n mein bayaabaa'n yahaan bhi hain vahaan bhi

Rahmaan ke qudarat ho ya bhagvan ke moorat
Har khail ka maidaan yahaan bhee hai vahaan bhi

Hindo bhi maze mein hain musalman bhi maze mein
Insaan pareshan yahan bhi hai vahan bhi

Uthata hai dil-o-jaan se dhuaa'n dono taraf hey
Ye ''meer'' ka deevan yahan bhi hai vahan bhi




NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #5 on: October 23, 2008, 05:31:43 PM »
aankh ko jaam likho zulf ko barsaat likho
jis se naaraaz ho uss shakhs kee har baat likho


jis se milkar bhee na milne kee kasak baaqee hai
usee anjaan shanaasaa kee mulaaqaat likho


jism masjid kee tarah, aankhein namaazo'n jaisee
jab gunaaho'n mein ibaadat thee vo din -raat likho


iss kahaanee ka to anjaam vahee hai jo thaa
tum jo chaaho to muhabbat kee shuruaat likho


jab bhee dekho use apnee nazar se dekho
koee kuchh bhee kahe tum apne khayaalaat likho
-Nda Fazli-
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #6 on: October 23, 2008, 05:32:44 PM »
Ye fakhar to hasil hua ke burey hain ke bhaley hain
Do char qadam ham bhi tere sath chaly hain

Jalna to chiraghoon ka muqad'dar huaazal sey
Ye dill ke kanwal hain ke bujhy hain na jaly hain

They kitny sitary ke sar e shaam hi dobey
Hangam e seher kitny hikhurdheed dhaly hain

Jo jheyl gay hans ke kari dhoop ke tewar
Taroon ki khunk chaaon main wo log jaly hain

Eik shama bujhai to kai or jala liin
Ham gardidsh e doran sey bari chaal chalay hain
Ada Jafri
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #7 on: October 23, 2008, 05:33:08 PM »
shaam se aankh mein nami si hai
aaj phir aapaki kami si hai
shaam se aankh mein nami si hai

dafn kar do hamein ke saans mile
nabz kuchh der se thami si hai
aaj phir aapaki kami si hai

vaqt rahataa nahin kahin tik kar
iski aadat bhi aadami si hai
aaj phir aapaki kami si hai

koyi rishtaa nahin rahaa phir bhi
ek tasalim laazami si hai
shaam se aankh mein nami si hai !




NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #8 on: October 23, 2008, 05:34:03 PM »
Abke Hum Bichhde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile
Jiss Tarah Suukhhe Huye Phuul Keetaabon Mein Mile

Dhund Ujde Huye Logon Mein Wafaa Ke Motee
Ye Khazaane Tujhe Mumqeen Hain Kharaabon Mein Mile

Tu Khuda Hain Na Meraa Ishq Farishton Jaisaa
Dono Insaan Hain To Kyun Itni Hijaabon Mein Mile

Gham-e-Duniyaa Bhi Gham-e-Yaar Mein Shaamil Karlon
Nasha Badta Hain Sharaabe Jo Sharaabon Mein Mile

Ab Na Wo Main Huun Na Tu Hain Na Woh Maazi Hain “Faraz”
Jaise Do Saaye Tamaanna Ke Saraabon Mein Mile



*Writer: Ahmed Faraz Jee **
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #9 on: October 23, 2008, 05:34:20 PM »
kathan hai zindagi kitni
safar dushwar kitna hai
kabhi paoon nahi chalte
kabhi raste nahi milte
humara sath de paye
koi aesa nahi milta
faqat aesay guzaroon to
ye shab o roz nahi kat te
ye kat te the kabhi pehle
magar haan ab nahi kat te
mujhe phir bhi mere malik
koi shikwa nahi tujhse
main jaa'n per khel sakta hoon
main her dukh jhail sakta hoon
agar tu aaj hi ker de
muhabbat humsafar meri

sagheer anwar
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #10 on: October 23, 2008, 05:34:35 PM »
Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin


NM
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: October 24, 2008, 03:43:05 AM »
nice collection Rishi ji, app apna likha likhte to jayada acha lagta
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #12 on: October 25, 2008, 07:46:15 AM »
Thanku Pooooja Ji Apna ho ya Paraya par Shayari to Shayari hoti hai na Huh? Aap mujhe nahi shayari ko appreciate karte hai chae vo meri ho ya kisi aur ki hmmm
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #13 on: October 25, 2008, 08:06:45 AM »
ek tum ke dil mein dard kisi gair ke liye
ek hum ke dard ban gaye khud aap ke liye
hum apnay aashiyane mein the aapke intezaar me
tum tinke chun rahey thay kisi aur ke liye


NM
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:15:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer