Ye kaisa rishta..

by Samargwl on November 08, 2006, 08:46:44 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1630 times)
Samargwl
Guest
Yun is tarah tum humein sharmindaa naa karo,

Ki aapki kadar karna to humare liye inaayat hai..
Logged
pinky
Guest
«Reply #1 on: November 08, 2006, 08:48:22 PM »
Tareef hum unki karte hain,
jo dil ke kareeb hote hain..
Sharminda karne ki humari,
niyat to na thi..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #2 on: November 08, 2006, 08:50:12 PM »
Dil ke kareeb kehkar humein ruswaa naa karo...
Ki ab niyat par hum kisi ki bharosa nahi karte!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #3 on: November 08, 2006, 08:55:08 PM »
Bharosa to ab mujhe bhi nahi iss duniya ka..
Par dost ho dagabaaz aisa hum socha nahi karte!!
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #4 on: November 08, 2006, 08:56:16 PM »
Ye duniya badi zaalim hai, inke muh naa lago,
Dosto pe ilzaam laga kar ye zakhm bharaa nahi karte..
Logged
pinky
Guest
«Reply #5 on: November 08, 2006, 08:57:02 PM »
Dost to meri rooh mein baste hain..
Har rishte se zyada mayine rakhte hain..
Diya jo ilzaam unpar kabhi maine..
jaane kitne ilzaam fir mujhe par bhi lagte hain..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #6 on: November 08, 2006, 08:58:55 PM »
Is rooh par bhi bharosa mat karna,
Ki ghadi do ghadi ki mehmaan hoti hai
Rishto ki ehmiyat to dost hi samajhte hain
Aapke ilzaam saare jo wo apne sar lete hain..
Logged
pinky
Guest
«Reply #7 on: November 08, 2006, 08:59:14 PM »
Bahut khoob Samar..
Achcha likha hai Usual Smile
Logged
pinky
Guest
«Reply #8 on: November 08, 2006, 09:03:37 PM »
Ajeeb rishta hai Dard se mera..
Daaman bhi ye chhodta nahi..
Itne kareeb hai mere dil ke Gham..
Ke Zakhmon mein dard bhi ab hota nahi..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #9 on: November 08, 2006, 09:26:24 PM »
Dard ke rishton se aksar log anjaan hote hain,
Pyaar ke daaman mein padkar benaam hote hain,
Zakhmon ko dil ke nazdeek bithayaa naa kijiye,
Ye wo nasoor hain jinke kaaran hum aashiq badnaam hote hain..
Logged
pinky
Guest
«Reply #10 on: November 09, 2006, 08:05:33 PM »
Dard ke rishton se main anjaan nahi
Kyunki khushi se meri koi pehchaan nahi
Kabhi koshish bhi ki jo muskurane ki..
Hassi zyada derr mere sang chali hi nahi..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #11 on: November 10, 2006, 12:30:11 AM »
Dard ke daaman se haath jhatak kar to dekho,
Haste Haste apni pehchaan firse paakar to dekho,
Rishton ki dor bahut kamzor hai to kya,
Isey apne hunar se maanjha banaa kar to dekho..
Logged
pinky
Guest
«Reply #12 on: November 10, 2006, 07:22:14 PM »
Mere daaman main dard nahi ae dost,
Meri rooh ne hi dard ka libaas pehna hai..
Ek hi raasta hai gham se duur jaane ka..
Ke meri rooh hi ab mera daaman chhod de..
Logged
Samargwl
Guest
«Reply #13 on: November 11, 2006, 08:50:36 PM »
Dard daaman mein naa ho to daaman mein jaan nahi,
Libaas-e-rooh na pehchan paayen, itne bhi naadan nahi,
Gar jo rooh ne daaman chhoda to zyaada mushkil na hogi,
Kyuki fir kar sakega wo humara ghum tumhe parshan nahi..
Logged
pinky
Guest
«Reply #14 on: November 20, 2006, 08:45:44 PM »
Tere Gham ne mujhe jeena sikhaya hai
Mujhe shikwa Tere Gham se nahi..
Tujhe apna banaaya zamaane ko thukra kar maine..
Par main shayad tere liye ek ajnabi se zyada nahi..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:03:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer