Ye Kaisa Usne Kaam Kar Diya,.

by Jaanasheen on February 09, 2009, 03:29:34 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 8119 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Doston Ye Shayari Main Un Chahne Waalon Par Dedicate Karna Chahta Hoon, Jo Ek Tarfa Mohabbat Ke Shikaar Hain,.

Jo Apne Saathi Se Sachchi Mohabbat Karte Hain, Aur Unhe Us Se Kuch Haasil Nahi Hota Dard Ke Siwa,.

Bas Ek Koshish Kar Raha Hoon, Pasand Aaye To Comments Dena,.


Pyaar Kiya Tha Sochkar Maine,.
Ke Use Bhi Mujhse Pyaar Hai,.
Wo Bhi Meri Taraah Milne Ke Liye,.
Kahin Bechaain Hai Bekaraar Hai,.

Maine Apna Sabkuch Uske Naam Kardiya,.
Badle Me Us Bewafa Ne Mujhe Badnaam Kardiya..

Use Main Apni Zindagi Maanta Tha,.
Mere Raaston Ki Roshni Maanta Tha,.
Nazarein Na Milaa Sakoon Zamaane Se Main,.
Aisa Us Bereham Ne Kyun Kaam Kar Diye,.
Hay Mujhe Sabki Nazar Mein Badnaam Kardiya,.

Har Waade Par Mere, Wo Bhi Ek Waada Karta Tha,.
Meri Taraah Inhe Nibhaane Ka Iraada Karta Tha,.
Shayad Isliye Dhoka De Diya Usne "Azeem,.
Kyunki Tu Us Se Mohabbat Zyada Karta Tha,.

Ab Kya Kahoon, Kaise Samjhaoon Is Dil Ko Main,.
Maine Tu Khwaab Dekhe The Saath Zindaagi Guzaarne Ke,.
Us Bewafaa Ne Mera Khissa Hi Tamaam Kar Diya,.
Hay Mujhe Sabki Nazar Mein Badnaam Kardiya,.

Main Uska, Wo Meri Ye Baat Har Waqt Kehti Thi..
Wo Bankar Dharkan Mere Dil Mein Rehti Thi..
Koi Kami Thi Mujhme To Bataa Deti Mujhe,.
Is Taraah Na Dil Tordkar Sazaa Deti Mujhe,.
Shuruwaat Bhi Nahi Ki Thi Zindagi Ki Poori,.
Shuru Karne Se Pehli Hi Anjaam Kardiya,.
Hay Mujhe Sabki Nazar Mein Badnaam Kardiya,.

________________________-Jaanasheen-



Doston Koi Galti Nazar Aaaye To Maaf Karna,.


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Usne Dhokha Diya Mujhe by waheed_rose2004 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Mujhe dard usne hi diya hai.... by diya_diggaz in Shayri-E-Dard
Aik Kaam Kar Diya by drpandey in Miscellaneous Shayri
nigahon se usne kaisa by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat Meri Yeh kaisa kaam kar gayi.... by Shalu RV in Share: Poetry of Pain
syednaami
Guest
«Reply #1 on: February 09, 2009, 03:36:25 PM »
Teri shayiri men woh javaaz hai,
kuchh to hai jo tujh pe savaar hai,
Haan bedharak to keh bhi dete ho,
Magar tere dil se chalak raha pyaar hai...


Syed
Logged
Asghr
Guest
«Reply #2 on: February 09, 2009, 03:49:53 PM »
ITNI CHOTI UMER MAIN ITNA BADA ROG? BEAUTIFUL POETRY ISSI TARAH LIKHTE REHAIN AUR SDAA KHUSH RAH KARAIN.ASGHR Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #3 on: February 09, 2009, 04:02:19 PM »
bahot khoob azeem... par dawa-e-dard bhi tho milli na? kuch usski shaan mein hee boj hulka kiya jai?

muhabbat k naam ko muhabbat ne badnaam kiya...
usseeko dhoka diya, jisska dil khud k naam kiya?
ye berehmee bhi ek tarafee nahi, aag barabar dono ne lagaya,
shukar hai khuda ka k meray dil ko toot k sabar karna sihkaya.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 09, 2009, 04:08:50 PM »
Thank U Syed Naami Bhai,.
Rani Ji,.
Ashgr Bhaiya Bas Bhaiya Duaa Karein Hamaare Liye,.,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 09, 2009, 04:10:04 PM »
bahot khoob azeem... par dawa-e-dard bhi tho milli na? kuch usski shaan mein hee boj hulka kiya jai?

muhabbat k naam ko muhabbat ne badnaam kiya...
usseeko dhoka diya, jisska dil khud k naam kiya?
ye berehmee bhi ek tarafee nahi, aag barabar dono ne lagaya,
shukar hai khuda ka k meray dil ko toot k sabar karna sihkaya.

Shukriya Sidraah,.
 And Nice One,.

Logged
tara
Guest
«Reply #6 on: February 09, 2009, 04:14:55 PM »
kya khoob lika sabne.jaanasheen,syednaami.anjaan dharkan.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #7 on: February 09, 2009, 04:16:56 PM »
shukriya!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: February 09, 2009, 04:41:48 PM »
wah sabne acha likha hai...Azeem bhai apki shayarian padkar ya toh mere dil ko behat sukun milta hai ya toh phir aisa lagta hai ke kisi ne humare dil ki baat kehdi...likte rahiye janab kadradaan bahaut hai apke.. Applause Applause



ek bewaffa ne humare pyaar ko bhula diya,
bina ansu diye hi hume rula diya,
jee rahe hai apni mehrum mohobat ke saath akele,
kal uske thukrane ne hume yeh ehsaas dila diya...

pighal ke roye hai hum saagar ke kinare pe,
usne humari mohobat ka yeh kaisa sila diya?
ab toh bharosa uth gaya hai pyaar naam ke mazak se,
kal tak tha pyaar ka kadradan Rahim; aaj ussi pyar nam ke latife ne hume hasa diya...
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #9 on: February 09, 2009, 07:21:10 PM »
wah sabne acha likha hai...Azeem bhai apki shayarian padkar ya toh mere dil ko behat sukun milta hai ya toh phir aisa lagta hai ke kisi ne humare dil ki baat kehdi...likte rahiye janab kadradaan bahaut hai apke.. Applause Applause



ek bewaffa ne humare pyaar ko bhula diya,
bina ansu diye hi hume rula diya,
jee rahe hai apni mehrum mohobat ke saath akele,
kal uske thukrane ne hume yeh ehsaas dila diya...

pighal ke roye hai hum saagar ke kinare pe,
usne humari mohobat ka yeh kaisa sila diya?
ab toh bharosa uth gaya hai pyaar naam ke mazak se,
kal tak tha pyaar ka kadradan Rahim; aaj ussi pyar nam ke latife ne hume hasa diya...


wah! what a beautiful way to say whats in your heart! keep it going!
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #10 on: February 10, 2009, 03:19:31 AM »
Doston Ye Shayari Main Un Chahne Waalon Par Dedicate Karna Chahta Hoon, Jo Ek Tarfa Mohabbat Ke Shikaar Hain,.

Jo Apne Saathi Se Sachchi Mohabbat Karte Hain, Aur Unhe Us Se Kuch Haasil Nahi Hota Dard Ke Siwa,.

Bas Ek Koshish Kar Raha Hoon, Pasand Aaye To Comments Dena,.


Pyaar Kiya Tha Sochkar Maine,.
Ke Use Bhi Mujhse Pyaar Hai,.
Wo Bhi Meri Taraah Milne Ke Liye,.
Kahin Bechaain Hai Bekaraar Hai,.

Maine Apna Sabkuch Uske Naam Kardiya,.
Badle Me Us Bewafa Ne Mujhe Badnaam Kardiya..

Use Main Apni Zindagi Maanta Tha,.
Mere Raaston Ki Roshni Maanta Tha,.
Nazarein Na Milaa Sakoon Zamaane Se Main,.
Aisa Us Bereham Ne Kyun Kaam Kar Diye,.
Hay Mujhe Sabki Nazar Mein Badnaam Kardiya,.

Har Waade Par Mere, Wo Bhi Ek Waada Karta Tha,.
Meri Taraah Inhe Nibhaane Ka Iraada Karta Tha,.
Shayad Isliye Dhoka De Diya Usne "Azeem,.
Kyunki Tu Us Se Mohabbat Zyada Karta Tha,.

Ab Kya Kahoon, Kaise Samjhaoon Is Dil Ko Main,.
Maine Tu Khwaab Dekhe The Saath Zindaagi Guzaarne Ke,.
Us Bewafaa Ne Mera Khissa Hi Tamaam Kar Diya,.
Hay Mujhe Sabki Nazar Mein Badnaam Kardiya,.

Main Uska, Wo Meri Ye Baat Har Waqt Kehti Thi..
Wo Bankar Dharkan Mere Dil Mein Rehti Thi..
Koi Kami Thi Mujhme To Bataa Deti Mujhe,.
Is Taraah Na Dil Tordkar Sazaa Deti Mujhe,.
Shuruwaat Bhi Nahi Ki Thi Zindagi Ki Poori,.
Shuru Karne Se Pehli Hi Anjaam Kardiya,.
Hay Mujhe Sabki Nazar Mein Badnaam Kardiya,.

________________________-Jaanasheen-



Doston Koi Galti Nazar Aaaye To Maaf Karna,.




waah azeem ji...aapne bahut accha likha hai...padh kar aisa laga jais mere jazbaat ko zuban milgayi ho...
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #11 on: February 10, 2009, 05:53:22 AM »
Subhan Allah Subhan allah KYa likha azeem alfazon ko ahesas ka roop dena isi ko kahete hain chute maza agaya kasam se !! allah tumhe khush rakhe !! wah wah !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: February 10, 2009, 05:55:15 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob lil bro... kaya baat hai... Syednaami ji, AD and DH ji app sabhi ne bahoot acha likha hai
Logged
syednaami
Guest
«Reply #13 on: February 10, 2009, 06:12:44 AM »
Bahut mehrbaani Pooja saahiba...
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: February 10, 2009, 06:16:27 AM »
Bahut khoob Azeem brother, Syednaami ji, Anjaani sis,
D.H..  Aap sabne bahut accha likha hai...
 
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:33:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer