Ye kaisi dunia hai

by @Kaash on April 04, 2013, 06:31:17 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 793 times)
@Kaash
Guest
ye kaisi dunia hai
kaisa iska dastoor hai
kahin pe khamoshi hai
kahin baaten benoor hai

ye kaisi dunia
jahan pyaase ko paani na mile
jahan paani mile use
jise pyaas hi na lage
jahan pyaase aur paani ki udhedbun me
pyaas ka paani bepyaasa rahe


ye kaisi dunia
jahan dardmandon ke liye jagah hai
jahan dard me mitne waalon ke liye jagah hai
par jahan khushi baatne waale
chaahkar bhi na apna dard kah saken


ye kaisi dunia hai jahan
har taraf ujaala hai
lekin ujaale ke saaye me saaya nahi hota
aise ujaalon se jo darkinaar hai

ye kaisi dunia hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dunia.. by @kaash in Shairi - E - Zindagi
Aaj ki dunia may --- by sushilbansal in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Gam Na Ho Dunia Mein by suman59 in Miscellaneous Shayri
Ye Dunia Nahin by Keshav A Verma in Songs & Lyrics
Ye kaisi dunia hai..Kaash by @Kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
sbechain
Guest
«Reply #1 on: April 05, 2013, 03:18:33 AM »
ye kaisi dunia hai
kaisa iska dastoor hai
kahin pe khamoshi hai
kahin baaten benoor hai
wah wah wah.........! Applause Applause Applause Applause
ye kaisi dunia
jahan pyaase ko paani na mile
jahan paani mile use
jise pyaas hi na lage
jahan pyaase aur paani ki udhedbun me
pyaas ka paani bepyaasa rahe

kya kahne ek dummmmmmmmmmmm such kaha...........! Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
ye kaisi dunia
jahan dardmandon ke liye jagah hai
jahan dard me mitne waalon ke liye jagah hai
par jahan khushi baatne waale
chaahkar bhi na apna dard kah saken
 tearyeyed :tearyeyed:bahut khoob ji...........!

ye kaisi dunia hai jahan
har taraf ujaala hai
lekin ujaale ke saaye me saaya nahi hota
aise ujaalon se jo darkinaar hai
bahut khoob...............!
ye kaisi dunia hai


behtreen peshkash.......!
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2013, 04:01:58 PM »
Hi Shiba, thanks for your words and apprectn.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2013, 04:22:27 PM »





Khush hun ki nigaahon me chhupe hain aasun
warna  raaton ki deewaron pe saje hain aasun


Aadmi hai khilauna apne hi jee ka yaaron
hasrat ki aandhiyon se jale hain aasun




Gham shay hai koi aisi jo lagti nahi paraayi
babul se jab bichhadtii chubhe hain aasun




Ulfat ke daayre sabhi ishq nahi hote
maa ke dabe aanchal me dabe hain aasun




Bhooli hui kitaaben ,bikhre hue se panne
kuch harf hain adhoore,kahte hain aasun


Logged
@Kaash
Guest
«Reply #4 on: April 10, 2013, 05:00:13 PM »
Ye kaisi dunia hai
ye kaisi dunia hai jahan
dil-o-dimaagh me dimaagh baazi jeeta jaata
jahan sachhai ki awaaz ansuni kar di jaati
ye kaisi dunia hai jo wahi dekh paati jo dekhna chahti
ye kaisi dunia hai jo wahi sun paati jo sunna chahti
ye kaisi dunia hai jo doosron ko dekhti khud se chook jaati
ye kaisi dunia hai jo dikhaawe ki sarhadon ko laangh nahi paati
ye kaisi dunia hai

ye kaisi dunia hai jahan aham hi sabkuch hai
jahan jo jitna aham waala utna hi bada kahlaata
jahan doosron ko dhakelke aage badhne waale ko taaj pehnaya jaata
lekin jahan doosron ka hit karne waalon ke liye jagah nahi
ye kaisi dunia hai
ye kaisi dunia hai
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #5 on: April 13, 2013, 04:24:13 PM »
Ye kaisi dunia hai
jahan jazbaaton ki numayish ke liye bhi numayish karni padti
ye ehsaasaat ko faqat harfon se badhkar nahi paati
jo apne ko chhodkar sabhi ko aazmaati
jahan logon ki bheed bus logon ki bheed jaanti hai
jo ye bhool jaati hai ki
bheed bani aadmiyon se hi hai 
ye kaisi dunia hai


ye kaisi dunia hai jo mukhaute se ubar nahi paati
jahan har shakhs mukhauton me itna uljha hai
ki akele me apne aaiyne ka bhi saamna nahi kar sakta
ye kaisi dunia hai jo aadmi ko aadmi ke chehre se ru-ba-ru nahi hone deti
ye kaisi dunia hai


ye kaisi dunia hai
jahan aadmi doosron ke lie aaiyna banne ki firaak me hai
ye kaisi dunia hai jahan aadmi ke paas apne aayine ke lie fursat nahi
ye kaisi dunia hai jahan subah-o-shaam ko guzaarte
log bhool jaate hain ki aaj din kaun sa hai
ye kaisi dunia hai


ye kaisi dunia hai
jo hawas ki bhasha ko bin kahe samajh jaaye
jo nafrat ke harfon ko maze se painapan de
lekin jo saadgi se likhe chand shabdon se bhi aankh churaaye
jo saadgi ki sachhayi ko is dunia ke lie gairzururi maane
ye kaisi dunia hai
ye kaisi dunia


ye kaisi dunia hai
jahan bheekh ki tarah log kuch na kuch maangte nazar aate hain
jahan bina len den ki zubaan bahut kum hi samajh paate hain
ye kaisi dunia hai

ye kaisi dunia hai
jo doosron ko dukh deke khushi paati
jo khud ke dukh se sabko dukhi kar deti
jise faqat doosron me aib hi nazar aate hain
lekin jo apni ghalti aayine ke saamne bhi maan nahi paati
ye kaisi dunia hai
jo ghalat ke raaste par aisi chal rahi hai
jaise Khudaai buland kar rahi hai
jise andhere me rahne ki is kadar aadat ho chuki hai
ki ujaalon ki tauheen karna hi uski fitrat ban chuki hai
ye kaisi dunia hai
jo sote hue bhi khud ko jaaga hua samajh rahi
jise ye maaloom nahi ki jaage hue bhi wo agyaan ki gahri neend so rahi
ye kaisi dunia hai
ye kaisi dunia hai
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #6 on: April 15, 2013, 04:44:57 PM »
ye kaisi dunia hai
jahan khemka jaise afsar ko promotion ki jahag transfer dia jata hai
jahan ghar jamaai Vaadra ko sharafat ka taaj dia jata hai
ye kaisi dunia hai jo itni khudgarz ho chuki hai
jahan Anna,Kajriwal ko bhi ghotalebaaz kaha jaata hai
ye kaisi dunia hai jahan na neeti hain na sidhhaant
jahan bus ek hunter lie maalik hai jo ghulaam rakhe hai
jahan neta jee huzuri karke satta kayam rakhte hain
jahan neta ghotaale karke rakam ghar tak pahuchaate hain
ye kaise neta hain jo gareebon,mazloomon ki khoon-paseene ki kamai khate hain
jinse vote paaye ye unhi par zulm karne lagte hain
aise namardon ko satta par baithane waali ye janta kaisi hai
ye kaisi dunia hai jo naainsaafi aur ghulaami pasand hai
ye kaisi dunia hai
ye kaisi dunia hai
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #7 on: May 27, 2013, 01:19:05 PM »
aansuon ne rangat apni yun badal di
hanste hue bhi aksar hum chup ho jaate hain




apne bholepan par sharminda kabhi ghamgeen hota hun
meri nadaani meri khushi ko bhi rula jaati hai


dunia ko dekhne waale khud ko nahi dekh paate
khud ko jannewaale kabhi bhi gham nahi uthaate
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #8 on: July 03, 2013, 03:37:58 AM »
Gaflat me pada hua hai har aadmi
jisko zindagi ki khabar nahi,wo zindagi talaashta hai
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #9 on: July 03, 2013, 03:50:05 AM »
Gaflat me pada hua hai har aadmi
jisko zindagi ki khabar nahi,wo zindagi talaashta hai
बहुत खूब .काश जी...!!
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #10 on: July 18, 2013, 03:02:10 PM »
बहुत खूब .काश जी...!!

shukriya,khush rahen!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:35:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer