Ye pal hai ajeeb sa .........!!!!

by Talat on August 08, 2007, 03:10:21 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2478 times)
Talat
Guest
Bheegi palkain, bheege khwaab, dhadkan tham si jaaye kyun
Chalte chalte bandh gaye qadam, koi raah nazar na aaye kyun

Ek aor roshni phailaaye daaman bulaati hai de kar awaaz
Jab bhi chaahen choona usko, wo roshni bujh si jaaye kyun

Kaisi hasrat kaisi chaah hai, sab kuch hai aur kuch bhi nahin
Kaisi hai yeh haalat apni, yeh aankhain bhar bhar aaye kyun

Jo bhi hai, hai phir bhi aas, koi to hai har dam aas paas
Giren jab, thaam le wo haath, magar phir chup jaaye kyun !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeah ajeeb marhalay hain yeah ajeeb silsilay hain by muneeb in Shayri-E-Dard
kitna ajeeb hai.............. by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
AJEEB LAGTA HAY by shami in Shayri for Dard -e- Judai
ajeeb ajeeb rishtey by phoenix in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 9 10 »
AJEEB AJEEB CHEEZ RAKHTE HAIN.!!!!!! by qalb in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Meena is back
Guest
«Reply #1 on: August 08, 2007, 03:14:54 PM »
Quote from: "Talat"

Ek aor roshni phailaaye daaman bulaati hai de kar awaaz
Jab bhi chaahen choona usko, wo roshni bujh si jaaye kyun


Talat kuddiye...i really admire ur poems and ur writting styel!!! its just amazing aur is poem ke apki yeh do lines mujhe bohot hi achi lagi!!!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #2 on: August 08, 2007, 03:33:39 PM »
beautiful, talat.. bohot hi acha likha hai!
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #3 on: August 08, 2007, 07:34:01 PM »
Good words Talat ! ! !
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: August 08, 2007, 08:31:55 PM »
Just wonderful talat ji Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: August 09, 2007, 07:04:33 PM »
Thanks Meena...... your comments made my day...especially when you yourself write so well !! Usual Smile

Thanks a lot Sanya Usual Smile

Thanks Ricky....... and Angel Usual Smile
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #6 on: August 10, 2007, 09:20:44 AM »
Nice one Talat ji ...

Yahi andaaz hai iska aur yhi hai dastoor
Halat ke aage insaan ho jata hai majboor

Kismat pe jab padte hai waqt ke tapede tab
Hua karte the paas jo, woh ho jate hai door

Sath chod jata hai kabhi, apna hi saya bhi
Kabhi dhoke apno se hi milte hai bharpoor !!

HumTum
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: August 10, 2007, 10:21:39 AM »
wah humtum ji... yuh to aap bohot acha likhte hai par yeh sabse best lagi mujhe apki poem!! aur regular aya karo  :evil:

 :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: August 10, 2007, 01:28:50 PM »
Thanks Humtum...aur bohot achcha likha hai.....saw you after months...!! Good to see you Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: August 10, 2007, 02:22:09 PM »
wah wah wah bahoot khoob Talat, bahoot hi acha likha hai.. ek ek line kamal ki likhi hai apne...

Too good Reply Humtum ji!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: August 11, 2007, 03:32:30 PM »
Thanks a lot Pooja Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: August 11, 2007, 03:44:42 PM »
Quote from: "HumTum is back"
Nice one Talat ji ...

Yahi andaaz hai iska aur yhi hai dastoor
Halat ke aage insaan ho jata hai majboor

Kismat pe jab padte hai waqt ke tapede tab
Hua karte the paas jo, woh ho jate hai door

Sath chod jata hai kabhi, apna hi saya bhi
Kabhi dhoke apno se hi milte hai bharpoor !!

HumTum


Insaan kyun majboor hai waqt ke haathon pe
Guzre palon ka kaisa ye karz hai saanson pe

Hote hain qareeb, wo bichad kyun jaate hain
Kho jaati hai raah purani, chale jo nayi raahon pe

Aati hain yaadain, de jaati hain chand aansoo
Wo saamne hon, bharam rehta hai nigahon pe !!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: August 11, 2007, 07:20:33 PM »

Raahein wahin rehti hai chalte chalte raahi kho jaate hai,
Safar khatam ho jaye to manzil ke sapne bikhar jaate hai,
Paa to Lete hai shayad sab kuch mohabbat mein kuchh log,
Kabhi Mohabbat paake apni zindagi ganwa jaate hai...

sad5sad5sad5sad5sad5sad5
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: August 12, 2007, 08:07:18 PM »
BAHUT KHOOB TALATJI..HUMTUM..ANGEL..SABNE BAHUT ACHA LIKHA HAI..EK  KOSHISH HAMARE TARAF SE BI

 ITNA KUCH KHOYE KE
 HUMEIN KUCH PAANA NA AAYA...
 MOHABBAT TO KI
 DIL-O-JAAN SE
 PAR JATAANA NA AAYA...
 KHUD KO LUTA DIYA
 UNKI EK MUSKAAN KE LIYE
 ZAKHM TO ITNE MILE HUMEIN
 KE PHIR KABHI MUSKURANA NA AAYA...
 ROYE BI  BAHUT
 PAR EK AANSU BI
 UNKE DAAMAN TAK NA AAYA...
 DIL MEIN BAS GAYE
 PEHLI NAZAR MEIN WOH
 KASOOR HAMARA HI THA
 JO HUME NAZARE JHUKANA NA AAYA...
 UNPE AITBAAR KAISE
 KAR LETE "KHWAISH"
 JAB UNHE EK WAADA BI
 NIBHAANA NA AAYA...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: August 13, 2007, 02:12:43 AM »
Bohat khoob Talat, HumTum, Khwaish & Angel...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:59:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer