Ye sazaa mili mujhe pyar ki.......... mann

by mann.mann on June 01, 2012, 03:24:48 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2414 times)
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
Main ek bujhti lau hun mazaar ki.
Ye sazaa mili mujhe pyar ki.

Hosh aaya jab to the lut chuke,
Thi guzar chuki shab khumar ki.

Wo palak jhapakte guzar gayi,
Do ghadi mili jo bahaar ki.

Kabhi chain mujhko na mil saka,
Mujhe zindgi do qaraar ki.

marham-e-zakhm na paya hamne,
Aisi halat hui hai dil-e-bimaar ki.

Jishm se jaan ab nikal jaye,
Nahin chahiye jaan udhar ki.

Mujhe aaj bhi yaad aati hai,
Wo jo zindgi thi dulaar ki.

Meri aankhon main ab bhi hai jhulti,
Jhalak usi mere yaar ki.  

Mann
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mujhe na mili by mehul jain in Shayri-E-Dard
Mili hai bahut sazaa mujhe by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu mila toh mili aisi jannat mujhe by ehsaas chahat ka in Share:Love Poetry
Kya wafa mili h mujhe.... by Parvana shan in Shayri-E-Dard
mujhe di hai aisi sazaa by saahill in Shayri-E-Dard
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: June 01, 2012, 03:39:42 AM »
Beautiful , Mann ji .
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: June 01, 2012, 03:47:52 AM »
 Applause Applause daad aur ek rau
Logged
goldy_shayar
Guest
«Reply #3 on: June 01, 2012, 06:11:03 AM »
bahut hi khoob
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
laaiba
Guest
«Reply #4 on: June 01, 2012, 07:22:03 AM »
bohat khoob mann jee...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 01, 2012, 07:47:53 AM »
Main ek bujhti lau hun mazaar ki.
Ye sazaa mili mujhe pyar ki.

Hosh aaya jab to the lut chuke,
Thi guzar chuki shab khumar ki.

Wo palak jhapakte guzar gayi,
Do ghadi mili jo bahaar ki.

Kabhi chain mujhko na mil saka,
Mujhe zindgi do qaraar ki.

Zakhm-e-marham na paya hamne,
Aisi halat hui hai dil-e-bimaar ki.

Jishm se jaan ab nikal jaye,
Nahin chahiye jaan udhar ki.

Mujhe aaj bhi yaad aati hai,
Wo jo zindgi thi dulaar ki.

Meri aankhon main ab bhi hai jhulti,
Jhalak usi mere yaar ki. 

Mann


Bahut Bahut Khoooob!!!!

Just Beautiful..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: June 01, 2012, 10:59:45 AM »
Mann Jee Aadaab!


Waah jee waaH kia kahne waaH behad khoob aur behad umdaa
kalaam kahi hai aapne.... bade gehre aur khoob ashaar bune
hai.... Usual Smile

Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe jee... bahut khoob...
Humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye.... Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile                   



Main ek bujhti lau hun mazaar ki.
Ye sazaa mili mujhe pyar ki.

Bahut khoob jee achcha matla hai...
Aik khayaal humare zahen meiN aaya gar ulaa misra aise adaa kareN
to kaisa lageNga...

" MaiN bujhti lau huyi mazaar ki
Ye sazaa mili mujhe pyaar ki                   


Hosh aaya jab to the lut chuke,
Thi guzar chuki shab khumar ki.

WaaH waaH waaH Masha Allaah kia kahne jee waaH gazab
ka khayaal bayaaN kiya hai behad umdaa bahut khoob...
hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... behad khoob aur umdaa
sher kaha hai daad daad daad Usual Smile                   


Wo palak jhapakte guzar gayi,
Do ghadi mili jo bahaar ki.

oye hoye kia kahne jee bahut khoob bahut umdaa daad daad
daad .... bahut khoob...                   


Kabhi chain mujhko na mil saka,
Mujhe zindgi do qaraar ki.

Kia kahne jee bahut umdaa daad Usual Smile                   

Zakhm-e-marham na paya hamne,
Aisi halat hui hai dil-e-bimaar ki.

Achcha hai daad ... par dusre misre ko aur short kariye...                   

Jishm se jaan ab nikal jaye,
Nahin chahiye jaan udhar ki.

WaaH waaH waaH kia kahne jee waaH gazab ke ashaar padh rahe haiN bahut
khoob jee bahut khoob... Usual Smile                   


Mujhe aaj bhi yaad aati hai,
Wo jo zindgi thi dulaar ki.

Kia baat hai jee kia kahne bahut umdaa daad Usual Smile                   

Meri aankhon main ab bhi hai jhulti,
Jhalak usi mere yaar ki. 

Bahut khoob jee bahut pyaara sher hai daad Usual Smile                   

Mann

Kamaal ki kalaam rahi jee bahut umdaa....
Is khoob aur umdaa kalaam par phir se dheroN dili daad O mubbarakbad ... Usual Smile                   

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: June 01, 2012, 12:31:07 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Asif samani jaunpuri
Guest
«Reply #8 on: June 01, 2012, 04:44:19 PM »
Wah bhai wah jo bhi aap jo ikhte ho kamal ka likhte ho SUCH ME KYA SOCH HAI MAASAALLAH apki shaan m 2 lafz meri traf se..........





USE PANE KI JID CHEDI HAI JO KISMAT MD NAHI USE LIKHNE KI JID CHEDI HAI AHLE  WAFA AKSAR AYSE HI JIDDI HOTE HAI   "AYE...ASIF..." KUCH BHI NAHI MILTA DUNYA ME AUR KAHTE HAI AKHIRAT ME PANE KI JID CHEDI HAI
Logged
Anahita
Guest
«Reply #9 on: June 01, 2012, 05:52:21 PM »

WAAAAAAAAAAAAAAAAAAH MANN JEE.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
pawan16
Guest
«Reply #10 on: June 01, 2012, 05:57:45 PM »
itni achi poem par comment na karo ye to poem ki tauhin hogi..........

 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut


Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #11 on: June 02, 2012, 03:18:18 AM »
bahut bahut shukriya hasan sahab...
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #12 on: June 02, 2012, 03:22:18 AM »
bahut bahut dhanyawad janab saini sahab..
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #13 on: June 02, 2012, 03:46:28 AM »
bahut bahut dhanyawad goldyji
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #14 on: June 02, 2012, 10:09:43 AM »
Main ek bujhti lau hun mazaar ki.
Ye sazaa mili mujhe pyar ki.

Hosh aaya jab to the lut chuke,
Thi guzar chuki shab khumar ki.

Wo palak jhapakte guzar gayi,
Do ghadi mili jo bahaar ki.

Kabhi chain mujhko na mil saka,
Mujhe zindgi do qaraar ki.

marham-e-zakhm na paya hamne,
Aisi halat hui hai dil-e-bimaar ki.

Jishm se jaan ab nikal jaye,
Nahin chahiye jaan udhar ki.

Mujhe aaj bhi yaad aati hai,
Wo jo zindgi thi dulaar ki.

Meri aankhon main ab bhi hai jhulti,
Jhalak usi mere yaar ki. 

Mann


              gud
               
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 11:11:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer