Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

by mistufer on June 02, 2009, 04:21:31 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2495 times)
mistufer
Guest
Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

kar le qubool is ko yeh mera salam hai
Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

ruKhsat ke waqt palkeN bhigane ki rasm kyuuN
babul ke ghar ko choRna beTee ka kaam hai

yadoN ke saye raushnee hone nah deNge ab
yeh zindagee hamari andheroN ke sham hai

Woh nazm ho ya ho meri Ghazal sub tire liye
Jab se kitab.e dil pe likha tera naam hai

yeh mera kaam tha ki banaya hai aashiyaN
Ab bijliyaN giraana falak tera kaam hai

Kya ab bhhi uski yaad ke baqi hain kuch nishaN ?
Yeh phir zubaN pe teri jo “Nira” ka naam hai

Nira
Logged
k.shael
Guest
«Reply #1 on: June 02, 2009, 05:29:21 AM »
Bahut Bahut Khoob Nira Ji, Applause  Applause

Shally.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: June 02, 2009, 06:53:57 AM »
very nice n beautiful creation,Nira ji. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aaina
Guest
«Reply #3 on: June 02, 2009, 08:02:32 AM »
Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

kar le qubool is ko yeh mera salam hai
Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

ruKhsat ke waqt palkeN bhigane ki rasm kyuuN
babul ke ghar ko choRna beTee ka kaam hai

yadoN ke saye raushnee hone nah deNge ab
yeh zindagee hamari andheroN ke sham hai

Woh nazm ho ya ho meri Ghazal sub tire liye
Jab se kitab.e dil pe likha tera naam hai

yeh mera kaam tha ki banaya hai aashiyaN
Ab bijliyaN giraana falak tera kaam hai

Kya ab bhhi uski yaad ke baqi hain kuch nishaN ?
Yeh phir zubaN pe teri jo “Nira” ka naam hai

Nira

bhut khoobsurat paishkash nira ji...
Logged
mistufer
Guest
«Reply #4 on: June 02, 2009, 12:42:56 PM »
Bahut Bahut Khoob Nira Ji, Applause  Applause

Shally.


hausla afzaayi ka bahut bahut shukriya.
Logged
mistufer
Guest
«Reply #5 on: June 02, 2009, 12:44:54 PM »
very nice n beautiful creation,Nira ji. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

madhuwesh ji
aapko pasand aayi rachna dilse shukriya adaa karti hoon
Logged
mistufer
Guest
«Reply #6 on: June 02, 2009, 12:46:44 PM »
bhut khoobsurat paishkash nira ji...

aaina ji
aapko yahan dekhkar bahut acha laga
aapko yeh peshkash pasand aayi aapki shukrguzaar hoon
yunhi saath dete rahiyega.
nira
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: June 02, 2009, 12:50:10 PM »
bahut achche nira dear...keep it up
Logged
mistufer
Guest
«Reply #8 on: June 02, 2009, 12:58:56 PM »
bahut achche nira dear...keep it up

salil ji
shukriya aapne sahraya aapko pasand aayi meri rachna
Logged
mistufer
Guest
«Reply #9 on: June 02, 2009, 04:16:14 PM »
bahot bahot khoob likha hai aapne Nira ji

 Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

hausla afzaayi ka bahut bahut shukriya
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: June 02, 2009, 04:21:48 PM »
Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

kar le qubool is ko yeh mera salam hai
Yeh aaKhree salam mera tere naam hai

ruKhsat ke waqt palkeN bhigane ki rasm kyuuN
babul ke ghar ko choRna beTee ka kaam hai

yadoN ke saye raushnee hone nah deNge ab
yeh zindagee hamari andheroN ke sham hai

Woh nazm ho ya ho meri Ghazal sub tire liye
Jab se kitab.e dil pe likha tera naam hai

yeh mera kaam tha ki banaya hai aashiyaN
Ab bijliyaN giraana falak tera kaam hai

Kya ab bhhi uski yaad ke baqi hain kuch nishaN ?
Yeh phir zubaN pe teri jo “Nira” ka naam hai

Nira

Bahut bahut khoob Nira sis  Applause Applause Applause

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 02, 2009, 04:26:21 PM »
Bahut Bahut Khoob Nira..

Bahut Acha Likhte Ho Aap.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mistufer
Guest
«Reply #12 on: June 02, 2009, 04:27:37 PM »
Bahut bahut khoob Nira sis  Applause Applause Applause



roja sis
so nice to see u
thanks a lot for liking my poem
Logged
mistufer
Guest
«Reply #13 on: June 02, 2009, 04:28:55 PM »
Bahut Bahut Khoob Nira..

Bahut Acha Likhte Ho Aap.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


aap sab ki zaraanawazi aapko pasand aata hain mera likha
bahut bahut shukriya
Logged
bobbynr
Guest
«Reply #14 on: June 02, 2009, 05:30:32 PM »
Apka Jawab nahi hai ...MAin is poem ko aacha khe kar iski toheen nahi karta chahata hoon apne isko itne jasbat see likha hai usko bus aacha khena yah galat hoga.. Main Apko Salam karta hoon Aur Yah Manta hoon ki apne jis khubsoorati see isko likha hai is ka koi jawab nahi hai..Bobby
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:11:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer