Yeh aankhain

by Pooja on October 06, 2005, 03:20:10 PM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 3004 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: December 08, 2005, 03:57:32 PM »
na jaane kaya soch kar kashati utaari thi sagar mai
us waqat her laher thi, bas hamare afsaano mai
waqat ki maar ne, lahro ko dushman bana diya
jis sagar ka kiya bharosa, ussi ne sabkuch mitta diya!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bheegi hui aankhain Mare by muneeb in Ghazals
Yeh aankhain by Pooja in Shayri-E-Dard
Aankhain by javedarshad in Ghazals
kyun yeh aankhain nam hain by saahill in Ghazals
Aankhain Hi Milaty Hai by abhiraaj22 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Pooja
Guest
«Reply #31 on: August 28, 2007, 07:48:34 PM »
Uski ankhon ko bhool jau, yah kaise ho
Wo pyar ke pal bhool jau, yah kaise ho
Dil ajj bhi nahi manta, wo ja chuka hai
Samjh jaaye jo dil yah, wo kaise ho…….
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: January 25, 2008, 06:43:36 PM »
Teri ankhon mai abhi bhi pyar najar atta hai
Teri awaz mai ishaq ka raag najar atta hai
Chura lo lakh mujhse tum apni najre
In main ajj bhi ikraar najar atta hai!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: January 25, 2008, 07:00:33 PM »
un aankhon mein jab hum dekhte hai to
humein apna guzra hua,har ek pal nazar aata hai

ek ajeeb sa manzar aankhon ke
saamne chaa jaata hai

woh mod jahan pe hum juda hue the
aaj  bhi shayad apne kadmo ke nishhan waha mile
har ek lamha mujhe unki yaadon ke saath tanha chod  jaata ha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: January 25, 2008, 07:03:01 PM »
nice khwaish ji!!!

Teri tasveer mai teri ankhia batiati hai
pass bula kar hume ek ek shikayat sunati hai
rah jaate hai bas teri ankhio ko dekhte
na jaane kab meri ankhia phir beh jaati hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: January 25, 2008, 07:10:43 PM »
bahut khoob pooja...

aapke aankhon se aansu beh jaana
hume yeh yakeen dilata hai
woh shaks aaj bhi aapke
dil ko bhaata hai

jab pyaar karti ho itna
to do aur kadam badhake unn se mil kyon nahi lete
kya pehle jaake ke milne se, apna kuch jaata hai??

kabhi khushi,kabhi dukh
"pooja" sach to yeh hai ke
pyaar insaan ko bahut kuch sikhata hai.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: January 25, 2008, 07:13:56 PM »
Very True khwaish ji!! bahoot khoob

sawal hai bahoot sidha
jawab magar asaan kaha
nahi hai yah pahle baad ki baat
kah sake jo, wo bhi baat kaha

rahta hai wo mere dil main
mujhko her pal dekha karta hai
milane jau to jau kaha main
mujhse juda wo kab rahta hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: January 25, 2008, 07:26:46 PM »
BAHUT ACHE POOOJA...

JAB WOH IS DIL MEIN REHTA HAI TO SHIKAYAT KAISI
APNE HI DIL KE JAZBAATO SE PHIR BHAGAWAT KAISI?

JIS SHAKS KO ITNA CHAAHTE HO,
 PHIR BHI USSSE  JUDA HO JAATE HO
TO YEH ZINDAGI KAISI?

JAB BHI KUCH MAANGO KHUDA SE TO USS SHAKS KA SAATH
ZAROOR MAANGNA,USS SHAKS KO AGAR AAP DUAON MEIN
NA YAAD KARO TO PHIR YEH AAPKI IBAADAT KAISI???
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: January 25, 2008, 07:46:18 PM »
JIS SHAKS KO ITNA CHAAHTE HO,
 PHIR BHI USSSE  JUDA HO JAATE HO
TO YEH ZINDAGI KAISI?


bahoot khoob khwaish ji!!!

Dil se hai duao main,
her jagah ussi ko manga hai
ek janam bahoot lagta hai kam
her janam mai ussi ko manga hai

ankhein dekhein uski murat
uski ankhia takati rahti hu
kar leti hu dil ki baatein
ratia bunati rahti hu!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: January 25, 2008, 08:31:45 PM »
man ka gulshan hamesha abaad rahega
dil ke deewaro par hamesha tera naam rahega
judaai mein teri,har ek dard kubool hai humein
par "khwaish" ke dil mein abse tera naam sirf PYAAR rahega
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: January 25, 2008, 08:40:41 PM »
wah bahoot khoob!!

jin ankhon mai dekha tha khud ka sapna
ajj unmain ansoo najar atte hai
dard laker dard diya, na jaane kyun
sab pyar ke afsaane, dard-e-dastaan e najar atte hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #41 on: January 25, 2008, 08:44:33 PM »
JO HAMARE AANKHON MEIN HAI
WOH CHIPAAYE KAISE?
DUNIYA WALO KE HISAAB SE NAZAR AAYE KAISE?
KHUD HI CHOT DETI HO AUR PUCHTI HO
"KHWAISH" YEH CHOT DIL PE KHAYE KAISE?/?
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: January 25, 2008, 08:56:40 PM »
WAH KAYA BAAT HAI!!
KHUD HI CHOT DETI HO AUR PUCHTI HO
"KHWAISH" YEH CHOT DIL PE KHAYE KAISE?/?

bahoot khoob khwaish ji!! bahoot achi line likhi hai apne!!!

tere siwaye koi aor najar nahi atta
apna hi diya hua dukh saha nahi jaata
tadap kar phir ek tu hi najar atta hai
dekh le jo tu ek najar to sabar atta hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: February 09, 2009, 05:29:19 AM »
Thanks Shihab ji
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:39:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer