**~** Yeh Bepanaah Mohabbat **~**

by _Vicky_ on September 25, 2010, 05:12:28 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 4404 times)
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #15 on: September 27, 2010, 10:03:45 AM »
nice oneeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

mannnnn jiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii

misssssssss u allllllllllllllllllll
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bepanaah Muhabbat..................(Sanjay Karndhar) by karndhar in Shayri for Khumar -e- Ishq
BEPANAAH PYAR HAIN TUMSE by ANKIT RAO in Other Languages
BEPANAAH PYAR .........MKV by mkv in Miscellaneous Shayri
Bepanaah………Sahal by sahal in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
@-----bepanaah#### sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
medha_jain3
Guest
«Reply #16 on: September 27, 2010, 11:23:10 AM »
Namste Vemp Usual Smile

Achchha kalaam likha hai aapne, Anaam ji ne jo kaha hai thoda us par gaur kare.n.

Duao.n ke sath
Medha Usual Smile
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #17 on: September 27, 2010, 11:24:47 AM »
mann jii bahut bahut khoob peshkash..

mere naam se subah uthne wale
aaj mere ruba-ruu hone se darte he
kabhi mujhpar mitne ki kasame khane wale
aaj bewafaii ke anjaam se darte he
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #18 on: September 27, 2010, 02:09:21 PM »
Kavita ki drishti se achha kalaam hai aapka par......


Bhulade uss pyaar ko jo ho gayaa hai kisi ki amaanat ab tu
Sindoor ka rishta hota aham usse na badnaam hone de tu






Anaam Ji Bahut Bahut Shukriya.. aur aapke Likhe Alfaaz Bhi Bahut Khooob Hain.. Par Kya karen Dost.. Hum dil ke haathon Majboor hain.. !!!!


**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #19 on: September 28, 2010, 02:31:10 PM »
Rishton k bojh me kyun ye dil ghut k reh jata h
sindoor bhar maang me kyun ek anjana sb ku6 bn jata h
jisse ruuh ka ehsaas ka rishta jodta h dil
wahi jaan hamari hamare liye begana bn jata h


bht pyari porpt h mann ji apki dil se bht bht daad janab


Bahut Bahut shukriya Geet Ji.. aapne Bhi Bahut Bahut pyaari lines Likhi hain.. Bahut Khooooob.. :cap: Applause




**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #20 on: September 30, 2010, 05:28:10 AM »
Wah Mann ji kya kehne .. jab aate hai seedhe dil ko chhoo jaate hain aapke lekh.. bahut bahut khoobsurti se likha hai apne... aise lekh dil se padhne k liye hote hain aur dil ko chhoo hi jaate hain... bahut khoobsurti se aapne apne dard ko shabdon me pesh kiya hai... bahut bahut khoob likha hai aapne...

 Applause Applause Applause Applause Applause

aap jaise to achcha nahi likh paate par ek ichcha hui aapka likha hus ye post padh ke ki kuch likhun. aur bas likh daala. pata nahi kya likha mujhe bhi nahi pata...


yaadon ko basa ke rakha tha dil me, bhoolayen nahi hain,
uska chehra aaj bhi hai aankhon me, mitaayen nahi hain,

kabhi sochte hain ki kaash wo hamaari hoti hamesha k liye,
kabhi sochte hain ki wo hume mili na hoti bhulaane k liye,

ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai dost jo koi samjha nahi,
kisi ko mila haasil to kisi ke naseeb me kuch bhi nahi,

aaj jab dekha use kisi aur ki baahon mein angraaiyaan lete huye,
socha mere dil me jo tha itne saalon se shayad mohabbat hi nahi,

haan mujhe ghum is baat ka nahi hai ki usne bhoola diya mujhko,
ghum to bas is baat ka hai ki aaj tak main usko bhula paaya nahi,

aati hai haqeeqat me nahi par chhed jaati hai raaton ko khayaalon me,
kya rishta hai usse mera jo juda ho ke bhi ab tak juda ho paaya nahi,

kya yahi mohabbat hai ki koi rota hai kahin to koi hasta hai,
kyun uske naseeb me bas khushiyaan hain,
aur mere naseeb me ghum k siwa kuch nahi...

Kapil Bhai Aapke Likhe Yeh Alfaaz Seedhe Dil me utar Gaye.. Aakhiri Sher to Basssss Jaan Hi Le Gaya.. Bahut Hi Khubsoorati se apne Ehasaas Yahan Pesh kiye Hain aapne. Aapki is Rachna Se Is Thread Ki Raunak aur Badh gai.. Shukriya Dost..  notworthy notworthy notworthy




**~** Mann **~**
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #21 on: September 30, 2010, 05:29:25 AM »
shukriya Mann ji...!!!

Kapil Bhai Aapke Likhe Yeh Alfaaz Seedhe Dil me utar Gaye.. Aakhiri Sher to Basssss Jaan Hi Le Gaya.. Bahut Hi Khubsoorati se apne Ehasaas Yahan Pesh kiye Hain aapne. Aapki is Rachna Se Is Thread Ki Raunak aur Badh gai.. Shukriya Dost..  notworthy notworthy notworthy




**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #22 on: October 02, 2010, 05:50:26 AM »
Wah wah Mann ji bahut dard ,gaherai aur khoobsurti se likha aapne.Anaam ji,Kasak ji,Kapil ji great lines.excellent.keep it up.hats off icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Tahe Dil Se Bahut Bahut Shukriya Madhu Ji.. Aapki Daad Humesha Hausla Afzaai Karti Hai..  notworthy notworthy notworthy



**~** Mann **~**
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #23 on: October 02, 2010, 11:41:17 AM »
Bahut achhe....seedhe dil se nikla....ye tere andaaje-bayaan pasand aayaa humko..... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Hum mile they...Rishte bhi jude they...waade bhi kiye they
Bhagya ka chakra...majboori me fase they...hum bichhude they

Ek dusare ko samjhe they...Dosti k rishte ab bhi bandhe they
Uski ek aawaaj par,sab kaam chhod,saath usske hum khade they
[/colo


Bahut khoooooob Anaam Ji.. Bahut Khoob Lines Likhi hain aapne.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #24 on: October 02, 2010, 04:18:38 PM »
Ek Roz Dekha Tha Unhe.. Kisi Aur Ke Naam Ka Sindoor Maang Me Bhare Hue... Jo Kabhi Humse Ishq Kiya karte the.. Qasame Khate the humaara Ho Jane Ki.. Aur Aaj Kisi Gair Ke Ban Baithe Hain.. To Kya hua.. Ishq to Hum Aaj Bhi Unse Bepanah Karte Hain.. Marte Hain aaj Bhi Unpe.. Basss Yehi Ehasaas Lafzon me utaarne ki Koshish ki Hai.. Ummid Hai aapko Pasand aayegi..!!



Aaj Dekha To, Yeh Mehsoos Hua Is Dil Ko Yaaron,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...

Kabhi Jeete Hain Uska Naam Lekar Lamha-Lamha,
To Kabhi Yaadon Me Uski, Zaar-Zaar Marte Hain...

Aaj Dekha Kisi Gair Sang, To Yakeen Hua Is Dil Ko,
Ki Ab Wo Mohabbat Ban, Kisi Aur Par Baraste Hain...

Kahane Ko To Mera Hai, Par Hum Saaya Kisi Aur Ka,
Isi Khayal Ko Dil Me Le Usse Nafrat Bhi Karte Hain,

Par Yeh Mohabbat Bhi Badi Ajeeb Cheez Hai Yaaron,
Ki Milne Ko Usi Se Phir Bhi, Baar-Baar Taraste Hain...

Kal Khwaab Me Mile, To Bas Lipat Ro Pade Mujhse,
Larazte Labon Se Kaha, Hum Tum Pe Hi Marte Hain...

Phir Kaise Bhool Jaata Main, Us Ek Raat Ki Baat Ko,
Jo Khwaab Me Hi Sahi, Mere Hone Ko Machalte Hain....

Koi Ja Ke Kaha Do Mere Yaar Ko, Paigaam Is Dil Ka,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...!!!!!




Aaj Dekha To, Yeh Mehsoos Hua Is Dil Ko Yaaron,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...!!!!!!!
love9 love9
**~** Mann **~**

Vikas bhaijan, mujhe bahaut maza aya yeh parr kar..mujhe iss main dard toh dikta hai mager mohobat zada nazar ati hai..Be-panaah mohobat..bahaut bahaut khoob..bahaut acha kalam hai yeh apka..! Dil choo gaya..

Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #25 on: October 02, 2010, 04:19:55 PM »
Wah Mann ji kya kehne .. jab aate hai seedhe dil ko chhoo jaate hain aapke lekh.. bahut bahut khoobsurti se likha hai apne... aise lekh dil se padhne k liye hote hain aur dil ko chhoo hi jaate hain... bahut khoobsurti se aapne apne dard ko shabdon me pesh kiya hai... bahut bahut khoob likha hai aapne...

 Applause Applause Applause Applause Applause

aap jaise to achcha nahi likh paate par ek ichcha hui aapka likha hus ye post padh ke ki kuch likhun. aur bas likh daala. pata nahi kya likha mujhe bhi nahi pata...


yaadon ko basa ke rakha tha dil me, bhoolayen nahi hain,
uska chehra aaj bhi hai aankhon me, mitaayen nahi hain,

kabhi sochte hain ki kaash wo hamaari hoti hamesha k liye,
kabhi sochte hain ki wo hume mili na hoti bhulaane k liye,

ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai dost jo koi samjha nahi,
kisi ko mila haasil to kisi ke naseeb me kuch bhi nahi,

aaj jab dekha use kisi aur ki baahon mein angraaiyaan lete huye,
socha mere dil me jo tha itne saalon se shayad mohabbat hi nahi,

haan mujhe ghum is baat ka nahi hai ki usne bhoola diya mujhko,
ghum to bas is baat ka hai ki aaj tak main usko bhula paaya nahi,

aati hai haqeeqat me nahi par chhed jaati hai raaton ko khayaalon me,
kya rishta hai usse mera jo juda ho ke bhi ab tak juda ho paaya nahi,

kya yahi mohabbat hai ki koi rota hai kahin to koi hasta hai,
kyun uske naseeb me bas khushiyaan hain,
aur mere naseeb me ghum k siwa kuch nahi...
I think this is one of your finest posts I have read Kapil Dost..bahaut bahaut khoob..Akhri shaer toh bas bahaut hi zadaaaaaa acha hai..!
Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #26 on: October 02, 2010, 04:21:28 PM »
Anaam jee, bahaut acha likha hai apne bhi..!

Applause Applause

Bahaut khoob Anamika di aur Abhi jee..!

Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #27 on: October 02, 2010, 04:35:05 PM »
Ek koshish iss nadan ki taraf se..

Barbaad mera jahan karke woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Jo kal tak meri duniya ko roshan karta tha,
Mere sapnon tak ko be-rang kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Izhar-e-mohobat mujse aur baahon main kisi aur kay rehta tha,
Aisi bhi wafa nibha kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Apna sab kuch jis kay naam kar diya ‘Khamosh’,
Rulane wali yaadon ka tofa de kay woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..

Kabhi mera dil bhi ehsaason se bhara tha; aj pathar sa hai,
‘Rahim’ ko ‘Khamosh’ bana kar woh yaar chala,
Dekho yaaron mujhe tabah karke woh yaar chala..


~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #28 on: October 02, 2010, 05:36:10 PM »




Aaj Dekha To, Yeh Mehsoos Hua Is Dil Ko Yaaron,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...

Kabhi Jeete Hain Uska Naam Lekar Lamha-Lamha,
To Kabhi Yaadon Me Uski, Zaar-Zaar Marte Hain...

Aaj Dekha Kisi Gair Sang, To Yakeen Hua Is Dil Ko,
Ki Ab Wo Mohabbat Ban, Kisi Aur Par Baraste Hain...

Kahane Ko To Mera Hai, Par Hum Saaya Kisi Aur Ka,
Isi Khayal Ko Dil Me Le Usse Nafrat Bhi Karte Hain,

Par Yeh Mohabbat Bhi Badi Ajeeb Cheez Hai Yaaron,
Ki Milne Ko Usi Se Phir Bhi, Baar-Baar Taraste Hain...

Kal Khwaab Me Mile, To Bas Lipat Ro Pade Mujhse,
Larazte Labon Se Kaha, Hum Tum Pe Hi Marte Hain...

Phir Kaise Bhool Jaata Main, Us Ek Raat Ki Baat Ko,
Jo Khwaab Me Hi Sahi, Mere Hone Ko Machalte Hain....

Koi Ja Ke Kaha Do Mere Yaar Ko, Paigaam Is Dil Ka,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...!!!!!




Aaj Dekha To, Yeh Mehsoos Hua Is Dil Ko Yaaron,
Mohabbat Aaj Bhi Hum Us-se Bepanaah Karte Hain...!!!!!!!
love9 love9




**~** Mann **~**

Mann Ji ... bahut khoob lage aapki ghazal ke sabhi ashaar ... ehsaas dil me utar gaye ... very nice creation ... dil se daad hazir hai ... aise hi likhte rahen aage bhi ... khush rahen ...

duaaon ke saath ....
Logged
malli
Guest
«Reply #29 on: October 03, 2010, 07:32:20 AM »
Bhaiya itna dard kyu? jo na hua hamara unke liye aahein kyu barna? cheer up..dear

Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:38:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.168 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer