Yeh Kaisa Asar Teri Chah Mein Hai...(Shihab)

by majid on October 31, 2009, 06:57:27 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3556 times)
majid
Guest
               Naa Jaane  Yeh  Kaisa  Asar , Teri  Chaah Mein Hai
               Ki Nahi Samane Phir Bhi Lagta Tu, Nigaah Men Hai.
                    

               Bhool Ke bhi Aakhir Kahan Bhool Paya Hun Tujhey
               Aaj Bhi Dhadkan-Dhdkan Tere , Tazkirah Mein Hai.
              

               Karke Mujhe Bechain , Chain  Kahan Tu Bhi Payega
               Kuch To Asar Aey Janeman , Meri Bhi Aah Men Hai.
                

               Toot Ke Tukde Tukde, Ho  Gaya  Ik Khwaab To Kya
               Bahut Se Hausle Aise Abhi Bhi, Meri Raah Mein Hai.
                

               Yun Dard-o-Gham Ke Milne Pe Udas Na Ho Shihab
               Aise To Kahin Or B Rang Dunya Ki, Panah Mein Hai.



                                    ~Shihab~
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: October 31, 2009, 07:06:21 AM »
 Applause Applause Applause

Bahoot Bahoot Khoob Shihab.. bakoobi dard ko byan kiya hai. BahootKhoob!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: October 31, 2009, 07:51:02 AM »
Shihab bhai bahut hi accha likha hai aapne ApplauseApplauseApplause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: October 31, 2009, 06:24:32 PM »
waah khoob kha aapne sahihab ji....last four lines bahut hi sachi aur acchi likhi hai aapne....bahut badhiya Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: November 01, 2009, 04:41:27 AM »
Wah bahut bahut khoob Shihab ji,really touched,marvelous creation.excellent
 icon_thumleft Applause Applause Applause :clap:great work keep it up. Thumbs UP
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #5 on: November 01, 2009, 05:42:21 AM »
Nikhaar Ji Ye To Nazar Pe Nirbhar Karta Hai
Ki Usse Kya Achha Lagta Hai Aur Kya Nahi.
To Likhne Main Koi Baat Nahi Bas Asli Kamaal To
Dekhne Wale Ki Aankhon Mein Hota Hai Ki
Woh Kis Qadar Parke Mehsus Karta Hai..Khair

Bahut Bahut Shukariya Ji Meri Naakam Si
Koshish Ko Pasand Karne Ke Liye..
Aapka Tahe Dil Se Mashqoor Hun Ki Aap Yahan
Aaye Parah Aur Apna Waqt Diya..Bahut Bahut Shukariya Ji.
kamaal to likhne waale ki soch mein bhi hota hai Sahihab ji...gar likha hi na jaaye to hum padhege kya
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #6 on: November 01, 2009, 06:35:06 PM »
Shihab saaHeb:

Aadaab ar'z hai!

ummid kartaa huuN aap Khairiyat se hoNge! huZoor kyaa Khoob Ghazal bazm meiN ataa ki haii aapne.. ki dil baaG-baaG ho gayaa! Ghazal kaa maq'taa tou mujhe be-had pasaNd aayaa ! poori Ghazal qaabil-e-taareef rahiiN.. ees naGhz Ghazal par mere dil se DheroN saarii daad aur duaaeN! liKhate raheN aage bhee.. bazm ki raunaq afzA'ii karte raheN..!

KhuSh raheN.. apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #7 on: November 02, 2009, 12:19:36 PM »
Aadab Ji.
Dhawal Ji Aap Jaisa Ustad Mujh Jaise Insa Ko
Saaheb Bulaye Achha Nahi Lagta..Plz Sirf Shihab Bulaaye Aap..!
Aur Aapka Yahan Aane Hi Humare Liye Badi Baat Hai.
Yeh To Humari Khushnaseebi Hai Ki Aapne Nazar e Karam Farmayi.

Khair
Zahe Naseeb Ki Aapko Meri Naakam Si Koshishi
Is Qadar Pasand Aayyi Bahut Bahut Shukariya..

Aapka Tahe Sil Se Mashqoor Hoon Ki Aapne
Apna Kimti Waqt Diya Bahut Bahut Shukariya Janaab.

Bas Do Shabd Aap Bhi Likh Kar Jaate
To Hume Kuch Sikhne Ko Mil Jaata .!
Khair Aap Aaye Wahi Bahut Hai.Thanks


Hum Bhi Duao,n Ke Saath Ijazat Chahenge..

Khush Rahe...


Shihab bhaa'ii:

Aadaab!

aapkaa Khat paRhaa..  itni izzat afzA'ii ke liye maiN aapka be-Had mamnuuN huuN..Shihab bhaa'ii maiN ko'ii ustaad nahiiN huuN bas ik ChhoTaa taalib-ilm huuN jo aap sab ko paRh-paRh ke jazbaatoN ko bayaa.n karnaa seeKhtaa rehtaa haii! hum sab yahaa.n aik doosre se seeKhate hai.n.. mujhe KhuShii hotee hai jab aap jaise baRhiyaa Shaayar ko paRhne kaa mauqaa miltaa hai! aap umdaah liKhate hai.n aur aapka jazbaatoN ko bayaa.n karne kaa tareekaa baRaa hi KhaaS haii! aisaa ki har paRhne waalaa KhiNchaa chalaa aaye!..aur aapne apne Khat meiN kahaa Nakaam si koShiSh..  dil se nikle huye lafz dil se paRhne waaloN ke liye kabhee bhee naakaam nahiiN hote bhaa'ii.. aapki koShiSh bahot hi Khoob aur kaamyaab thiiN..aap jaise umdaah Shaayar ko paRhke kuch seeKhane ko bhee mil jaataa haii!

aapne huk'm farmaayaa aur aapke huk'm ki taameel nah ho aisaa ho naheeN saktaa,,kuch ehsaas ees Khaaksaar ki aor se bhee!

kyaa kahuN tuM se haal-e-dil ke dard puraanaa haii
KhuShiYoN saa mehal haii par Ghum kaa Khazaanaa haii

dost "Shihab" bas apnaa to ik yahi fasaanaa haii
ke TooTii hu'i kaShTi hai ,daryaa paar jaanaa haii


aise hi liKhate raheN aap.. bazm ki Shaan ko baRhaate raheN apni koShiShoN ke Zar'iiYe!

KhuSh raheN.. apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval


Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: November 02, 2009, 02:30:58 PM »
Bohot Khoob Shihab
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #9 on: November 03, 2009, 03:46:03 AM »
Thank You So Much Dhawal Bhai Its such a big Compliment
Zarrah Nawazi Ki Aapne Itni Izzat Afzaai Ki Badi Mehar Bani.
Aur Bhai Aapne Khudko Ustad Mane Ya Na Maane Par Aapke Alfzon Se
Aapki Asalaiyta Zahir Hoti Hai...Ki Aapko Kitni Samajh Hai Aur Kitni Nahi....
Bhai Meharbani Mujhe Shayar Ka Naam Na De To Aap
Kyun Ki Shayar Ki Soch Ki Koi Had Nahi Hoti Hai
Aur Main Ek Had Main Bandha Hua Hun Iske Aage Main
Kabhi Soch Hi Nahi Sakta..Main Bhi Talib e Ilm Hi Hun
Haan Auron Ka To Mujhe Pata Nahi Hai Par Maine Yahan
Bahut Kuch Sikha Hai Aap Jaisa Umda Shayron Ko Parh Parh K
Ab Rahi Baat Naakam Koshish Ki To Bhai Main Ab Bhi Yahi Kahun
Ki Meri Koshish Naakam Hi Hai Kyun Ki Main Ek Ajmee Hoon
Abhi Ilm Aur Shayeri Se Bahut Hi Door Hoon To Mera
Galti Karna To Zahir Hai Bhai...Bas Yeh To Aap Jaise Dost
Hausla Afzaai Kar Dete Hai To Thodi Bahut Dil Ko Tasalli Ho Jati Hai.Aur Bahut Khushi Mil Jaati Hai.....
Aur Bhai Humne Koi Huqum Nahi Diya Tha
Bas Humne To Request Ki Thi.Aur Uske Liye Main Aapka
Tahe Dil Se Mashqoor Hoon Ki Aapne Mujh GaribKi Baat Pat
Is Qadar Roshni Daali..Bhaut Bahut Shukariya Bhai
Aage Bhi Yun Hi Saath Dete Rahiyega...

Aur Hume Aapke Yeh Umeedon Aur Himmat Se Bhare
Ehsas Bahut Hi Achhey Lage.Bas Hume Bhi Ik Himmat
Si Mil Gayi Aapke Share Padne Ke Baad....
Ab Aapke Aage Bhala Kya Likhein Hum
Phi Bhi Kabhi Aapki Ijazat Mili To
Jarur Koshihs Karne Ji.


Duaao.n k Sath Ijzat Chaunga
Khush Rahe Aap Bhi..Shihab.







Zaruur Shihab bhaa'ii.. mujhe KhuShii hoNgii ki aap mere ehsaasoN ke saath apne ehsaas joReNge tou.. ye meri KhuShkimatee hoNgii! KhuSh raheN.. apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #10 on: November 03, 2009, 07:14:29 PM »
Bahut Bahut Shukariya Hausla Afzaai Ke Liye

Dhaval Bhai Badi Hi Aasnani Aur
Kam Lafozn Mein Aapne Apna Haal Keh Diya
Yeh Sab Ke Bas Ki Baat Nahi Bhai
Har Koi Nahi Likh Sakta..
Bahut Umda Likha Hai Aapne
Koshish Karta Hun Galti Maaf Ho..!


Dard.o.Gham Se B Lete He Khud Ko Sanwaar Deewane
Har Mushqil Se Ladne Ko Rehte Hai Tayyar Deewane.

Jahan Soch Wale B Na Puhnch Sake Apne Yantron Se
Whi Apni Tooti Kashti Se Hi Ho Gaye Paar Deewane...!


Plz Kuch Galti Ho To Jarur Bataiyega.
Take Mujhe Aur Sikhne Ko Mile.





Shihab bhaa'ii:

bahot Khoob liKhaa hai aapne.. doosre Sher kaa Khayaal mujhe baRaa pasaNd aayaa! liKhate raheN yuuNhi.. bazm ki raunaq baRhaate raheN... dil se DheroN saari daad aur duaaeN!

KhuSh raheN.. apnaa khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

W'salaam

aapka

~ Dhaval
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: November 04, 2009, 05:13:04 AM »
Naa Jaane Yeh Kaisa Asar Teri Chaah Mein Hai
Nahi Samane Phir Bhi Lagta Tu Nigaah Mein Hai.

Bhool K bhi Aakhir Kahan Bhool Paya Hun Tujhe
Aaj Bhi Dhadkan Dhdkan Tere Tazkirah Mein Hai.

Karke Mujhe Bechain.Chain Kahan Tu Bhi Payega
Kuch To Asar Aey Janeman Meri Bhi Aah Mei Hai.

Toot Ke Tukde Tukde Ho Gaya Ik Khwaab To Kya
Bahut Se Hausle Aise , Abhi Bhi Meri Raah Mein.

Yun Dard o Gham Ke Milne Pe Udas Na Ho Shihab
Aise To Kahin Or B Rang Duniya Ki Panah Mei Hai.!
.....

Tazkirah...Charcha Jikr


Bahut bahut Khoob Majid Bhai..

Bahut Hi khoobsurat Aur Gehre Jazbaat..

har Sher,Har Lafz Bahut Khoob.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
shabbir143
Guest
«Reply #12 on: April 15, 2010, 12:52:09 PM »


Arey Wah Re Shayar Sahab
Bahuj Saras Mari Jaan...
Applause Applause Applause
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #13 on: May 05, 2011, 02:14:28 AM »
Kya Kehne Bohat Khoob Sihab Ji Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #14 on: July 16, 2012, 04:52:42 PM »
Bahut khoob shihab
Vaah vaah
sach me purani post padhne me khoob maja aata hai.. log ek ek post par time dete the..jabardast jugalbandeee chaltee thi..
ye sab cheeje aaj missing hai?
Dhaval ji bhi aapki post par hai..sach me khoob maja aaya.
Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:26:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer