yeh matt puchana .....

by ranjana on August 06, 2006, 05:25:00 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3093 times)
ranjana
Guest
mujhse mere aansu.n ki kahaani mat puchana
kyu barsati hai meri aankhe yeh kabhi matt puchana

jeevan ke khel ne  na jaane kitne khel  khele hamaare saath
hum jeet ke bhi kyu hain haare yeh kabhi matt puchana

unke rukh se kahi naqab hat na jaaye kahi unki snagdili ka
hamne usko chhipane ke liye kya kya na kiya yeh matt puchana

rahe bhi thee meri aur  woh hamsafar bhi they mere
per kyu na paa saki main manzile yeh kabhi matt puchana

is duniya mein na jaane kitne chehare hain mere aaspass
per har shakas ki aanhko mein hai kyu tanhai yeh matt puchana

sikander gaya jab duniya se toh khaali haath thaa
fir bhi har koi laga hai is duniya ko  khud mein samtane mein  yeh ab matt puchana
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~ ~ ~ Lene matt dena... by thinkhattk in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Matt Pucch by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Kahaani Matt Puchoo...Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
MUJH SE MATT TAKRANAA BHAAEE!!!!!!!!! by qalb in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
>>>>>Matt Jana Chhod Kar...<<<<< by Saman Firdaus in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2006, 06:56:07 AM »
Wah kya baat hai Ranju

Hoti Tadap mere Seene me......
Toh Wadion ke bichadne ka Gumaan hai.......

Hai Fuhaar ek Dard ki Zindagi me.....
TOh nadaan Mnazilon ke raste Sunsaan hai.....

Poochte hai hum kabhi unse......
Ki yeh kya meri TaQdeer par ehsaan hai.....

Roti ho tum kyu mujhse Chup Chup ke......
Kya hamare Zakhmon par AshQ bahana hee tumhara Armaan hai.......!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: August 06, 2006, 02:47:58 PM »
na jaane aur kya kya thaa udas hone ke liye
meri udaasi ka sabab sirf tu hi na thaa

kai dard they jo zamaane ne mujhe diye
asar mujh per sirf tere diye dardo ka na thaa
Logged
phoenix
Guest
«Reply #3 on: August 06, 2006, 03:04:16 PM »
ye matt poochna ki haal dil ka behaal kyun hai
kadam ladkhadaye aur dil beqarar kyun hai
thami hui hain suiyan ghadi ki
aur saanso ki raftar kyun gum hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: August 06, 2006, 03:10:55 PM »
us mehfil mein har ek ke haath mein sirf phool they
fir bhi zakham laga kis ke pathar se yeh mat puchana

jal gaya dil apne hi kisi ghar ke chiraag se
us diye mein aag kisne di yeh mat puchana
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: August 06, 2006, 03:34:14 PM »
GUd Job Ranju and Nittu
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: August 07, 2006, 02:44:18 AM »
shukriya gauarv ...

koi pass reh ke bhi mere saath na aaya hai
waqt ke aage maine apne ko aksar bebas sa paaya hai

ek khamoshi hai ek santaata hai raho mein
kab kis ne aa kar yahan koi pyaar ka deep jalya hai

dikhte nahi mujhe ab toh kisi ke bhi  kadamo ke nishaan
kab samjhega mera dil yahan kaun apna hai kaun paryaa hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: August 08, 2006, 04:12:30 PM »
GUd one Ranju

Dil tha beshakk Saath mere......
Par Dunia ko uski Sada kaise Sunate.....

Aansun bahate the hum Tanhai me.....
Toh bhala Deewaron se kaise mooh chupate......

Galiyaan thi mere Sheher ki kuch iss Tarah Badnaam.....
Ki Jaane kaise hum Zindagi ke rastn me Khushion ke Phool bichate......!!!!!!!!!!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 09, 2006, 04:02:26 PM »
Quote from: "ranjana"

mujhse mere aansu.n ki kahaani mat puchana
kyu barsati hai meri aankhe yeh kabhi matt puchana

jeevan ke khel ne  na jaane kitne khel  khele hamaare saath
hum jeet ke bhi kyu hain haare yeh kabhi matt puchana

unke rukh se kahi naqab hat na jaaye kahi unki snagdili ka
hamne usko chhipane ke liye kya kya na kiya yeh matt puchana

rahe bhi thee meri aur  woh hamsafar bhi they mere
per kyu na paa saki main manzile yeh kabhi matt puchana

is duniya mein na jaane kitne chehare hain mere aaspass
per har shakas ki aanhko mein hai kyu tanhai yeh matt puchana

sikander gaya jab duniya se toh khaali haath thaa
fir bhi har koi laga hai is duniya ko  khud mein samtane mein  yeh ab matt puchana


wha! ranjana ji bahut khub likha hai ek koisis huhm bhi kerte hai...

mujhse meri aapni kahani mat poochana.
kyn jalati hai meri jawani mat poochna.
zindgi bechte hai maut kokharidne ke liye.
kyn behte hai aankho se paani mat poochna

zindgi ne humse bhi khel bahut khele hai.
unke her sitam ko chup chap hum jhele hai.
barsat ki boonde zakhm hare kerti hai.
aur.. aaj phir ghate hai kyn aasmani mat poochna.

kya di hai unhone nishani mat poochna .
mujhse meri aapni kahani mat poochna
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: August 10, 2006, 05:05:36 AM »
bahut khoob kavi ji ....gauarv ..veru nice ....

jo ho chuke hain ghum apne hi rasato mein
unse kabhi khone  ka  sabab na poochna

kyu karta raha tanha dil khud se hi itni baate
yeh kissa  hai yeh ab  matt poocnha

aaj dil ke dharkane ki awaz se bhi  hum dar jaate hain
kyu is qader failla sa hua hai sanaata yeh matt poochna

siskiyo.n se bhar laaye hain hum daaman apna
kyu reh gaya bas dur se khushi se vasta mera ..
yeh kahaani kabhi matt mujhse poochna ......................
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #10 on: August 10, 2006, 07:17:58 AM »
koi bhi to manzil nahi hai iss zindagi ki raah mein
phir kyun chalta jaa raha hoon iss raah per mat poochhna


jeena nahi chahta aisi dard bhari zindagi ko
phir kyun gir gir ke sambhalta jaa raha hoon mat poochhna
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: August 10, 2006, 09:06:38 AM »
kyu tut gaye sapne mere tere sang jeene ke
kyu mila hame safar tanha yeh mat poochna

hame malum thaa khaayenge ek din hum yun hi thoker
fir bhi kiya kyu tumse pyaar yeh mat poochna
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #12 on: August 10, 2006, 02:02:53 PM »
Quote from: "ranjana"
bahut khoob kavi ji ....gauarv ..veru nice ....

jo ho chuke hain ghum apne hi rasato mein
unse kabhi khone  ka  sabab na poochna

kyu karta raha tanha dil khud se hi itni baate
yeh kissa  hai yeh ab  matt poocnha

aaj dil ke dharkane ki awaz se bhi  hum dar jaate hain
kyu is qader failla sa hua hai sanaata yeh matt poochna

siskiyo.n se bhar laaye hain hum daaman apna
kyu reh gaya bas dur se khushi se vasta mera ..
yeh kahaani kabhi matt mujhse poochna ......................


hai kaun humko pyaara,
mere jeene ka sahara.
hai kaun dil ke paas
hai kaun meri saans.
kabhi kisi se mat poochna....

wo kaisi meri meet thi,
bewafai se prit thi.
tha kis se mera yaara.
bana kaun mera hatyaara
kabhi ksis se mat poochna.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: August 10, 2006, 04:24:14 PM »
Jeena tha mujhe......
Shayad isi liye harr Gum pee liya......

Maut thi Mushkil.....
Isi liye tujhse humne Daaman Chura liya.....

Tune kya Socha Doori tujhse hume gawara thi.....
Nahi tha kuch Sawaalon ka jawab mere paas.....

ISi liye apni Hansi me harr aanson Chupa liye........!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: August 10, 2006, 06:29:18 PM »
kyu talasha hamne paani ko rait ke samandar mein
kyu rah gaya dil yeh payaasa yeh mat poochana

kyu ro pade hum khud hi apni kahaani sunaate sunaate
yeh dard ka kissa ab tum hamse na poochana

unko chaha thaa hamne apni jaan se badh kar
fir bhi hum kyu na jagaa sake preet yeh mat poochna

khile bas phool ishq ke hamare khawabo mein
kyu mil saki na unhe koi khushbu yeh mat poochna
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:03:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer