yeh sakoon hi bahut hai !!!!

by ranjana on October 17, 2006, 09:44:04 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1684 times)
ranjana
Guest
yeh zindagi bhi ajab si khud ko lagati hai
yahan ab koi ehasaas nahi hai khud ko paane khone ka

pal pal muskarte hain toh bhi hum aise
jaise khud ko shouk ho apne hi  ashqo mein dubone ka

sirf dil mein dard ho toh yah nahi hai kaaffi
lafzao ko hunar chahaiye ghazalo mein peerone ka

chaand pighala toh  sama sa wahi tham ke reh gaya
thapki de ke sula raha hai jaise koi dard ko khilone sa

rooh mein basa hai koi yeh ehasaas hai dil ko
yeh sakoon hi bahut hai zindagi ke gujar hone ka !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaisay sakoon paoon, tujhay dekhnay kay baad, by muneeb in Ghazals
Sakoon... by Naya_Daur in Miscellaneous Shayri
jaane woh kaisa sakoon by sharma.reema@yahoo.com in Shayri-E-Dard
Kaise Sakoon Paoon......... by ANAAM in Share: Poetry of Pain
Sakoon by FARE in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: October 17, 2006, 09:54:07 AM »
Quote from: "ranjana"
yeh zindagi bhi ajab si khud ko lagati hai
yahan ab koi ehasaas nahi hai khud ko paane khone ka

pal pal muskarte hain toh bhi hum aise
jaise khud ko shouk ho apne hi  ashqo mein dubone ka

sirf dil mein dard ho toh yah nahi hai kaaffi
lafzao ko hunar chahaiye ghazalo mein peerone ka

chaand pighala toh  sama sa wahi tham ke reh gaya
thapki de ke sula raha hai jaise koi dard ko khilone sa

rooh mein basa hai koi yeh ehasaas hai dil ko
yeh sakoon hi bahut hai zindagi ke gujar hone ka !!


Marvalous Ranju....Sacchi fantastic...

chaand pighala toh sama sa wahi tham ke reh gaya
thapki de ke sula raha hai jaise koi dard ko khilone sa
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: October 17, 2006, 11:13:30 AM »
Ranju Di... This is really too Good...

Bahut achhe words use kiye hai aapney...
Superb... =D> =D> :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: October 17, 2006, 11:40:45 AM »
Ranju bohot achcha likha hai aapne !
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: October 17, 2006, 05:43:43 PM »
WOwwwwwwwwwwwwwwwwwwwwww

HuMko Tanhaiyon Mein Jeene Do,
Chupke Chupke Ye Ashq Pine Do,

Apni Chahat Ka Mat Sahara Do,
HuMko Tanha Ye ZakhaM Seene Do,

Dil Se Yaadein Na Mitne Payengi,
Inko Aise Hi Dil Me Jeene Do,

Darta Hoon Phir Kahin Na Beh Jaun,
Rehne Do TuM Na Ye Safine Do,

Wo Hi Dikhta Hai Meri Aankhon Mein,
Chahe Kitne Bhi TuM Aayine Do,
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: October 18, 2006, 05:21:05 AM »
Jazbaat ki tarjumaani karna tau koyi aap se seekhe Rajana... Bohat khoob..

 Good One Angel as usual...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: October 18, 2006, 05:48:44 PM »
Thanks Aryaan aru sahi kaha aapne, ranju di jaisa to koi likh nahi sakta Usual Smile


Ankh Mein Koi Sitara Ho Zaroori To Nahi,
Pyar Mein Koi HaMara Ho Zaroori To Nahi,

Ye Haqeeqat Hia Ke Mujhe Tujshe Mohabbat Hia,
Par Tere Sath Guzaara Ho Zaroori To Nahi,

Ye Mere Dar Se Jo Phoolonki Mehek Aati Hai,
Tere Aane Ka Ishara Ho Zaroori To Nahi,

Doobte Waqt Ki Nazar Uspe Bhi To Pad Sakti Hia,
SaMne Mere Kinara Ho Zaroori To Nahi,

KaM Nahi Ye Bhi Ke Hai Shaher HaMara Lekin,
Shaher Mein Koi HaMara Ho Ye Zaroori To Nahi,

Ho Sakta Hai Khata Uska Nishana Aye Khushi,
Teer Usne Mujhe Maara Ho Ye Zaroori To Nahi...
* * * * *
Logged
pervez1982
Guest
«Reply #7 on: October 19, 2006, 10:03:34 AM »
kya baat hai ranjana sahiba
kya khoob likhti ho aap
angel apne bhi bahut acha likha hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: October 19, 2006, 10:50:50 AM »
shukriya   talat  .....shikha .....angle ...aryaan ....parvez ..gaurav ......


angle  aapne bahut accha likha hai......



kaise mein apne dil ki baat likhu
dil ke kagaz per kaise tera naam likhu

gum mile hain woh jazbaat likhu
ya kuch pal mile khushi ki sogaat likhu

tap tahi ho jab zindagi dard ke sehera mein
toh kaise usko thandak deti chaandani raat likhu

woh pad lete hain mere dil ki baat kya aise bhi
ab kagaz per kaise apne dil ke halaat likhu

bahut mushkil hai har baat ko muskarhat mein chipana
ab raat kaali hai agar toh kaise usko ujale din ki baat likhu!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: October 19, 2006, 11:37:23 AM »
Good work Angel and Ranju, bohot khoob !!
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #10 on: October 19, 2006, 12:53:17 PM »
Quote from: "ranjana"


pal pal muskarte hain toh bhi hum aise
jaise khud ko shouk ho apne hi  ashqo mein dubone ka


hamare aansu tak sookh chuke hain,
unme doob tak nahin sakte
mehkhane ki sharab bhi khatam ho gai hai,
sharab se bhi gam bhula nahin sakte
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: October 19, 2006, 05:03:43 PM »

HaMara Lab Mohabbat Mein Sile The,
Warna TuMse To Kitne Gile The,

Dilon Mein Doriyan Itni Nahi Thi,
Na-Khuda HuM Me Jitne Faasle The,

HaMare Hi Lahoo Se Jal Rahe The,
Teri Raahon Mein Jitne Bhi Diye The,

Mohabbat Ke Safar Mein Kya Bataun,
Safar Kya Bas Junoon Ke Silsile The,

Usse MaluM Hai HuM Uski Khatir
Chiragon Ki Tarah Shab Bhar Jale The,

Judai HuM Par Bhi Aasan Nahi Thi,
HuM Apne Aap Se Bichhde Hue The...
* * * * *
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: October 26, 2006, 06:07:47 PM »
apni tanhaai ka shikva auro se na karana
yahan har koi khud mein tanaha hai akela hai

do dhadi jeene ki mohalat mili hai sabko
fir aage har safar per tu bikul akela hai

bas ek khamosh si jami hai labo per har kisi ke
har kisi ke dil per laga hua koi ghaav gehra hai!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: October 26, 2006, 06:21:46 PM »
very  nice  Ranjana sis......Angel..........Devdas
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: October 27, 2006, 06:25:43 AM »
teri yaade kuch is qader tadpaati hai
apne saaye ki hi hasti mujhe dara jaati hai

itne ghaav khaaye hain mere dil ne ab tak
phoolo bhari raha bhi mujhe kaanto ki dagar nazar aati hai

har lamha doob ke ubhara hai ubhar ke fir dooba hai
uski nazare mujhe kisi gahre samander si nazar aati hain

kaisi mili hai mujhe apni zindagi ki raha bhi
yahan jeene ki aarzoo mein har tamna marti jaati hai!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:22:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer