Yeh Zaroori To Nahi.........

by khwaish on July 12, 2009, 05:40:13 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Author  (Read 13017 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Main Tujhko Bhool Jaau,
Yeh Zaroori To Nahi.....
Dil Ki Baat Zubaan Par Laau,
Yeh Zaroori To Nahi....

Haan,Yeh Sach Hai Ke Mujhe
Tujhse Bepanaah Mohabbat Hai!!!
Par Tujhe Iss Baat ka Main Ab Yakeen Dilaau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Musafir Hoon Main Bhi
Aur Musafir Ho Tum Bhi!!!
Kisi Raah Par main Tumse Phir Mil Paau,
 Yeh Zaroori To Nahi.....

Duniya Ki Iss Bheed Mein,
Main khud Ki Pehchaan Bhi Kho Baitha Hoon!!
Kabhi To main khud Ko Bhi Kareeb Se Jaan Paau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Tujhko Tujhse Bhi Zyaada
 main Jaanta Hoon!!!
Par Baar-Baar main Iss Baat Ko Dohraau,
Yeh Zaroori To Nahi....

Jo Ashqo Ki Lehar Khamoshi Mein,
Aankhon Se Beh Jaati Hai Unhe Beh Jaane Do!!!
Inn Ashqo Ko Main Aaankhon Mein Apne Qaid kar,
Tujhse Nazrein Churaau,
Yeh Zaroori To Nahi....

"Khwaish" Yeh Jaanta Hai Ke
Insaan Ki Har Khwaish Mukammal Nahi Hoti!!!!
Yeh Jaankar Main Yuhi Halaat Se Apne Haar Maan Jaau,
Yeh Zaroori To Nahi....

              ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye zaroori to nahi... by sanya310 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
YEH ZAROORI TO NAHI.......... by ISHU in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zaroori toh nahi by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
***yeh zaroori to nahi*** by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
zaroori nahi ke gham mein nikla aansu by wafakadard in Share: Poetry of Pain
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1 on: July 12, 2009, 05:56:44 PM »
Bohot umda khwaish ji.  Applause
Bas aap ka likhte rehna zaruri hai..
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: July 12, 2009, 06:12:49 PM »
Bohot Khoob Dost....Dil main utar gayi aapki ye shayari.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot gehre lafz hain....Bohot Khoob Khwaish

Logged
Deepati
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2009, 01:05:58 AM »
Wah Wah Khwaish Ji! Kamaal kaa likha hai aapne!  Dil ko chhoo gaye har alfaaz!  Daad qabool karein! Applause Applause Applause
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #4 on: July 13, 2009, 01:09:01 AM »
WAH kHWAISH JI, WAH

JASBIR SINGH
Logged
mistufer
Guest
«Reply #5 on: July 13, 2009, 01:18:53 AM »
Main Tujhko Bhool Jaau,
Yeh Zaroori To Nahi.....
Dil Ki Baat Zubaan Par Laau,
Yeh Zaroori To Nahi....

Haan,Yeh Sach Hai Ke Mujhe Tujhse Bepanaah Mohabbat Hai!!!
Par Tujhe Iss Baat ka Main Ab  Yakeen Dilaau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Musafir Hoon Main Bhi Aur Musafir Ho Tum Bhi!!!
Kisi Raah Par main Tumse Phir Mil Paau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Duniya Ki Iss Bheed Mein,Main khud Ki Pehchaan Bhi Kho Baitha Hoon!!
Kabhi To main khud Ko Bhi Kareeb Se Jaan Paau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Tujhko Tujhse Bhi Zyaada main Jaanta Hoon!!!
Par Baar-Baar main Iss Baat Ko Dohraau,
Yeh Zaroori To Nahi....

Jo Ashqo Ki Lehar Khamoshi Mein
Aankhon Se Beh Jaati Hai Unhe Beh Jaane Do!!!
Inn Ashqo Ko Main Aaankhon Mein Apne Qaid kar, Tujhse Nazrein Churaau,
Yeh Zaroori To Nahi....

"Khwaish" Yeh Jaanta Hai Ke Insaan Ki Har KHWAISH Mukammal Nahi Hoti!!!!
Yeh Jaankar Main Yuhi Halaat Se Apne Haar Maan Jaau,
Yeh Zaroori To Nahi....

              ~~~~~Khwaish~~~~~


khwaish ji
kya baat hai,
kitni asaani se aapne maan liya
har halaat mein khud ko samabhal liya
mile khushi ya ghum yunhi zindgi mein
rote rahain har dham yeh zaroori toh nahi

beautiful creation, sab ke dil ke ehsaason
ko aapne kalambandh kiya hai.
dili daad hazir hai qabool kijiye
nira
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: July 13, 2009, 06:07:49 AM »
KYA BAAT HAI KHAWISH JI....BAHUT HI BADIYA.

TUMNE TOH KAHEDIYA MUJHE BHOOL JAAO,
PAR MAIN TUMHE BHOOL PAAU,YEH ZAROORI TOH NAHIN.

TU KAR SAKHTI HAI JUDAA, MUJHKO APNE DILSE,
PAR MERA DIL, TUJE JUDAA KARE ,YEH ZAROORI TOH NAHIN.

YEH MANA KI HAR KHAWISH,PURI NAHIN HOTI SABKI,
YEH HI SOCH KE,TUJE NA PAANE KI HAAR MANJAAU,YEH ZAROORI TOH NAHIN.

MAIN JAANTA HON TUMKO,TUJSE BHI ZYAADA,
KI TUM KABHI BHI LAUTKAR NAHIN AAOGI,YEH BHI ZAROORI TOH NAHIN.
                 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: July 13, 2009, 04:11:51 PM »
As usual very touching Khwaish Ji...

Tere har sawaal ka jawab meri aankhon mein chhipe hai,
lafzon me jawabon ko bayan karun ye zaroori to nahi,

samjhun main teri har ek baat ko teri aahaton se,
tu bhi mere gam ki karvat samjhe ye zaroori to nahi,

khwaabon ka aashiyaan hum bhi banake chale the,
bane wo tera bhi gharonda ye zaroori to nahi...
Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #8 on: July 13, 2009, 04:18:12 PM »
dil chhu liya apki lines ne Crying Applause notworthy icon_salut lut liya ji apne
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #9 on: July 13, 2009, 06:32:12 PM »
bahut bahut khub Khwaish ji...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Nira ji,cara ji,Angel ji aap sabne bhi khub likha hai.... Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: July 13, 2009, 06:36:16 PM »
Main Tujhko Bhool Jaau,
Yeh Zaroori To Nahi.....
Dil Ki Baat Zubaan Par Laau,
Yeh Zaroori To Nahi....

Haan,Yeh Sach Hai Ke Mujhe Tujhse Bepanaah Mohabbat Hai!!!
Par Tujhe Iss Baat ka Main Ab  Yakeen Dilaau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Musafir Hoon Main Bhi Aur Musafir Ho Tum Bhi!!!
Kisi Raah Par main Tumse Phir Mil Paau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Duniya Ki Iss Bheed Mein,Main khud Ki Pehchaan Bhi Kho Baitha Hoon!!
Kabhi To main khud Ko Bhi Kareeb Se Jaan Paau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Tujhko Tujhse Bhi Zyaada main Jaanta Hoon!!!
Par Baar-Baar main Iss Baat Ko Dohraau,
Yeh Zaroori To Nahi....

Jo Ashqo Ki Lehar Khamoshi Mein
Aankhon Se Beh Jaati Hai Unhe Beh Jaane Do!!!
Inn Ashqo Ko Main Aaankhon Mein Apne Qaid kar, Tujhse Nazrein Churaau,
Yeh Zaroori To Nahi....

"Khwaish" Yeh Jaanta Hai Ke Insaan Ki Har KHWAISH Mukammal Nahi Hoti!!!!
Yeh Jaankar Main Yuhi Halaat Se Apne Haar Maan Jaau,
Yeh Zaroori To Nahi....

              ~~~~~Khwaish~~~~~


uuff ek eke shabd aor shabdo se buni lines.. dil ko chedati hui... bahoot he dard main doobi aor gahri rachna likhi hai apne... Good work!!

Nira ji, cara ji and Angel dear app sabhi ne khoob sath nibhaya hai Khwaish ji ka!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: July 13, 2009, 06:45:43 PM »
Ajj bahoot dino baad koi kavita parr kar kalam apne app chal pari.. jo bhi man mai ayya apki kavita parr kar khwaish ji likhne ja rahi hu...

Bhulana bhi chahoge to bhool nahi paoge
Yakin karo khud main ulajh kar rah jaoge

Such hai kaya aor kaya bacha hai jhooth rishto main
Pyar ke rishto main yah fark na kabhi kar paoge

Hai muhobat to khud b khud kara jayegi Ehsaas
Warna to apne yakin per bhi bharosa na kar paoge

Musafir hai waise to her ek shakas is dunia main
Magar dil ke raste se na kabhi bahar ja paoge

Teri pehchan tujkhko nahi to kaya kahe ab Pooja
Meri najar main apni pehchan ko kaya kabhi jaan paoge

Dohraane se kai baar milta hai sakoon dil ko e-dost
Agar kahu yeh kaya phir baar baar dil ki baat dohra paoge

Najar mile aor ashaq baras jaaye dono ki ankhon se
Kaya aise dosti se kabhi najar chura paoge

Janati hu her dost utar nahi sakta khara dosti main
Kaya aise dost ko kabhi app maaf bhi kar paoge

Bhulana bhi chahoge to bhool nahi paoge
Yakin  karo……
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 14, 2009, 06:14:03 AM »
Bohot umda khwaish ji.  Applause
Bas aap ka likhte rehna zaruri hai..


Teh Dil Se Shukriya Randeri Bhai..Aapne iss Kalaam Ko Padha Aur Saraha,Yeh Dekh kar Behad Khushi Hui Hai

 Aur Randeri Bhai,Rahi Baat Likhte Rehne Ki, Jab Tak Aap Jaise Kadardaan Saath Ho,Main Kabhi Likhna Nahi Chod Sakta..Bahut Bahut Shukriya Aapka.. notworthy
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 14, 2009, 06:17:13 AM »
Bohot Khoob Dost....Dil main utar gayi aapki ye shayari.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot gehre lafz hain....Bohot Khoob Khwaish



Thankyou Sooooooooooooo Much Dost!!!

apke Comments Ka Hmesha Se Intezar Hota Hai,Aur Iss Baar Jald Hi Mil Gaye..

Bahut bahut Shukriya Dost!!! icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 14, 2009, 06:21:04 AM »
Wah Wah Khwaish Ji! Kamaal kaa likha hai aapne!  Dil ko chhoo gaye har alfaaz!  Daad qabool karein! Applause Applause Applause

Bahut bahut Shukriya Deepati Ji..

Aapne Iss Nazm Ko Apna Waqt Diya Aur Saraha,Yeh Jaankar Bahut Khushi Hui hai..

Teh Dil Se Shukriya Deepati Ji....
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:03:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.164 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer