Yeh Zaroori To Nahi.........

by khwaish on July 12, 2009, 05:40:13 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Author  (Read 13057 times)
k.shael
Guest
«Reply #15 on: July 14, 2009, 07:07:42 AM »
Wah Wah Khwaish ji kya khoob likhte hai aap, behtreen.. Clapping Smiley  Clapping Smiley
aur baki sab dosto ne bhi bahut aacha sath diya hai.. Applause  Applause

Tu door gaya apni marzi se mein bhi tujhe bhool jao.n 
Ye Jaroori to nahi..

Tune bewafayi ki apni marzi se mein bhi wafa na nibhao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tune Mohabbat ki kadar na jaani mein bhi ishq ka diya na jalao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tune to hazaar baar rulaya mujhe, mein bhi tere ashq giraao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tujhe mila laakhon aashiqo ka pyaar, mein bhi tera pyaar pao.n
Ye Jaroori to nahi..

Shally.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye zaroori to nahi... by sanya310 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
YEH ZAROORI TO NAHI.......... by ISHU in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zaroori toh nahi by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
***yeh zaroori to nahi*** by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
zaroori nahi ke gham mein nikla aansu by wafakadard in Share: Poetry of Pain
madhuwesh
Guest
«Reply #16 on: July 14, 2009, 07:22:34 AM »
Wah Khwaish ji excellent,wonderful creation,kamaal ka likha aapne,Angel ji,Pooja ji,Shally ji,Nira ji Cara ji,bahut khoob. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #17 on: July 14, 2009, 09:50:40 AM »
HALAAT SE HAAR MAAN.....KHOOB KAHAA KHWAISH JI Applause Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #18 on: July 14, 2009, 09:52:35 AM »
As usual very touching Khwaish Ji...

Tere har sawaal ka jawab meri aankhon mein chhipe hai,


GOOD ONE A
lafzon me jawabon ko bayan karun ye zaroori to nahi,

samjhun main teri har ek baat ko teri aahaton se,
tu bhi mere gam ki karvat samjhe ye zaroori to nahi,

khwaabon ka aashiyaan hum bhi banake chale the,
bane wo tera bhi gharonda ye zaroori to nahi...

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: July 14, 2009, 06:42:33 PM »
WAH kHWAISH JI, WAH

JASBIR SINGH

Bahut Bahut Shukriya Jasbir Paaji...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #20 on: July 14, 2009, 07:09:00 PM »
Khuch alfaaz kehna chahti hu Khwaish ji....

Zaruri nahi hamari koshish ek rote ko hasaa de
Phr bhi hum use hasane ki koshish karte hai

Zaruri nahi wo hame mil jaye jisse hum pyar karte hai
Phr bhi use paane ki khwaish rakhte hai

Zaruri nahi manjil mil jaye hame
Phr bhi uski talash me raahon par chalte hai

Aisi kai baatain hai jo zaruri nahi phr bhi karte hai
Phr kyu dil ki baatain dil me rakhte hai....

Kyu duniya ki bheed me khud ko pehchanna zaruri nahi samajhte....
Kyu kisi ko apne pyar ka aehsaas dilana zaruri nahi samajhte.....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #21 on: July 14, 2009, 07:12:17 PM »
Wah Wah Khwaish ji kya khoob likhte hai aap, behtreen.. Clapping Smiley  Clapping Smiley
aur baki sab dosto ne bhi bahut aacha sath diya hai.. Applause  Applause

Tu door gaya apni marzi se mein bhi tujhe bhool jao.n 
Ye Jaroori to nahi..

Tune bewafayi ki apni marzi se mein bhi wafa na nibhao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tune Mohabbat ki kadar na jaani mein bhi ishq ka diya na jalao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tune to hazaar baar rulaya mujhe, mein bhi tere ashq giraao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tujhe mila laakhon aashiqo ka pyaar, mein bhi tera pyaar pao.n
Ye Jaroori to nahi..

Shally.


bahut khub likha hai aapne shally ji.... Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: July 14, 2009, 07:19:07 PM »
khwaish ji
kya baat hai,
kitni asaani se aapne maan liya
har halaat mein khud ko samabhal liya
mile khushi ya ghum yunhi zindgi mein
rote rahain har dham yeh zaroori toh nahi

beautiful creation, sab ke dil ke ehsaason
ko aapne kalambandh kiya hai.
dili daad hazir hai qabool kijiye
nira

Bahut Bahut Khoob Niraji..Apane Apne Ek Hi sher Mein Kitni Badi Baat Keh di..Bahut Ache Niraji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aur Bahut Bahut Shukriya,Ke Aapne Iss Kalaam Ko itni Izzat Bakshi..Teh Dil Se Shukriya Aapka..
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #23 on: July 15, 2009, 03:29:55 PM »
Bhai kya likha hai Khwaish Ji
Jawab nahin
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: July 16, 2009, 04:35:15 AM »
As usual very touching Khwaish Ji...

Tere har sawaal ka jawab meri aankhon mein chhipe hai,
lafzon me jawabon ko bayan karun ye zaroori to nahi,

samjhun main teri har ek baat ko teri aahaton se,
tu bhi mere gam ki karvat samjhe ye zaroori to nahi,

khwaabon ka aashiyaan hum bhi banake chale the,
bane wo tera bhi gharonda ye zaroori to nahi...


Bahut Bahut Khooob Angel!!!As Usual Beautiful Piece Of Poetry By You.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dil Ke Sehre Mein Kisi Umeed Ki Koi Gunjayish Hi Nahi,
Dil Hi Dil Mein Tujhe Chaahe Aur Tujhe Pata Bhi Ho,
Yeh Zaroori To Nahi...

Tujhse Baat Karne Ke Bahane Dhoondhte Rehte Hai Hum,
Tujhe Iss Baat ka Ehsaas Ho,
Yeh Zaroori To Nahi....

Gumsum Si Hai Yeh Hawa, Khamosh Si Hai Yeh Fiza!!
Mere Daaman Mein Tere Pyaar Ki khusboo Ho,
Yeh Zaroori To Nahi...

Khwaab To Hum Bhi Dekhte Hai Tere Sang!!
Par Woh Kabhi Haqeeqat Ka Rang Mein Utre,
Yeh Zaroori To Nahi....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #25 on: July 16, 2009, 04:40:29 AM »
Bahut khoob Khwaish ji very beautiful lines,excellent. icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: July 16, 2009, 04:43:21 AM »
dil chhu liya apki lines ne Crying Applause notworthy icon_salut lut liya ji apne

Bahut Bahut Shukriya Injured Warrior ji Aapka..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: July 16, 2009, 04:53:09 AM »
bahut bahut khub Khwaish ji...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Nira ji,cara ji,Angel ji aap sabne bhi khub likha hai.... Applause Applause

Thankyou Sooooooooooo Much Pooja..

It's Always Great To Have Your Cooments On My thread..

Thanks A Lot Dear!!! icon_flower

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #28 on: July 16, 2009, 04:58:55 AM »
uuff ek eke shabd aor shabdo se buni lines.. dil ko chedati hui... bahoot he dard main doobi aor gahri rachna likhi hai apne... Good work!!

Nira ji, cara ji and Angel dear app sabhi ne khoob sath nibhaya hai Khwaish ji ka!!

Bahut Bahut Shukriya Pooja Aapka..

Aapne Waqt Nikala Aur Iss Rachna Ko Padha..

Teh Dil Se Shukriya Aapka...
Logged
punam
Guest
«Reply #29 on: July 16, 2009, 05:09:38 AM »
khwaish ji bahut khoob jaise di boli dil ki gehrai se aap ne likhi hai....
waise aap bahut acha likhte hain ...
yeh alag baat hai main her jagah jake reply kar nahi pati hun...
bin padhe kahi wah wah karna acha nahi lagta mujhe...

pooja di aap ka to jawaab nahi main aap ki jitna bhi tareef karun kam hoga...

shally tum bhi bahut acha likhti ho....

popoetry ji and Angel di....aap dono bhi bahut acha likhte ho....

Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:01:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer