Yeh Zaroori To Nahi.........

by khwaish on July 12, 2009, 05:40:13 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Author  (Read 12954 times)
diya786
Guest
«Reply #30 on: July 16, 2009, 10:06:57 AM »
Bahut bahut accha likha hai Khwaish ji aapne
har lafz kamaal hai..... Applause Applause Applause

Pooja di aap bhi khoob likh  gayi
 Applause
Angel di apne bhi khoob likha hai Applause

Shally dear tumne bhi bahut umda likha hai Applause

Pooetry ji aapne bhi kamaal likha hai... Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye zaroori to nahi... by sanya310 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
YEH ZAROORI TO NAHI.......... by ISHU in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zaroori toh nahi by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
***yeh zaroori to nahi*** by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
zaroori nahi ke gham mein nikla aansu by wafakadard in Share: Poetry of Pain
poppoetry
Guest
«Reply #31 on: July 16, 2009, 06:47:14 PM »
khwaish ji bahut khoob jaise di boli dil ki gehrai se aap ne likhi hai....
waise aap bahut acha likhte hain ...
yeh alag baat hai main her jagah jake reply kar nahi pati hun...
bin padhe kahi wah wah karna acha nahi lagta mujhe...

pooja di aap ka to jawaab nahi main aap ki jitna bhi tareef karun kam hoga...

shally tum bhi bahut acha likhti ho....

popoetry ji and Angel di....aap dono bhi bahut acha likhte ho....


Bahut bahut accha likha hai Khwaish ji aapne
har lafz kamaal hai..... Applause Applause Applause

Pooja di aap bhi khoob likh  gayi
 Applause
Angel di apne bhi khoob likha hai Applause

Shally dear tumne bhi bahut umda likha hai Applause

Pooetry ji aapne bhi kamaal likha hai... Applause

bahut bahut shukriyan punam ji & kashish ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #32 on: July 22, 2009, 05:10:50 PM »
Bahut Bahut Khooob Angel!!!As Usual Beautiful Piece Of Poetry By You.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dil Ke Sehre Mein Kisi Umeed Ki Koi Gunjayish Hi Nahi,
Dil Hi Dil Mein Tujhe Chaahe Aur Tujhe Pata Bhi Ho,
Yeh Zaroori To Nahi...

Tujhse Baat Karne Ke Bahane Dhoondhte Rehte Hai Hum,
Tujhe Iss Baat ka Ehsaas Ho,
Yeh Zaroori To Nahi....

Gumsum Si Hai Yeh Hawa, Khamosh Si Hai Yeh Fiza!!
Mere Daaman Mein Tere Pyaar Ki khusboo Ho,
Yeh Zaroori To Nahi...

Khwaab To Hum Bhi Dekhte Hai Tere Sang!!
Par Woh Kabhi Haqeeqat Ka Rang Mein Utre,
Yeh Zaroori To Nahi....


Wonderfully written khwaish JI...


Mere khwaabon ko mile koi tasveer
ho in mein chhupi meri bhi taqdeer
Ye zaroori to nahi,

Baaton ka matlab koi samjhe bhi to kaise,
mere ehsaason mein utre hue hia wo aise,
chhuwan mere ehsaas ki un tak pahuche,
Ye zaroori to nahi,

hawaon se sangdili yun achhi bhi nahi hai,
ke fizaon ka rang kuch kaala sa padne laga
mere aashiyane ka rukh baad-e-saba kare,
ye zaroori to nahi,

chal ke chalte hai ab khamosh se ek safar pe,
mil jaaye ek kona aashiyana banke qabr mein,
mere haalaaton ki khabar is jahan ko bhi ho,
YE ZAROORI TO NAHI...
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: July 22, 2009, 05:15:37 PM »
Khwaish Dost...Angel....Bohot bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Roja
Guest
«Reply #34 on: July 22, 2009, 05:18:30 PM »
Wah wah... Khwaish bhaiya and Angel... bahut khoob likha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: July 22, 2009, 06:05:24 PM »


pooja di aap ka to jawaab nahi main aap ki jitna bhi tareef karun kam hoga...




Thanks Dear!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #36 on: July 28, 2009, 05:17:46 PM »
Ajj bahoot dino baad koi kavita parr kar kalam apne app chal pari.. jo bhi man mai ayya apki kavita parr kar khwaish ji likhne ja rahi hu...

Bhulana bhi chahoge to bhool nahi paoge
Yakin karo khud main ulajh kar rah jaoge

Such hai kaya aor kaya bacha hai jhooth rishto main
Pyar ke rishto main yah fark na kabhi kar paoge

Hai muhobat to khud b khud kara jayegi Ehsaas
Warna to apne yakin per bhi bharosa na kar paoge

Musafir hai waise to her ek shakas is dunia main
Magar dil ke raste se na kabhi bahar ja paoge

Teri pehchan tujkhko nahi to kaya kahe ab Pooja
Meri najar main apni pehchan ko kaya kabhi jaan paoge

Dohraane se kai baar milta hai sakoon dil ko e-dost
Agar kahu yeh kaya phir baar baar dil ki baat dohra paoge

Najar mile aor ashaq baras jaaye dono ki ankhon se
Kaya aise dosti se kabhi najar chura paoge

Janati hu her dost utar nahi sakta khara dosti main
Kaya aise dost ko kabhi app maaf bhi kar paoge

Bhulana bhi chahoge to bhool nahi paoge
Yakin  karo……


Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Khooooob pooja...Excellent Poetry..

Koi Lafz Nahi mere Paas..Bhaut khooob Thumbs UP
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: July 28, 2009, 05:38:21 PM »
Ajj bahoot dino baad koi kavita parr kar kalam apne app chal pari.. jo bhi man mai ayya apki kavita parr kar khwaish ji likhne ja rahi hu...

Bhulana bhi chahoge to bhool nahi paoge
Yakin karo khud main ulajh kar rah jaoge

Such hai kaya aor kaya bacha hai jhooth rishto main
Pyar ke rishto main yah fark na kabhi kar paoge

Hai muhobat to khud b khud kara jayegi Ehsaas
Warna to apne yakin per bhi bharosa na kar paoge

Musafir hai waise to her ek shakas is dunia main
Magar dil ke raste se na kabhi bahar ja paoge

Teri pehchan tujkhko nahi to kaya kahe ab Pooja
Meri najar main apni pehchan ko kaya kabhi jaan paoge

Dohraane se kai baar milta hai sakoon dil ko e-dost
Agar kahu yeh kaya phir baar baar dil ki baat dohra paoge

Najar mile aor ashaq baras jaaye dono ki ankhon se
Kaya aise dosti se kabhi najar chura paoge

Janati hu her dost utar nahi sakta khara dosti main
Kaya aise dost ko kabhi app maaf bhi kar paoge

Bhulana bhi chahoge to bhool nahi paoge
Yakin  karo……


Bhoolana Chaahu Aur Naa Bhool Paau,
Isse Badi Koi majboori Nahi..
Zindagi jeena Hi Bahut Badi Baat Hai,
Humesha Has Kar Hi jeena,
Yeh Zaroori To Nahi...

Pyaar mein Sach Aur Jhoot Ka Fark Woh Karte Hai Jo nadaan Hai!!
Rishte Ban jaate hai Par Rishte Nibh Bhi Jaaye,
Yeh Zaroori To Nahi....

Jab khud Par hi Yakeen nahi To Mohaabat mein Yakeen Kare Kaise??
Kashtiyan Saahil Tak Humesha Pahunch Hi Jaaye,
Yeh Zaroori To Nahi....

Musafir Safar Par Ho to Sirf Chalna Hi uska Kaam hai!!
Pyaar,Mohabbat Mein Har Cheez haasil Bhi ho,
Yeh Zaroori To Nahi....

Teri Nazron Mein main kya Hoon,Yeh Main bhi Jaanta Hoon!!
Par Jo main Suuna Chahta Hoon tujhse Aur tu Wahi kahe,
Yeh Zaroori To Nahi...

Dosti Mein maafi Lafz Hi nahi hai Eh mere Dost!!!!
Woh Tasveer Aaj Bhi Wahi Hai Inn Aankhon Mein jo Pehle Thi!!!!
Par Lafzo mein Har Baat Ko Main keh Sakoon,
Yeh Zaroori To Nahi....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #38 on: July 29, 2009, 07:07:43 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut bahut hi khub likha h aapne pooja ji.....

bakhub jwab diya aapne Khwaish ji...... Thumbs UP

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #39 on: July 30, 2009, 08:07:15 PM »
khwaish ji, pooja ji, shally ji, popoetry ji, Angel ji, bohot achha likha hai aap tamam ne, or bohot khoob kaha khwaish ji ne ke "Humesha Has Kar Hi jeena, Yeh Zaroori To Nahi" sahi hai janaab! zindagi ko jeena bhi badi baat hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: August 18, 2009, 08:50:35 PM »
Bhoolana Chaahu Aur Naa Bhool Paau,
Isse Badi Koi majboori Nahi..
Zindagi jeena Hi Bahut Badi Baat Hai,
Humesha Has Kar Hi jeena,
Yeh Zaroori To Nahi...

Pyaar mein Sach Aur Jhoot Ka Fark Woh Karte Hai Jo nadaan Hai!!
Rishte Ban jaate hai Par Rishte Nibh Bhi Jaaye,
Yeh Zaroori To Nahi....

Jab khud Par hi Yakeen nahi To Mohaabat mein Yakeen Kare Kaise??
Kashtiyan Saahil Tak Humesha Pahunch Hi Jaaye,
Yeh Zaroori To Nahi....

Musafir Safar Par Ho to Sirf Chalna Hi uska Kaam hai!!
Pyaar,Mohabbat Mein Har Cheez haasil Bhi ho,
Yeh Zaroori To Nahi....

Teri Nazron Mein main kya Hoon,Yeh Main bhi Jaanta Hoon!!
Par Jo main Suuna Chahta Hoon tujhse Aur tu Wahi kahe,
Yeh Zaroori To Nahi...

Dosti Mein maafi Lafz Hi nahi hai Eh mere Dost!!!!
Woh Tasveer Aaj Bhi Wahi Hai Inn Aankhon Mein jo Pehle Thi!!!!
Par Lafzo mein Har Baat Ko Main keh Sakoon,
Yeh Zaroori To Nahi....


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley ek ek lafz dil ko chuta hua.. bahoot khoob Khwaish ji... jalad he koshish hogi ki kuch likh saku!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #41 on: October 25, 2009, 09:18:59 AM »
Wah Wah Khwaish ji kya khoob likhte hai aap, behtreen.. Clapping Smiley  Clapping Smiley
aur baki sab dosto ne bhi bahut aacha sath diya hai.. Applause  Applause

Tu door gaya apni marzi se mein bhi tujhe bhool jao.n 
Ye Jaroori to nahi..

Tune bewafayi ki apni marzi se mein bhi wafa na nibhao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tune Mohabbat ki kadar na jaani mein bhi ishq ka diya na jalao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tune to hazaar baar rulaya mujhe, mein bhi tere ashq giraao.n
Ye Jaroori to nahi..

Tujhe mila laakhon aashiqo ka pyaar, mein bhi tera pyaar pao.n
Ye Jaroori to nahi..

Shally.



Thankyou Soooo Much Shallyji.. Usual Smile

Aur Aapne Bhi Kamaal Likha..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #42 on: March 04, 2010, 10:40:38 AM »
Wah Khwaish ji excellent,wonderful creation,kamaal ka likha aapne,Angel ji,Pooja ji,Shally ji,Nira ji Cara ji,bahut khoob. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thankyou Sooooooooooooooo Much Dear madhu icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: March 10, 2010, 02:22:22 PM »
HALAAT SE HAAR MAAN.....KHOOB KAHAA KHWAISH JI Applause Applause

Bahut bahut Shukriya Khamoshji..
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #44 on: March 10, 2010, 02:40:39 PM »
BAHUT KHOOB KHWAISH JI. Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:55:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer