Yeh Zaroori To Nahi.........

by khwaish on July 12, 2009, 05:40:13 PM
Pages: 1 2 3 [4]  All
Print
Author  (Read 12975 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #45 on: August 01, 2010, 02:05:56 PM »
Bahut Khoob Likha Hai Khwaish Bhai
Maafi Chahrta Hoon Padne Main Derr Kar Di.

bahut bahut Shukriya Majid Bhai.. icon_flower

Maafi Chaahta Hoon Bhai,Bahut Der Baad aapke coomets par reply kar raha hoon icon_flower
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye zaroori to nahi... by sanya310 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
YEH ZAROORI TO NAHI.......... by ISHU in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zaroori toh nahi by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
***yeh zaroori to nahi*** by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
zaroori nahi ke gham mein nikla aansu by wafakadard in Share: Poetry of Pain
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #46 on: August 01, 2010, 02:13:03 PM »
Bhoolana Chaahu Aur Naa Bhool Paau,
Isse Badi Koi majboori Nahi..
Zindagi jeena Hi Bahut Badi Baat Hai,
Humesha Has Kar Hi jeena,
Yeh Zaroori To Nahi...

Pyaar mein Sach Aur Jhoot Ka Fark Woh Karte Hai Jo nadaan Hai!!
Rishte Ban jaate hai Par Rishte Nibh Bhi Jaaye,
Yeh Zaroori To Nahi....

Jab khud Par hi Yakeen nahi To Mohaabat mein Yakeen Kare Kaise??
Kashtiyan Saahil Tak Humesha Pahunch Hi Jaaye,
Yeh Zaroori To Nahi....

Musafir Safar Par Ho to Sirf Chalna Hi uska Kaam hai!!
Pyaar,Mohabbat Mein Har Cheez haasil Bhi ho,
Yeh Zaroori To Nahi....

Teri Nazron Mein main kya Hoon,Yeh Main bhi Jaanta Hoon!!
Par Jo main Suuna Chahta Hoon tujhse Aur tu Wahi kahe,
Yeh Zaroori To Nahi...

Dosti Mein maafi Lafz Hi nahi hai Eh mere Dost!!!!
Woh Tasveer Aaj Bhi Wahi Hai Inn Aankhon Mein jo Pehle Thi!!!!
Par Lafzo mein Har Baat Ko Main keh Sakoon,
Yeh Zaroori To Nahi....


khwaish ji kya kahen ab iske liye......sarii batein aap keh chuke...
aapki nazmein apki tarah hi hain...dilko chhune wali..

no words for reply ji..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #47 on: August 01, 2010, 02:18:07 PM »
Main Tujhko Bhool Jaau,
Yeh Zaroori To Nahi.....
Dil Ki Baat Zubaan Par Laau,
Yeh Zaroori To Nahi....

Haan,Yeh Sach Hai Ke Mujhe Tujhse Bepanaah Mohabbat Hai!!!
Par Tujhe Iss Baat ka Main Ab  Yakeen Dilaau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Musafir Hoon Main Bhi Aur Musafir Ho Tum Bhi!!!
Kisi Raah Par main Tumse Phir Mil Paau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Duniya Ki Iss Bheed Mein,Main khud Ki Pehchaan Bhi Kho Baitha Hoon!!
Kabhi To main khud Ko Bhi Kareeb Se Jaan Paau,
Yeh Zaroori To Nahi.....

Tujhko Tujhse Bhi Zyaada main Jaanta Hoon!!!
Par Baar-Baar main Iss Baat Ko Dohraau,
Yeh Zaroori To Nahi....

Jo Ashqo Ki Lehar Khamoshi Mein
Aankhon Se Beh Jaati Hai Unhe Beh Jaane Do!!!
Inn Ashqo Ko Main Aaankhon Mein Apne Qaid kar, Tujhse Nazrein Churaau,
Yeh Zaroori To Nahi....

"Khwaish" Yeh Jaanta Hai Ke Insaan Ki Har KHWAISH Mukammal Nahi Hoti!!!!
Yeh Jaankar Main Yuhi Halaat Se Apne Haar Maan Jaau,
Yeh Zaroori To Nahi....

              ~~~~~Khwaish~~~~~


teri har nazm mere dil ko chhu jati hai
teri har baat mujhe tere aur kareeb le aati hai
lekin main fir har baat pe muskuraun
ye jaruri to nahin....!!!

naadaan si teri batein jo dil ko gudgudati hain
kabhi ek mukammal insaan ka saaya ye ban jati hai
tere dil me koi jagah bana paun
ye jaruri to nahin...!!!

lamhe ye jo beet rahe hain apni zindagani k
inme main har pal khushi k rang bharna chahun
par main khud bhi in rangonme rang jaun
ye jaruri to nahin...!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #48 on: September 27, 2011, 01:10:39 PM »
Applause Applause Applause
vaqai bahot khoob likha hai aapne Khwaish ji
behad involve hoke aur behad achhe ehsaas

Shael ji aapne bhi bahot khoob likha hai  Applause Applause

Aapka Bahut Bahut Shukriya Kaasshji icon_flower
Logged
Pages: 1 2 3 [4]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:42:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer