ranjana
Guest
|
«Reply #15 on: June 02, 2006, 02:59:37 AM » |
|
jab bhi peene ko uthya hai payala ek kasak si dil mein uthi aur tham ke rah gaya wahi payala mehfil mein aa ke jab woh bethe toh chalak uthi yeh madhushala
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #16 on: June 03, 2006, 05:53:37 PM » |
|
aaj is jaam ko chum lu ye dil karta hai woh bhi tanha hai meri tarahuse apna bana lu dil karta hai
badnaam hue hai hum dono is jahan me bahut aaj apni badnaami ko baant le yeh dil karta hai
apne honto ki trishna ko mita na saka mein aaj is jaam se apne dil ki pyaas bujhane ko dil karta hai
chalakta gaya yeh jaam har mod pe saki aaj thoda sa gum apna bhi chalkane ko dil karta hai
in haantho ki lakeero mein tu nahi tha dilbar aaj in lakeero pe tera naam likhne ko dil karta hai
aaya jo hun is madhushala me mein isliye aag daryia mein lagane ko dil karta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #17 on: June 03, 2006, 06:28:05 PM » |
|
nice Phoenix,....... Ranjana..........Shikha..... Badnam Shayar...... Vicky......... sabhi logon ne accha likha......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #18 on: June 03, 2006, 07:37:44 PM » |
|
kya baat hai Nitesh bahut khub ........shukriya waheed ji
aag in maye ke payalo mein yun na lagaiye jo dil ki lagi hai usko apne hontho se bujahiye
badnaami ke dar se toh kuch na ho paaeyga jab aaye hain meri mehfil mein toh is jaam ko labo se lagiye
haahto ki lakeere.n keh rahi hai kuch yun bayan mere naam ko ab in lakeero mein basaiye...........
madahushala hai yeh mere payr ki sun le- o-sanam ek payar ka jaam aaj hamko bhi peelaiye....................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #19 on: June 04, 2006, 01:33:52 PM » |
|
tere honto ki khamoshi k deewane hai har baat ko hum khuda ka farman mane hai
na thukra mujhe tu is tarah hum bhi tere ek purane deewane hai
is jaam se pouch mein kitna tadpa hun iske saaye mein har pal mara hun
bas tu mujhe aaj itna bata de kya mein tere liye sirf ek kamzor lamha hun
aey saaki aaj na rok mujhe tu peene de aaj aayein hai woh meri mehfil mein bas mujhe thoda sa jeene de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Aryaan
Guest
|
|
«Reply #20 on: June 04, 2006, 01:36:16 PM » |
|
Bohat khoob Phoenix & Ranjana...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #21 on: June 04, 2006, 01:44:20 PM » |
|
thnx bro
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #22 on: June 04, 2006, 02:25:25 PM » |
|
shukriya Arayaan .........bahut khub Nitiesh...............
teri awaz ki kashish mujhe sab raaz bata deti hai yeh hai woh shey jo bin peeye mujhe ek nasha sa deti hai
tere bol mere dil ki aag aur bada jaate hain mujhe ek jeene ki nayi disha dikha jaate hain
teri baato ka nasha mujeh per yun chhaa jaata hai jo bin peeye hi madhushala ke payalo mein dubo jaata hai.............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #23 on: June 06, 2006, 05:15:02 PM » |
|
aaj yeh pyaala mujhe pi lene do abhi jinda hu to jee lene do
dard ki mehfil saji hai yahan aaj kuch hame bhi mehfil me keh lene do
har ghadi tumne mujhe roke rakha par aaj na roke mujhe apni udaan lene do
aaj asmaan k paar nikal jaoonga mein jo pankh na rahe to wapas na aaonga mein
aaj aaya hun teri mehfil me lekar apne gum ka sabab tu aanso na bahana sun k meri tanhai k dard
mein chala jaunga ab na kabhi aane k liye mujhe ab mat roko tum bas ek jaam aur pi lene do
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #24 on: June 07, 2006, 03:26:42 AM » |
|
bahut khub Nitiesh......................very beautiful .........
hum aksar yun bhi jee liya karte hain naam lete hain tera aur pee liya karte hain
yun toh jaate nahi they kabhi hum maykhane per jab lena ho khud se intkaam toh pee liya karte hain
yun toh karte nahi hum dil ki baate kisi se magar jab khud se karni ho baat toh pee liya karte hain......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #25 on: June 16, 2006, 08:40:50 PM » |
|
mein hun thaka hua ek rahi tum ho behte hue raas ki dhaara aaj mujhe bhi pi lene do in aankho ki masti ka pyaala
kal raat mujhe bhanwar me chodkar tumne bahut rang dikhlaye tadap utha mein jab bhi dekha ye tere hontho ka pyala
aaj na rooko mujhko tum aaj nashe me gir jaane do sambhal jaunga gir gir kar jo tune dikha di madhushala
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Shikha12
Guest
|
|
«Reply #26 on: June 17, 2006, 04:25:24 AM » |
|
Very nice all of U......
Ek maikhana dil mey bhi hai.... Milta jaa kar aaraam jahan... Peetey hai har roz ashkon ko... Bhara rehta hai jaam wahan.... [/b]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #27 on: June 17, 2006, 07:26:16 AM » |
|
aaj fir se kuch udas si raat hai labo per thari hui koi baat hai pila de apne labo se ek jaam aaj fir ki mere dil mein jag rahi ek ajab si payaas hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #28 on: June 18, 2006, 06:28:41 PM » |
|
bootelen aaj tum sari khol do saqi aaj ye maikhana kam pad jaega
bahut ghaav ubhaar aaye hain jism par har jaam inn zakhmo par beh jaane do
hogi thodi jalan par seh lunga mein jab dil ko jaala liya to ye zakham kya hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #29 on: June 19, 2006, 02:21:20 AM » |
|
ek payas si dil mein jag uthi fir se teri yaado ne li angaraai shikva mujhe apni aankho se hai jab tum na aaye toh neend ky aayi ek dard sa utha seene mein mere fir se aaj teri madhushala yaad aayi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|