Younhi Roya Nahin Kartey ...

by Qutubuddin on August 21, 2006, 08:22:13 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1856 times)
Qutubuddin
Guest
Younhi Roya Nahin Kartey ...

Khabhi rootha nahin kartey
Suno aisa nahin kartey

Jinhein paana na ho aasaan
Unhein soocha nahin kartey

Jinhein shab bar tarapna ho
Khabhi soya nahin kartey

Zara si baat pe suno Ques...
Youhi roya nahin kartey



Ques...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KARTEY HAIN TUMKO ITNA YAAD by boskey jaff in Shayri-E-Dard
Roya karo gay tum... by maya01 in Shayri-E-Dard
DIL HAAR KE TAQDEER KO ROYA NAHIN KARTE..bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
aap yaad nahin kartey by saahill in Miscellaneous Shayri
zik.r phir kuch wahaN nahiN kartey,....... by laaiba in Ghazals « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2006, 08:26:00 AM »
unko lagi baat zara si
yaha dunia veeran hai

ruthe nahi hum kisi se
yah to riste jakhmo ki ahh hai

unko paana to ab khayal hai
jeete jee marne ka ek sawal hai

nind na aaye to usnke khayal
nind mai bhi unke hi khawab

rooh darbadar si ho gai
unki ek zara si baat, zindagi meri kho gai.......
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2006, 08:30:51 AM »
Ugta hua suraj dua de aapko,
khilta hua phool khusbo de aapko...
 
hum to kuch dene ke kabil nahi hai,
dene wala hazar khushiyan de aapko..!!

N/M

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2006, 08:32:01 AM »
zubaan se naam lete hi aankho se aanshu chalak jaate hai,
kabhi hazaro baate kiya karte the aaj ek baat te liye bhi taras jaate hai.

Ques...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 21, 2006, 08:34:09 AM »
chalati thi juabn, koi shaks nigah mai rahta tha
churcha uska her waqat juban per rahta tha
bas kar dil mai wo intzaar ki raah dikha gaya
khamoshi ki tanha mehfil mai basa gaya
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #5 on: August 21, 2006, 08:35:04 AM »
Ho Sakay Too.........
Ho sakay too bhool ja is bay vafa ko
na yaad kar bar bar apni hi vafa ko
aksar galat hotay hain yah piyar kay andaz
choop chap sah ja ab in ki saza ko
jo samnay dakh kar tumhain rahain badal latay hain
daad diya kar too in ki is ada ko
jis nay banya taray dil ko viraniyon ka ghar
wo bhee tarsay ga umar bhar is jaga ko!!!!
wo roay ga boohat tumhain yadd kar kay (.............)
pachtay ga wo sangdil apni hi jafa ko.

Ques...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: August 21, 2006, 08:39:30 AM »
sabnam ke dil mein bhi aag chhipi hoti hai
dil ki lagi kabhi kabhi dillagi bhi hoti hai

aankho mein chhaa jaate hain jab khawab unke
ek dard ki dastaan bhi kahi bayaan hoti hai

har us haath mein hum dekhte hain pathar
jinke jubaan per kabhi hamaare liye dua hoti hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: August 21, 2006, 08:40:48 AM »
wah kay abaat hai Ques ji, bahoot khoob

dard ho use, yah baat, yah dil sah na payega
uska her dard mujko mile, yahi dua kiye jayega..

khush rahe wo jiske bhi sath rahe
her khushi ki uss per barsaat rahe

uski khushi mai hi bujhati is dil ki payaas hai
ho ek najar idher bhi, bas itani si hi aass hai...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #8 on: August 21, 2006, 08:43:18 AM »
Well said Ranjana...

dil ki lagi kabhi kabhi dillagi bhi hoti hai...

Ques...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: August 21, 2006, 08:45:05 AM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob likha, last ki do lines bahoot achi lagi....

Munh per kuch, peeth per kuch hote hai
kuch chahne wale aise bhi hote hai

yakin jin per kar ke, hum kadam badate hai
wo dhakka de, khai mai gair jaate hai
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #10 on: August 21, 2006, 08:47:37 AM »
Well said Pooja..

Kaya Duwaa Dee Hai aapnay..

her khushi ki uss per barsaat rahe..

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #11 on: August 21, 2006, 09:01:28 AM »
kis se maange bhla hum chaar pal khoshi ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka
 
ab tu lagta hai matlab hi na raha zindagi ka
waqt hum se kah gaya tha ke koi nahi hota kisi ka
 
jo mere zakhmo pe aya tha muskorane aaj
hai sabeb wahi meri es badnasibi ka
 
sonate thy jise bhi gum ka fasana apna samjhke
wo udata tha mazaak logo main meri her nami ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka
 
loot gaye hum tu tere waste aur tujhe pata bhi na chla
teri aarzo ne ayesa lota ke hame na rakha kahi ka
 
layi thi lafzo ki haqeet kawal apni gazal main
padh ke esko bhi sunata tha koi haal meri zindagi ka
 
kis se maange bhla hum chaar pal khoshi ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka


Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #12 on: August 21, 2006, 09:06:34 AM »
Hasna jindagi hai,
Has kar gum boolana jindagi hai,
Jeet kar hanse to kya hanse,
Haar kar khushiyan manaana jindagi hai...

Ques...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: August 21, 2006, 09:06:55 AM »
wah, bahoot khoob Ques ji...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #14 on: August 21, 2006, 09:34:46 AM »
ho moobarek tujhe teri ra`anaiyyan
door tujh se rahain ghum ki perchaiyyan
meri hur ik wafa tujh ko de ker dua
roti hain dam ba dam hum bicher jain ge

Teri tasweer se dil ko behlain ge
dil na behla ager tu kahan jain ge
kuch moobada`e ghum soch lain aa sanum
aaj mil ker be hum, hum bicher jain ge

mere raat or din itne soonsaan hain
mere shaam`o sehar itne weeraan hain
bus yeh hee sooch ker jism or rooh pur
chaa raha hey alum hum bicher jain ge

 
Ques....
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:02:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer