~*~ Yunhi shayar nahin banjate ~*~ by Rahim

by dead heart on January 26, 2011, 01:30:16 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3177 times)
dead heart
Guest
Koi bhi topic pe likhna chahoun, aksar bhatak jata hoon..
Mujhe lagta hai ane wale salon main jab insh'Allah ek pehchan
hogayi hogi iss Yo ki mehfil main toh log mujhe yaad karenge,
toh woh aise kay 'Rahim woh jo bhatak jaya karta tha likhte waqt..'

Lavzon main qaid karke apne askh bahana chahta hoon,
Aj duniya ko bhool main bhi kahin kho jana chahta hoon..

Jo duniya mujhe ek dum khali aur andheri nazar ati hai,
Pehle ki tarha main isse rangeen banana chahta hoon..

Arsa hogaya uski yaadon ne har waqt mera peecha kiya hai,
Ab bahaut hogaya; main bin wajeh kay bhi rona chahta hoon..

Ek baar toh ake kehde ‘tujse behtar milgaya mujhe ‘Khamosh’’,
Tu kabhi toh hogi meri; yeh umeed main aj thorrna chahta hoon..

Nafs kay haathon majboor hokar najane kitne gunaah kiye hai maine,
Ya Rabb tu baksh de mujhe aur aqal de; main aur gunaah karna nahin chahta hoon..

Sirf dard aur bewaffai pe likhne se koi shayar nahin banjata ‘Khamosh’,
Apni nazmein dekh, koi line bahaut lambi toh koi na hone kay barabar,
Yaaron aj ek sach darshana chahta hoon apni iss nadan koshish main,
Khwaish, Shihab, Bekarar ki tarha main bhi ek acha shayar ban’na chahta hoon..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main Shayar Toh nahin by Shayar Anurag in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Shayar bana dia..By Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Meri jaan tu nahin toh 'Rahim' nahin**by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~*~ Shayar badal jate hai ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~*~ Woh shayar hi kya jo dil se na likhe ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Matrix Guy
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2011, 01:33:55 PM »
bahot hi umda rahim ji..........

wese to aap bhi inhi me se ek he........ek bahot aache sahyar.....aap na mane to wo baat aur he...... fir bhi apne dua mangi he to meri bhi dua sath he apke ki aap bahot bahot aache shayar ban jaye aur hume bahot hi umda shayariya padne ko mile..........bahot khoob sahab.keep it up
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #2 on: January 26, 2011, 02:03:43 PM »
Koi bhi topic pe likhna chahoun, aksar bhatak jata hoon..
Mujhe lagta hai ane wale salon main jab insh'Allah ek pehchan
hogayi hogi iss Yo ki mehfil main toh log mujhe yaad karenge,
toh woh aise kay 'Rahim woh jo bhatak jaya karta tha likhte waqt..'

Lavzon main qaid karke apne askh bahana chahta hoon,
Aj duniya ko bhool main bhi kahin kho jana chahta hoon..

Jo duniya mujhe ek dum khali aur andheri nazar ati hai,
Pehle ki tarha main isse rangeen banana chahta hoon..

Arsa hogaya uski yaadon ne har waqt mera peecha kiya hai,
Ab bahaut hogaya; main bin wajeh kay bhi rona chahta hoon..

Ek baar toh ake kehde ‘tujse behtar milgaya mujhe ‘Khamosh’’,
Tu kabhi toh hogi meri; yeh umeed main aj thorrna chahta hoon..

Nafs kay haathon majboor hokar najane kitne gunaah kiye hai maine,
Ya Rabb tu baksh de mujhe aur aqal de; main aur gunaah karna nahin chahta hoon..

Sirf dard aur bewaffai pe likhne se koi shayar nahin banjata ‘Khamosh’,
Apni nazmein dekh, koi line bahaut lambi toh koi na hone kay barabar,
Yaaron aj ek sach darshana chahta hoon apni iss nadan koshish main,
Khwaish, Shihab, Bekarar ki tarha main bhi ek acha shayar ban’na chahta hoon..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Mere Chote Bhai Rahim!!! Meri nazar mein Woh shayari hai Jo Dil Se Nikalti Hai Aur kisi Ke dil tak pahunchti hai..Yaar Humein Se Koi Bhi Yahan Professional Nahi Hai,Apni Roz-aana Zindagi Se Prabhavit hokar Kuch Likhte Hai Chaahe Woh mohabbat Ho, Dard Ho, Yahan Koi Bhi Social Topic kyon Naa Ho..Aur Dost Rahim Aap Jab Likhte Ho To Insaan Padhta Kam Mehsoos Zyaada Karta Hai..

"Alag Jahan"
"Zindagi Asaan Nahi Hoti"
"Gareeb Bahut Hai"
"Mohabbat Nahi"
"Kaash Main Ek Parinda Hota"

Aapki Likhi Yeh 5 Nazmein Meri Yoindia Ki fav Collection mein hai..Ar Kya kahoon Main!!!!

Haan Dost Yeh zaroor Kahunga Ke Koshish Kiya Karo ke Alag Topic's Chunna Karo kyonki Aap Yeh Kar Sakte Ho..Aapme woh khaasiyat Hai..

You Are one of my Fav's & u will always be.. icon_flower
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2011, 02:36:02 PM »

Rahim Ji .. Likhna ek saadhnaa hai ... aap humesha acchi koshish karte hai .. mere khayal me likhne ke saath saath BaDhe ShaayroN ko bhi padhe ... isse apne aap bahut nikhaar aayega ... 

iss acchi koshish ke liye ... tahe dil se daad hazir hai ... !

likhte rahen aate rahen ... khush rahen ...

duaaon ke saath ... !
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: January 26, 2011, 02:58:40 PM »
Bahut khoob rahim,tou kya hua agar tum sirf dard pe likhte ho shayari hi ek zariya hai jisse hame apni feelings express karsakte hai tum bahut ache shayar ho aur hamesha kuch alag likhte ho..i like ur posts...Usual Smile
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #5 on: January 26, 2011, 03:03:21 PM »
MAST  rachna hai aapki Rahim ji........ Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nirala
Guest
«Reply #6 on: January 26, 2011, 03:49:19 PM »
Rahim ji---
aapki ye rachna bahut sachhi hai. achha lagta hai aapko padhna.
lekin ek baat kahunga chota muh badi baat maaf kariyega ----
aapki ek alg pehchaan hai bahut khubsurati se dil ki baate paroste hai aap. aap kisi ki tarah ban hi nahi sakte.
Rahim kabhi bhi Kabeer nahi ban skta. Rahim rahim hai .
dono hi mahan aur great.
so ap aap hi rahenge janab aur baaki log bhi aap jesa nahi ban sakte.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: January 26, 2011, 05:18:43 PM »
kya baat hai Rahim bhai... aap to khud mein hi alag cheez ho..

kya shumaar main kisi khaas shyaaaron mein hota 'Intezar'
wo andaz kuch aur the, aur mujhe andaaz-e-bayan aaya nahin... !

Intezar !
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: January 26, 2011, 06:21:18 PM »
bahot hi umda rahim ji..........

wese to aap bhi inhi me se ek he........ek bahot aache sahyar.....aap na mane to wo baat aur he...... fir bhi apne dua mangi he to meri bhi dua sath he apke ki aap bahot bahot aache shayar ban jaye aur hume bahot hi umda shayariya padne ko mile..........bahot khoob sahab.keep it up
Bahaut bahaut shukriya jee..
Yeh toh dekhne wale ki nazar hai kay kya khubsoorat hai
aur kya nahin..
Mujhe jo pyaar Yo se mila hai, woh bahaut zada hai aur ap
jaison ki wajah se hi baar baar yahan aa kar kuch likh jata hoon..
teh dil se shukriya..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: January 26, 2011, 06:24:13 PM »
Mere Chote Bhai Rahim!!! Meri nazar mein Woh shayari hai Jo Dil Se Nikalti Hai Aur kisi Ke dil tak pahunchti hai..Yaar Humein Se Koi Bhi Yahan Professional Nahi Hai,Apni Roz-aana Zindagi Se Prabhavit hokar Kuch Likhte Hai Chaahe Woh mohabbat Ho, Dard Ho, Yahan Koi Bhi Social Topic kyon Naa Ho..Aur Dost Rahim Aap Jab Likhte Ho To Insaan Padhta Kam Mehsoos Zyaada Karta Hai..

"Alag Jahan"
"Zindagi Asaan Nahi Hoti"
"Gareeb Bahut Hai"
"Mohabbat Nahi"
"Kaash Main Ek Parinda Hota"

Aapki Likhi Yeh 5 Nazmein Meri Yoindia Ki fav Collection mein hai..Ar Kya kahoon Main!!!!

Haan Dost Yeh zaroor Kahunga Ke Koshish Kiya Karo ke Alag Topic's Chunna Karo kyonki Aap Yeh Kar Sakte Ho..Aapme woh khaasiyat Hai..

You Are one of my Fav's & u will always be.. icon_flower

Main apka teh dil se shukriya ada karna chahta hoon mere dost..
Sach kaha apne kay dil se nikle woh shayari hai..
Aur jo nazmon ka apne zikr kiya, honestly mujhe pata nahin tha
kay meri nazmein kisi ki fav collection main bhi jati hai..
Apka teh dil se shukriya..
You are my fav too..No doubt..!
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: January 26, 2011, 06:25:23 PM »
Rahim Ji .. Likhna ek saadhnaa hai ... aap humesha acchi koshish karte hai .. mere khayal me likhne ke saath saath BaDhe ShaayroN ko bhi padhe ... isse apne aap bahut nikhaar aayega ... 

iss acchi koshish ke liye ... tahe dil se daad hazir hai ... !

likhte rahen aate rahen ... khush rahen ...

duaaon ke saath ... !
Apka teh dil se shukriya Naresh jee..
Hamesha saath dene kay liye dil se shukriya..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: January 26, 2011, 06:26:06 PM »
MAST  rachna hai aapki Rahim ji........ Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Teh teh dil se shukriya Anaam jee..
Bahaut bahaut shukriya..
yunhi saath dete rahiye..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: January 26, 2011, 06:27:18 PM »
Rahim ji---
aapki ye rachna bahut sachhi hai. achha lagta hai aapko padhna.
lekin ek baat kahunga chota muh badi baat maaf kariyega ----
aapki ek alg pehchaan hai bahut khubsurati se dil ki baate paroste hai aap. aap kisi ki tarah ban hi nahi sakte.
Rahim kabhi bhi Kabeer nahi ban skta. Rahim rahim hai .
dono hi mahan aur great.
so ap aap hi rahenge janab aur baaki log bhi aap jesa nahi ban sakte.
Nirala jee, mere dost..
Hamesha saath dene kay liye aur itne ache alfaaz kehne kay liye,
main apka teh dil shukriya ada karta hoon..
Thank you..!
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: January 26, 2011, 06:30:43 PM »
kya baat hai Rahim bhai... aap to khud mein hi alag cheez ho..

kya shumaar main kisi khaas shyaaaron mein hota 'Intezar'
wo andaz kuch aur the, aur mujhe andaaz-e-bayan aaya nahin... !

Intezar !

Uffff kitna khubsoorat aur gehra ashaar keh gaye ap..
kya baat hai Intezar jee..
Applause Applause Applause Applause

Kya hua jo tumhe woh andaaz-e-bayan nahin aya Intezar,
Jo tumhe ata hai; woh zamane main kisi ko nahin aya..!

Apka teh dil se shukriya mere dost..
Khush rahiye..!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #14 on: January 26, 2011, 07:20:28 PM »
Shurkiya Rahim bhai mere dost...

kadra kisko thi zamaane mein mere dard ki Rahim
wo to kagazon ne sahaara diya jo alfaaz utarne diye... !

Intezar !
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:47:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer