Zabardasti kisi se payar nahi paya jata

by Pooja on July 30, 2004, 07:24:28 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Author  (Read 37719 times)
Pooja
Guest
«Reply #60 on: March 29, 2006, 11:42:49 PM »
Her baat bhool jaana hai, fidrat mai meri
Issi liye her pal muskura deti hu main

Magar phir bhi kuch rah jaata hai dil main
Kabhi kabhi, ashaq bhi baha deti hu main

Khush hu ya hu mai udaas, yah mujko ab pata chlata nahi
Jo tu samjh le wo hi thik hai, kisi baat ka farak mujh per ab parta nahi!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
insan kisi ko zabardasti chayie woh by FArah in Shayri-E-Dard
JAB BHI KISI KO KAREEB PAYA HE by ashu143zeba in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Paya na kisi ne *************** SH by S.hashmi in Shayari-e-Parastish
Jab Bhi Kisi ki Karib paya hai by A.sam khan in Shayri for Dard -e- Judai
Kisi Ko Keh Kar Apna Banaya Nahi Jata by anmolarora in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
waheed_rose2004
Guest
«Reply #61 on: March 30, 2006, 06:54:17 AM »
Quote from: "Pooja"
Quote from: "waheed_rose2004"
Ajab baat hai woh kahta nahi kyon  apni dil ki baat
kyon woh chahti ho main apne aap mein na rahoon



thanks izhaarkeintzaarmein ji!!

dard ne hosh mai kab mujko rahne diya
hosh tuje hai ya nahi, iska hosh ab kahan


bahot  khoob  Pooja sis...........

her roz hi ,din bhar k jhamelon se nimat kar
ro laitay hain hum rat k anchal se lipat kar..........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #62 on: March 30, 2006, 03:12:35 PM »
wah!!!
rona hai kismat mai to ro legy hum
ansoo jo tumne giraya, Rub se shikayat hogi!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #63 on: March 30, 2006, 03:20:00 PM »
Gila na kismat se na mujey rab se shikayaat hai
Hai ishq ka yhai anjaam yahi iski haqiqat hai !!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #64 on: March 30, 2006, 05:20:54 PM »
kis ki haqiqat kaya, yah to kabhi socha nahi
dil de kar usko kabhi, diye dard ka pucha nahi!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #65 on: April 01, 2006, 03:55:43 PM »
payaar ker ke zindagi ki haqiqat samne aa gai
duniya hai sirf dhoka, asliyat samne aa gai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #66 on: August 23, 2007, 07:40:57 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "Pooja"
Quote from: "Pooja"
Samaj aai, magar bahoot der se samaj aai,
jabardasti kisi se payar nahi paya jata,
yah to khud ho jai, to ho jai, kisi se uhi nahi karwaya jata
kisi Umeed per rahi meri Umeed kayam
ki uhi to nahi halato se ghabraya jata.
Ajj bahoot soch kar maine usko dastak di thi
usne sirf itna kaha, bin bulai uh nahi kisi ke ghar ayya jata.


kis tarah bhoola du tuje, kayun tujh se hi samjhaya nahi jaata
chale thy sung sung hum, kayun nahi ab tujse batlaya jaata

tere ghar, teri rahon, teri zindagi se main chali jaau
baraso ki dosti ko aise to bhulaya nahi jaata

door chala jaaye tu mujse, door chali jaau kahin mai tujhse
yah to hai ahsaas, jinhe jabrdasti nahi mittaya jaata!!!


Very nice Pooja ji......hamesha ki tarah A1......... Puzzled !



Jabardasti payar kisi se paya nahi jaata
Dil se kisi haal usko bhulaya nahi jaata

Judai mai bilkhate hai armann is kadar
Badte kadamo ko uski taraf se hataya nahi jaata

Khayal hai, khawab hai, ahsaas hai meri nas nas main
Jhud ko tere khayalo se hataya nahi jaata

Lakh shabdo ke nashtar chubha le tu mujhko
Is dil se kabhi tera pyaar mitaya nahi jaata

Jabardasti payar kisi se paya nahi jaata
Dil se kisi haal usko bhulaya nahi jaata
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #67 on: March 31, 2008, 06:35:20 PM »
Wah kya baat hai pooja!!!
is thread mein appki likhi ek ek kavita kaabil-e-taarif hai..
bahut hi khoob likha hai aapne... Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #68 on: March 31, 2008, 06:36:22 PM »
tahe dil se bahoot bahoot shukaria khwaish ji!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #69 on: March 31, 2008, 06:59:07 PM »
Pooja Saahiba,
Jabardasti nahin hota.
Zabardasti hota hai.
Sorry


LIFE....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #70 on: March 31, 2008, 07:16:59 PM »
Zabardasti kisi se pyaar nahi paaya jaata
woh baat aur hai ke ek pal bhi uske bin nahi beetaya jaata....

ishaaro mein baat samajne wale milte nahi hai hume,
aur ek hum hai jinhe alfaazo mein bi kuch baataya nahi jaata...

jo dil mein rakhte ho,woh nazar aa hi jaata hai
har ek se apne jazbaaton ko chupaya nahi jaata...

kadam se kadam milakar jo chal chuke ho kisi ke saath
ab chaah kar bhi woh kadmo ke nishaan ko,
purani raahon se mitaya nahi jaata....

kisi se door ho bhi jaao to
phir kabhi milne ki gunjaayish zaroor rakhna eh dost,
ek baar jo chal pade kadam kisi nayi raah par
to phir peeche mud kar kahin jaaya nahi jaata....

main bhi jaanta hoon,kya guzarti hai dil mein
jab koi kisi se door hota hai,
sach kehta hoon...uss shaks ka chehra aaj bhi,
apni aankhon se hataya nahi jaata...

faisla kar to liya hai ke aapas mein dooriyan hi behtar hai!!!
par "khwaish" yeh faisla dil ko apne baar-baar sunaya nahi jaata....

iss gard-e-safar mein kya kiya haasil???
yeh kabhi soch kar baataunga main tujhe,
par abhi to andhero mein baitha hoon,
kya karoon?? andhero ko mitaane ke liye,
khud se,ek diya bhi abhi jalaya nahi jaata.....

zabardasti kisi se pyaar nahi paaya jaata
woh baat aur hai ke ek pal bhi uske bin nahi beetaya jaata......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #71 on: March 31, 2008, 08:07:59 PM »
wah kaya baat hai Khwaish ji bahoot khoob likha apne...

zabardasti kisi se pyaar nahi paaya jaata
woh baat aur hai ke ek pal bhi uske bin nahi beetaya jaata......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: March 31, 2008, 08:10:29 PM »
Pooja Saahiba,
Jabardasti nahin hota.
Zabardasti hota hai.
Sorry

agge se khayal rakhugi.. Hindi, english. punjabi, haryanvi, Telgu  urdu na jaane kon kon si bhasha se bachpan gujra hai ki sab mix@fix.com ho gaya!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #73 on: March 31, 2008, 08:47:18 PM »
Pooja Saahiba,
Jabardasti nahin hota.
Zabardasti hota hai.
Sorry

agge se khayal rakhugi.. Hindi, english. punjabi, haryanvi, Telgu  urdu na jaane kon kon si bhasha se bachpan gujra hai ki sab mix@fix.com ho gaya!!

Atti Uttam Devi Pooja
Main samajh sakta hun, kintu, kavita ke kuchh vidhi aur niyam ki palna avashya hai. Aage se dhiyan rehe, koi bhi kathhinai ya duhsaadhyata ho to mera forum aap ki sampurna sahayata karega.
Dhanyavaad



LIFE....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #74 on: March 31, 2008, 08:50:01 PM »
jo agya guru ji!!!
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:45:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer