Zabardasti kisi se payar nahi paya jata

by Pooja on July 30, 2004, 07:24:28 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Author  (Read 37769 times)
syednaami
Guest
«Reply #75 on: March 31, 2008, 09:06:31 PM »
Aap ke khaadim hain muhtarma, guru ka maqaam to buhat buland hota hai.


LIFE....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
insan kisi ko zabardasti chayie woh by FArah in Shayri-E-Dard
JAB BHI KISI KO KAREEB PAYA HE by ashu143zeba in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Paya na kisi ne *************** SH by S.hashmi in Shayari-e-Parastish
Jab Bhi Kisi ki Karib paya hai by A.sam khan in Shayri for Dard -e- Judai
Kisi Ko Keh Kar Apna Banaya Nahi Jata by anmolarora in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #76 on: April 01, 2008, 07:31:17 PM »
Zabardasti kisi se pyaar nahi paaya jaata
woh baat aur hai ke ek pal bhi uske bin nahi beetaya jaata....

ishaaro mein baat samajne wale milte nahi hai hume,
aur ek hum hai jinhe alfaazo mein bi kuch baataya nahi jaata...

jo dil mein rakhte ho,woh nazar aa hi jaata hai
har ek se apne jazbaaton ko chupaya nahi jaata...

kadam se kadam milakar jo chal chuke ho kisi ke saath
ab chaah kar bhi woh kadmo ke nishaan ko,
purani raahon se mitaya nahi jaata....

kisi se door ho bhi jaao to
phir kabhi milne ki gunjaayish zaroor rakhna eh dost,
ek baar jo chal pade kadam kisi nayi raah par
to phir peeche mud kar kahin jaaya nahi jaata....

main bhi jaanta hoon,kya guzarti hai dil mein
jab koi kisi se door hota hai,
sach kehta hoon...uss shaks ka chehra aaj bhi,
apni aankhon se hataya nahi jaata...

faisla kar to liya hai ke aapas mein dooriyan hi behtar hai!!!
par "khwaish" yeh faisla dil ko apne baar-baar sunaya nahi jaata....

iss gard-e-safar mein kya kiya haasil???
yeh kabhi soch kar baataunga main tujhe,
par abhi to andhero mein baitha hoon,
kya karoon?? andhero ko mitaane ke liye,
khud se,ek diya bhi abhi jalaya nahi jaata.....

zabardasti kisi se pyaar nahi paaya jaata
woh baat aur hai ke ek pal bhi uske bin nahi beetaya jaata......

Dil main use basa kar, ek jahan basa baithe
Hum bhi naadani main dekho jaan gawa baithe

Chalte rahe wo sung sung na jaane kis liye
Aur hum dil main unko apna humsafar bana baithe

Kuch doori per jab bichard gaya saath unse
Isse bhi hum apni hi khata bana baithe

Waqt ki maar ne bahoot der se yeh samjhaya
Jo na tha kabhi mera, hum usi per dil-o-jaan luta baithe!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #77 on: April 01, 2008, 08:33:35 PM »
Taraash kar uss mujasme ko jo dekha
tere hee saraape ka wujood nazar aya
bejaan ho kar bhi jaandaar usse paya
teri muhabbat ko pathar main bhi haqiqat paya.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #78 on: April 01, 2008, 08:35:58 PM »
nice syednaami !!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #79 on: April 01, 2008, 09:45:20 PM »
Moved post to Mazaiya Shayari Section
Link Prody Plus
Logged
syednaami
Guest
«Reply #80 on: June 03, 2008, 02:49:10 PM »
Samaj aai, magar bahoot der se samaj aai,
Zabardasti kisi se payar nahi paya jata,
yah to khud ho jai, to ho jai, kisi se uhi nahi karwaya jata
kisi Umeed per rahi meri Umeed kayam
ki uhi to nahi halato se ghabraya jata.
Ajj bahoot soch kar maine usko dastak di thi
usne sirf itna kaha, bin bulai uh nahi kisi ke ghar ayya jata.

Har baat samjhen insaan hota nahin aisa, -
Pyar ka rishta jabar se nahin banta, -

Ho jaye gar pyar to pata bhi nahin chalta, -
Phir khwahishon ka ek toofan utthne lagta, -

Haalaat par pyar ka samjhota nahin hota, -
Majboor karde zamaane ko yeh pyar ka rishta, -

Dastak dekar dekh lena muhabbat se zara, -
Gar pyar sacha hai to aakhir hoke hi rahta. -


(Syed Naami)

=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=
Jabar / Jabr = Zor, zabardasti, Oppression
Haalaat = (Plural of Haal) Conditions, situations, Events
Logged
Pooja
Guest
«Reply #81 on: June 03, 2008, 02:56:55 PM »
bahoot khoob Sami ji: yah lines achi lagi.. dil se yakin karne ko man karta hai..
Dastak dekar dekh lena muhabbat se zara, -
Gar pyar sacha hai to aakhir hoke hi rahta. -


magar:

pyar hota hai ya nahi hota hai
is main such jhooth nahi hota hai

hum kar baithe ussi se pyar
jise kisi se bhi pyar nahi hota hai

her dastak per ek sath naya uska dekha
ab aor dil khud se taar taar nahi hota hai

wo khush apni dunia main, hume apni zindagi mubarak
kar chuke hum pyar, jo baar baar nahi hota hai!!!



Logged
honeyrose
Guest
«Reply #82 on: June 04, 2008, 06:30:07 AM »
Wah !!!Bohat khoob likha hai Syed..Usual Smile

Bohat khoob likha hai Pooja sis..Usual Smile
Logged
k.shael
Guest
«Reply #83 on: June 04, 2008, 06:43:10 AM »
VERY NICE CREATIONS BY ALL OF U
KEEP IT UP....
HAM BHI KOSHISH KARTE HAI....

BAHUT MOHABBAT KI EK BEWAFA SE,
IS LIYE KI USE PANA CHAHTE THE
USE APNA BANANA CHAHTE THE,KYUNKI
USE DIL SE APNA MANTE THE, LAKH
KOSHISHE KI USKE DIL MEIN KHUD KE
LIYE PYAR BHAR NA PAYE,EK AJNABI THA
JISE APNA KAR NA PAYE,USSE UMEED LAGAYE
BAITHE THE MOHABBAT KI PAR USKI BEWAFAI
KO SAMAJH NA PAYE....
CHOD DIYA USE AAKHIR EK DIN KYUNKI EHSAAS
HUA HAME KI MOHABBAT HAMNE TO KI BAHUT UNSE
PAR WO PATHAR DIL KABHI ISE SMAJH BHI NA PAYE

BY. K.SHAEL
Logged
Pooja
Guest
«Reply #84 on: June 04, 2008, 03:07:26 PM »
Thanks Honey and Shally..
Nice lines Shally!@!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #85 on: June 04, 2008, 03:12:38 PM »
Bahoot Khoob Doston,.
Sabne Kamaal Ka Likha Hai,.
Waise hum gafeel the Is thread Se,.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #86 on: June 04, 2008, 03:15:32 PM »
wow sab ne bahut accha likha hai Syednaami jee, Shael sis aur Pooja didi...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #87 on: June 05, 2008, 03:39:26 PM »
honeyrose saahiba, Sonia01 jee, buhat shukriya aap ne saraha...

    k.shael saahiba buhat umda likha aapne, buhat khoob...

       Pooja jee, aapka "magar" buhat hi kamaal ka hai, par "agar" to humbhi karenge jald hi...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #88 on: June 05, 2008, 03:45:49 PM »
bahoot bahoot shukaria Lil bro, Sonia and Sami ji!!

Sami ji Apke "Agar" ka intzaar rahega!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #89 on: June 08, 2008, 06:29:33 PM »
Jee Pooja ji, hum 'agar' likhenge par aaj kuchh samajh nahin aa raha...
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:34:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.959 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer