Zabt-e-Wafaa Se Guzarne Waala Tha...

by Aryaan on May 25, 2005, 05:21:01 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2471 times)
Aryaan
Guest

Hudood-e-zabt-e-wafaa se guzarne waala tha
Main apne aap ko neelaam karne waala tha

Safar ke shauQ ne majboor kar diya warna
Main tere shehar mein ik din theharne waala tha

Khud apne saaye se ab chaunk utth'ta hai
Woh aadmi jo kissi se na darne waala tha

Teri nazar ne bare pyar se samait liya
Abhi main aur zayada bikharne waala tha

Huwa hai Qtal mera khwahishon ke haathon se
Main itni jald tau hargizz na marrne waala tha

Khalish lahoo na raha mere jism mein warna
Ghazal mein aur bhi main rang bharne waala tha...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: May 25, 2005, 05:29:05 AM »
Quote from: "Aryaan"

Hudood-e-zabt-e-wafaa se guzarne waala tha
Main apne aap ko neelaam karne waala tha

Safar ke shauQ ne majboor kar diya warna
Main tere shehar mein ik din theharne waala tha

Khud apne saaye se ab chaunk utth'ta hai
Woh aadmi jo kissi se na darne waala tha

Teri nazar ne bare pyar se samait liya
Abhi main aur zayada bikharne waala tha

Huwa hai Qtal mera khwahishon ke haathon se
Main itni jald tau hargizz na marrne waala tha

Khalish lahoo na raha mere jism mein warna
Ghazal mein aur bhi main rang bharne waala tha...
wah aryaan,dil khush ho gaya padh ke. Usual Smile
Logged
jalpari
Guest
«Reply #2 on: May 25, 2005, 05:30:30 AM »
sach kaha Nidhi ji aap ne .... Aryaan Bohat hi khoob likha... kya baat hai...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: May 25, 2005, 05:36:36 AM »
Bohat shukriya Nidhi & Jalpari.................
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #4 on: May 25, 2005, 06:12:09 AM »
Quote from: "Aryaan"

Hudood-e-zabt-e-wafaa se guzarne waala tha
Main apne aap ko neelaam karne waala tha

Safar ke shauQ ne majboor kar diya warna
Main tere shehar mein ik din theharne waala tha

Khud apne saaye se ab chaunk utth'ta hai
Woh aadmi jo kissi se na darne waala tha

Teri nazar ne bare pyar se samait liya
Abhi main aur zayada bikharne waala tha

Huwa hai Qtal mera khwahishon ke haathon se
Main itni jald tau hargizz na marrne waala tha

Khalish lahoo na raha mere jism mein warna
Ghazal mein aur bhi main rang bharne waala tha...


bahut aacha hai yaar its gr8
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: May 25, 2005, 03:56:39 PM »
Bohat shukriya Tushar........................
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: May 25, 2005, 03:59:14 PM »
"Khud apne saaye se ab chaunk utth'ta hai
Woh aadmi jo kissi se na darne waala tha

Teri nazar ne bare pyar se samait liya
Abhi main aur zayada bikharne waala tha

Huwa hai Qtal mera khwahishon ke haathon se
Main itni jald tau hargizz na marrne waala tha

Khalish lahoo na raha mere jism mein warna
Ghazal mein aur bhi main rang bharne waala tha..."


beautiful lines aryaan ji!!!!!!!!!! simply great!!!!!!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: May 25, 2005, 05:31:19 PM »
Bohat shukriya Meena.....

Jitna tumko chaha tha hum ne
Utna kisi ko chah na sake
Socha tha bhool jaayein ge kabhi na kabhi
Lekin najaane kyun bhulaa na sake
Honton ne tau chupa liye armaan dil ke
Lekin aankhon se chupa na sake..

Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: May 25, 2005, 05:39:04 PM »
wah aryaan...itni achi shayari kaise likh lete hai aap!!! apke yeh shayari pad ke meri ek post mujhe yaad aa gayi:

Hume bhi arzoo thi tere sang jeevan bitane ki,
Par saath tera humne paya bhi to nahin...

Yuh to zindagi me bohot gum hote hai ansoon bahane ke liye,
Par tere jaise pehle kisi ne rulaya bhi to nahin...

Badakte rahe is duniya me humsafar ki talash me,
Par tujh jaisa yaar phir doobara mila bhi to nahin....

Tere yaadon ki pehedari mere ashk dete hai aye dost,
Koi aur inke pehedari ke kabil bhi to nahin…
Logged
apnaa_koi
Guest
«Reply #9 on: May 25, 2005, 05:54:39 PM »
Ayraan...

Hudood-e-zabt-e-wafaa se guzarne waala tha
Main apne aap ko neelaam karne waala tha...


kiyaa baat hai yaar... sher bohat passand ayaa...
Always Anjli
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: May 25, 2005, 05:58:56 PM »
Quote from: "Meena"
wah aryaan...itni achi shayari kaise likh lete hai aap!!! apke yeh shayari pad ke meri ek post mujhe yaad aa gayi:

Hume bhi arzoo thi tere sang jeevan bitane ki,
Par saath tera humne paya bhi to nahin...

Yuh to zindagi me bohot gum hote hai ansoon bahane ke liye,
Par tere jaise pehle kisi ne rulaya bhi to nahin...

Badakte rahe is duniya me humsafar ki talash me,
Par tujh jaisa yaar phir doobara mila bhi to nahin....

Tere yaadon ki pehedari mere ashk dete hai aye dost,
Koi aur inke pehedari ke kabil bhi to nahin…

Aap sabko parh parh kar main bhi kuch likh leta hoon Meena..Usual Smile
Bohat khoob Meena... it's beautiful....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: May 25, 2005, 06:00:21 PM »
Quote from: "apnaa_koi"
Ayraan...

Hudood-e-zabt-e-wafaa se guzarne waala tha
Main apne aap ko neelaam karne waala tha...


kiyaa baat hai yaar... sher bohat passand ayaa...
Always Anjli

Shukriya Anjli...... Aap kahan ghayeb thin itne dinon se?..
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: May 25, 2005, 06:00:50 PM »
Quote from: "Aryaan"
Quote from: "Meena"
wah aryaan...itni achi shayari kaise likh lete hai aap!!! apke yeh shayari pad ke meri ek post mujhe yaad aa gayi:

Hume bhi arzoo thi tere sang jeevan bitane ki,
Par saath tera humne paya bhi to nahin...

Yuh to zindagi me bohot gum hote hai ansoon bahane ke liye,
Par tere jaise pehle kisi ne rulaya bhi to nahin...

Badakte rahe is duniya me humsafar ki talash me,
Par tujh jaisa yaar phir doobara mila bhi to nahin....

Tere yaadon ki pehedari mere ashk dete hai aye dost,
Koi aur inke pehedari ke kabil bhi to nahin…

Aap sabko parh parh kar main bhi kuch likh leta hoon Meena..Usual Smile
Bohat khoob Meena... it's beautiful....


thank u ji!!

 :D
Logged
apnaa_koi
Guest
«Reply #13 on: May 25, 2005, 06:20:01 PM »
Shukariaa Yaar...

Dill tak lagaa apkaa puchna, vesse chutii kayliye gay thi... Touring North Africa... Tunisia... Morocco... Turkey... ect

'Reth mein jahaan jahaan poun kay nishaan paday,
Wahan wahan dill key kuch tukaray choord diye...'

Always Anjli
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #14 on: May 25, 2005, 09:49:06 PM »
melte hai phale nazar
ho gaye hum dewane
ab age piyar mei kiya ho
ye to shirf kuda jane.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:44:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer