Zabt-e-Wafaa Se Guzarne Waala Tha...

by Aryaan on May 25, 2005, 05:21:01 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2485 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: May 26, 2005, 03:12:55 AM »
Quote from: "apnaa_koi"
Shukariaa Yaar...

Dill tak lagaa apkaa puchna, vesse chutii kayliye gay thi... Touring North Africa... Tunisia... Morocco... Turkey... ect

'Reth mein jahaan jahaan poun kay nishaan paday,
Wahan wahan dill key kuch tukaray choord diye...'

Always Anjli

Acha tau aap khoob sairen kar ke aai hain..... main bhi ek saal pehle Morocco ke kuch citys mein gaya tha.. Tanger, Azilah..Marakhesh.. achi jagah hai.. khaas taur pe wahan ki fish bohat hi tasty thi...
aur iss saal summer mein Marmaris(Turkey) jaane ka programe hai....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #16 on: May 26, 2005, 03:32:17 AM »
badaltay hain log aise
jaise kuch yaad hi nahi
woh pyar jo kabhi hota tha
us ki parwaah hi nahi
hasrat main duniya kay
woh bhi niklay khwar kaheen
badla yoon dil unka
jaise tha pyar hi nahi
Logged
jalpari
Guest
«Reply #17 on: May 27, 2005, 04:07:52 AM »
Yehi bohut hai ke dil usko dhoond laya hai
Kisi ke saath sahi, woh nazar to aya hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #18 on: May 27, 2005, 04:32:22 PM »
Quote from: "Aryaan"

Hudood-e-zabt-e-wafaa se guzarne waala tha
Main apne aap ko neelaam karne waala tha

Safar ke shauQ ne majboor kar diya warna
Main tere shehar mein ik din theharne waala tha

Khud apne saaye se ab chaunk utth'ta hai
Woh aadmi jo kissi se na darne waala tha

Teri nazar ne bare pyar se samait liya
Abhi main aur zayada bikharne waala tha

Huwa hai Qtal mera khwahishon ke haathon se
Main itni jald tau hargizz na marrne waala tha

Khalish lahoo na raha mere jism mein warna
Ghazal mein aur bhi main rang bharne waala tha...


wao ..superb...bahut hi khoob ...n very touching.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #19 on: May 27, 2005, 09:42:34 PM »
Jab aankhon nay kiya woh deedar tera,
Palkon main chupa liya phir pyar tera,
Kat-ti hain abb shaamain bus yoon hi,
In nigahoon ko bus abb intezaar tera...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: May 28, 2005, 02:19:18 AM »
Quote from: "nikki"
Quote from: "Aryaan"

Hudood-e-zabt-e-wafaa se guzarne waala tha
Main apne aap ko neelaam karne waala tha

Safar ke shauQ ne majboor kar diya warna
Main tere shehar mein ik din theharne waala tha

Khud apne saaye se ab chaunk utth'ta hai
Woh aadmi jo kissi se na darne waala tha

Teri nazar ne bare pyar se samait liya
Abhi main aur zayada bikharne waala tha

Huwa hai Qtal mera khwahishon ke haathon se
Main itni jald tau hargizz na marrne waala tha

Khalish lahoo na raha mere jism mein warna
Ghazal mein aur bhi main rang bharne waala tha...


wao ..superb...bahut hi khoob ...n very touching.

Bohat shukriya Nikki.....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #21 on: May 28, 2005, 02:31:10 AM »
duaon ki bheed mein ek dua hamari
jisme maangi hamne har khushi tumhari
jab bhi muskurae aap dil se
samjho dua kabul hui hamari
Logged
nikki
Guest
«Reply #22 on: May 28, 2005, 05:47:21 PM »
bahut khoob Naveed ji............................................... .......................................
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: May 28, 2005, 07:08:20 PM »

Yeh jaise log hain waise nazar nahi aate
RafaQton mein chupi hain adaawaten kya kya..
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: May 28, 2005, 07:15:37 PM »
Log jaise hain aksar nazar nahin aate hain
Aasteeno main khanjar chupaye hote hain !!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #25 on: May 28, 2005, 08:03:53 PM »
Quote from: "nikki"
bahut khoob Naveed ji............................................... .......................................



Thanx
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #26 on: May 30, 2005, 12:31:36 AM »
Tere hotey huwe aa jati thi saari duniya
Aaj tanha hoon tau koi nahi aane waala
Muntazir kis ka hoon tooti huwi dehleez pe main
Kaun aaye ga yahan, kaun hai aane waala
Logged
nikki
Guest
«Reply #27 on: May 30, 2005, 08:37:33 AM »
too good Aryaan ji............................................... ...........
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #28 on: May 30, 2005, 01:47:36 PM »
Quote from: "nikki"
too good Aryaan ji............................................... ...........

Shukriya Nikki.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: May 30, 2005, 05:53:35 PM »
Quote from: "Aryaan"
Tere hotey huwe aa jati thi saari duniya
Aaj tanha hoon tau koi nahi aane waala
Muntazir kis ka hoon tooti huwi dehleez pe main
Kaun aaye ga yahan, kaun hai aane waala


Bohot Khoob Aryaan !!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:14:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer